Thursday, 28 January 2016

ishwar vaani, saadhu, saint, sanyasi mein bhed-115

Ishwar aaj hame batate hain: "hey manushyo aksar tumne teen naam 1-saadhu, 2-saint evam 3-sanyasi suna hai, kintu inme bhed aur antar kya hai tumhe ya tumme se kinhi ki ye pata hai, aaj vistar se tumhe main inka bhed batata hoon,

Sabse pahle baat karte hai saadhu ki, saadhu wo hai Jo sadhna karta hai, jiska aachar vichaar satvik hai, kintu saadhu grahasth bhi ho sakta hai aur nahi bhi, kintu apni apni saadhna ka prayog wo apne niji swaarth ke saath samaj ke kalyaan ke liye bhi karta hai, niji swaarth aur samaj ka kalyan kaise karna hai ye uski budhhi aur vivek par nirbhar karta hai, kayi baar saadhak sadhna karta hai apni shakti badane hetu, iske saath samaj ka kuch had tak wo kalyan bhi karta hai. Kintu inhe ham saint nahi kah sakte,

Ab baat karte hai saint ki, saint wo hota hai Jo grahasth ho kar bhi sada ishwar ki araadhna karta ho, iske saath apne kartavyo ka palan karne wala, praani jaati ke liye daya, prem, sahanubhuti rakhne wala, dusre ki peeda mehsoos karne wala, nihswarth sewa karne wala hi sachha saint hai, saint ki baat kare to saint sudama ka naam pramukh hai Jo grahsth ho kar apne samast kartavyo ko nibha kar bhi nirantar ishwar ki aaradhna mein lage rahe, sahi artho mein wehi sachhe saadhu aur saint the,

Yadi koi vyakti ishwar ki upasna na kare kintu apne samast kartavyo ka nirwah karta rahe, jisme daya, prem, sahanubhuti, bhauchara, samast jivo ke liye saman prem bhavna evam nimn varnit gun hote hai WO saint ki shtedi mein gina jaata hai,

Ab baat aati hai sanyasi ki, sanyasi wo hota hai jisne samaj se naata tod khud ko ishwar par aprpan kar diya ho, aise vyakti kabhi apne swaarth ke bare mein nahi sochte, pura brahmand hi inka ghar aur samast jiv hi inka pariwar hote hai, ye samaj sudharak aur margdardhak hote hain,

Kabhi kabhi saadhu saint aur sanyasi ek hi hote hai arthat ek hi gun ek vyakti mein aa jaate hai jaise Jesus aur sai baba,
Kintu kuch log naatak karte hai nimn guno ka, aise mein unhe apna guru banane se pahle unki satyata parakh le, aur saadhu, saint evam sanyasi ka bhed thik se jaan lein"

Kalyan ho

Wednesday, 27 January 2016

saint archu ki vaani

"krodh hamara sabse bada shatru hai, ye koi atishaktishali bhi nahi hai, kintu ispar vijay prapt karna ati kathin hai, kaaran ham sab kuch kewal apne anukool chahate hai, apni khushi aur santushti chahate hai, ham chahate hai sab hamare anusar ho, aur jab aisa nahi hota tab ham apne is shatru vash mein aa jaate hai, wo ham par haawi hone lagta hai falswaroop kayi baar galat nirnay tak le lete hai jiska pachhtawa baad mein hota hai, isliye is shatru se dur hone ki koshish kare, ye mushkil hai par asambhav nahi,


Iske atirikt hame har paristithi ke anusaar rahne evam dhalne ki chhamta rakhni chahiye, ye jaruri nahi Jo vartman mein samay hai achha ya bura aisa hi rahega, wakt to badlta rahta hai, jarurat hai hame hi har stithi mein khud ko dhalne ki,

Ramayan mein shri RAM Lashman aur mata sita iska pramukh udaahran hai, Jo samast rajkiye sukh vaibhav tyaag van-van abhaavheen jivan vyatit karte hue 14 saal bitaate hai, isi prakar hame bhi unse prerna leni chahiye'



Apka kalyan ho

Sunday, 24 January 2016

sachhi kahani

'Sach hi to hai jinhe apno ka pyar apno ke mutabik nahi milta wo aksar gerro mein usse dhundte hai lekin jinhe apno ne na apnaya to gerr se aisee ummid galat hi sabit hoti hai aur natiza dhokha,

Aisi hi ek kahani hai Monika ki, ghar mein do bade bhai aur unse chhoti Monika urf moni, aksar usse lagta ki ek ladki hone ke karan ma-baap uske saath bhed bhaaw karte hai, nanhi Monika iska virodh karti par falswaroop usse upekshha aurw khalipan ke kuch na milta, dikhne mein bhi WO jyada sundar nahi thi isliye usse uski umar ke bachhe dosti nai karte is karan wo is dukh ko andar hi andar piti gayi, ghar mein mata pita ka doyam vyavhar aur bahar badsurat kah kar usse dur bhagte,

Aur is prakar wo anya pashu pakshiyo mein apne liye pyar talasne lagi, lekin jinse bhi usse pyar milta ishwar ko pyara ho jata ya usse dur kisi bhi karan ho jata, aur rah jaati akeli Monika.

Jab wo 23 saal ki hui to apne padosi kiraydar ke ektarfa prem mein pad gayi lekin usse wo iska izhar karti usse phle hi dur kisi shahar mein chala gaya, akeli rah gayi moni,

Lekin kismat ne saath diya uska aur us ladke ka pH. Number aur email id usse mila, usne usse mail kiya aur ladke ne Monika se pH karne ko kaha, moni ne call kiya mail se usse prapose kiya jise ladke ne accept kiya aur dono ki love story shuru ho gayi,

Par iske baad Monika ki zindagi nark hoti gayi dhire dhire, socha to tha usne ki ab mere dukh aur akelepan ka ant hoga par usse yaha bhi shoshan ke saath dhokha mila, dusri baar bhi usne fir prem karne ki galti ki par fir shoshan aur dhokha mila,

Zindagi se thak haar kar aaj WO sanyas Lena chahati hai aur legi bhi, WO ek aisi insaan hai agar aap do shabd pyar ke usse bol do apke liye jaan tak de de, dost kah do umar bhi isse nibhaye, premika bana lo to umar bhar Nina shart saath nibhaye aur jivan saathi bana lo to kismat par fakra karo hamesha,

Lekin usse mila sirf akelapan aur tanhai, kewal samaj se usne prem manga tha jiske badle ye mila, ek aam ladki ki zindagi jina chahati thi WO par ab ekaaki jivan jine pe mazbur hai, bas ek sawal hai kya khata ki thi usne????'

Sunday, 17 January 2016

mera dard meri kahani

'khata bas itni c hai mere dosto ki main ek insaan hoon,
aansu nahi dekhe jaate mujhse,
kyon ki main na hi bhagwan hoon,
lutai hai apni har khushi jinhe apna maan kar,
unhi ki di ruswai se main pareshan hoon,
kyonki main ek insaan hoon'


'ye duniya kitni beraham hai,
har taraf bas gam hi gam hai,
pyaar bik chuka har rishte se,
shayd isliye ye ankhe nam hai,'


'mujhe insaan kah kar gaali na dena dosto
kyonki insaan banna mujhe aaj tak aaya nahi,'
hote hai jinke dil kuch aur juba pe alg afsane,
bas wo roop dharna mujhe aaya nahi'

meethi-khushi ka dard

"Zindagi ne bahut rulaya mujhe,
Zindagi ne bahut sataya mujhe,
Kitni koshish ki ashk chhipane ki,
Zindagi ne bahut tadpaya mujhe,

Puchhti hai sabse ye sawal 'meethi'
'khushi' ka ek pal mil na paya mujhe,

Kyon mili har dafa askon ki ye ladiya,
Kyon mili mujhe maut ki hi ye ghadiya,
Aakhir zindagi ki chahat maine hi ki thi
Shayd aise jivan se maut hi hai badiya,

Lutaya is ghar par apna ye nazrana,
Khatm kar diya apna sab ye khazana,
Bas badle mein mihabbat ki chahat thi,
Lut mujhe apnone bana diya begana,

Roti hai 'meethi' aaj apne hi jajbaat par,
Kho gayi har 'khushi' aise hi haalat par,
Duniya ke gam par roti 'meethi-khushi'
Hai tanha aaj itni apni hi issi baat par,

Friday, 15 January 2016

maut kitni beraham hai

'jab bhi mujhe tum yaad aate ho,
har raat khwaab mein milne aate ho,
ye mohabbat ka hai asar apni shayad 'Meethi',
'Khushi' zindgi ke bad bhi itna mujhe chahate ho,'


'Dekh tu jara tere jaane ka kitna mujhe gam hai,
Tere bin kitni ye aankhe bhi meri nam hai,
Sitaro mein dhundti hai 'meethi' tujhe aaj bhi,
'Khushi' se juda karne wali maut kitni beraham hai'

Wednesday, 13 January 2016

tum dikhte ho

"Ugate suraj mein bhi tum dikhte ho,
Balkhati sham mein bhi tumhi hote ho,
Ye tum ho ya sirf tumhara ahsaas hai,
Dil hai ye mera dhadkan tum lagte ho",

"Uff ye hawa bhi koi geet mujhe sunati hai,
Uff ye fiza bhi mujhe chhede yuh jaati hai,
Tere pyar mein hui bawali aise mere piya,
Ye raat bhi tum bin kitna mujhe satati hai,"

"Mere mann ki gehrai mein tumhi hote ho,
Meri har parchhayi mein tumhi dikhte ho,
Tum dur ho bhale mujhse aaj mere piya,
Meri is tanhaayi mein sirf tumhi hote ho,"

"Meri zindagi ki shuraat tum hi ho,
Zindagi ki har baat bas tum hi ho,
Na tanha kar jana mujhe tum kabhi,
Mera har din aur ye raat tum hi ho,"

"Tum bin na aur ab fhir ji paaungi,
Tum bin jogan ab main ho jaungi,
Jo tod diya dil ye tumne ab mera,
Tum bin mere piya ab mar jaungi"