Thursday, 3 March 2016

chaar lines

'Uski   khubsurati  hi   uska  gunah   thi,
Bas   baag   mein  kali milana mana thi,
Phool  Jo  banti  WO  mehkaati   bagiya,
Bas nazuk si yehi komlta uska gunah thi'

chhanika

'Uski khubsurati hi uska gunah thi,
Bas baag mein kali milana mana thi,
Phool Jo banti WO mehkaati bagiya,
Bas nazuk si yehi komlta uska gunah thi'

Tuesday, 1 March 2016

mera geet- dhoondti hai jise meri ye nazar

"Dhoondti hai jise meri ye nazar,
Chhipa hoga wo shayad yahi idhar,-2
Mera raja wo is dil ka shahzada,
Hai tu jaane mere dilbar kidhar,-2

Meri saanso mein rahta hai tu,

Dil ki baate bas karta hai tu,
Kyon bas sapno mein aata tu nazar,
Hai tu jaane mere dilbar kidhar,

Bhatakti hoon main in raaho mein,

Aa bhar le mujhe tu baaho mein,
Bin tere soona har manzar,
Hai tu jaane mere dilbar kidhar,

Puchhti hoon haal tera in hawao se,

Karti hoon shikayat in fizao se,
Kyon nahi dete mujhe teri khabar,
Hai tu jaane mere dilbar kidhar,


Dhoondti hai jise meri ye nazar,
Chhipa hoga wo shayad yahi idhar,-2
Mera raja wo is dil ka shahzada,
Hai tu jaane mere dilbar kidhar,-2

Sunday, 28 February 2016

for my sweet baby

"Aa tere kadmo mein do zahan main rakh du,   

                            aa tere naam apni ye jaan main kar du,  

     muskurata rahe tu  sada yuhi 'gulab' ki tarah,

      teri ik hassi par khudko kurban main kar du"

Friday, 26 February 2016

meethi-khushi

"Dard bewafai ka aur ab sahaa nahi jaata,
tere bin akele aur ab rahaa nahi jaata,
tod diya waada Jo tumne kiya tha kabhi,
'Meethi' ko 'khushi' se yu juda kiya nahi jata"


"Sab hain saath mere bas Teri hi kami hai,
sab hain paas mere bas ankho mein nami hai,
hai duniya ki bheed mein kitni tanha ye 'meethi',
'Khushi' ke bina na aasma na ye zamin hai"

Tuesday, 23 February 2016

shri ram tumhi ho

"Meri to har shaam tumhi ho,
Mere to ghanshyam tumhi ho,

Mera to hai ye maan tumhi se,
Mera to har samman tumhi ho,

Mere har armaan tumhi se,
Meri to har shaan tumhi ho,

Meri hai ye pahchan tumhi se,
Mera dil aur ye jaan tumhi ho,

Mere dilki ye dhadkan tumhi se,
Mere to bas shri ram tumhi ho''

Monday, 22 February 2016

ishwar vaani-126, ishwar aur devta

Ishwar kahte hain "hey manushyo tum moorti puja karte ho karo, kyonki ye tumhe mujh tak pahuchane ka maarg hai, kintu ye jaan lo jinki tum upaasna kar rahe ho WO ishwar nahi devta athwa bhagwan hai,

Bhagwan WO hota hai jisne kisi samaaj ke kalyan hetu swam kasht sah kar samaaj ka uthhan kiya ho tatha prem days sahanubhooti ke saath netikta ka bhi jisne pura dhyaan rakha ho,

Ek devta athwa bhagwan ko sharir dhaaran evam nishchit samay baad tyagna padta hai kintu ishwar na janm lete na mrityu paate hai jabki bhagwan ki aatma mujhse aagya le naye kaarya ki purti hetu nikal jaati hai'