Tuesday, 22 March 2016

ishwar vaani-129, manav sabhyata

''Ishwar kahte hai kayi varsh poorva jab samast dharti alag alag khando mein vibhajit na thi tab uske kendra mein manav jivan utpann hua, iske baad jaise jaise manav samooh banne lage dharti alag alag bhaago mein bant ke vighatit ho naye naye deep samoho mein vibhajit ho gayi, jisme is prakatik prakriya mein kayi maanav maare gaye aur jo bache alag alag deep samooho mein unhone waha desh/kaal/paristithi ke anurup apni alag sabhyata aur sanskriti apnaayi, issi ka saakshya hai jaha aaj registan hai waha kabhi athaah sagar hota tha aur jo aaj sagar hai waha bhoomi hoti thi'

ishwar vaani-127, ishwar jagat ka kumbhar

Ishwar kahte hain "main us kumbhaar ki bhaati hoon Jo nit roh miitti ke sundar bartan banata hai, kintu yadi unme koi kami ho jaati hai to punah unhe ya to nasht kar ya yadi sudharne layak koi bartan hai usme sudhar karta hai,
Hey manushyo issi tarah samast brahmand evam sabhi prani mere liye us bartan ke samaan hai jise main banata hoon, kintu jab jab isme kami aane lagti hai ya bartan purana ho khrab hone lagta hai tab main desh/kaal/paristithi ke anuroop prakat ho usse sudharta hoon kintu yadi kami aisi hai jo thik hone ke layak nahi tab us bartan arthaat pralay la sab kuch nasht kar deta hoon,
Kintu jaisa ki vibhinn pavitra shaastro mein likha hai us wakt bhi bahut saari jagah desh/kaal/paristithi ke anuroop hai WO bach jayngi Jo mere paas surakshit rahengi kintu nayi shrishti nirman ke baad unhe punah waha sthaapit kar diya jayega taki pavitra shaastro par manav ka vishwas bana rahe aur unka kathan satya saabit ho"

apna dil ye haara- kavita

"Jis par main hoon apna dil ye haara,
Tu hi hai ik jis par hoon main vaara,

Na jana tum mujhe tanha chhod kar,
Tere bin main to jaaunga fir ab maara,

Hai jivan ki khushi teri muskan mein,
Bin Meethi main hoon kitna bechara,

Aankho ki thandak dilka bas sukoon tu,
Bin tere nahi koi apna yahaa ab sahara,

Kitna akela aur tanha hoon tum bin yaha,
Bas ik tu hi to mera dilbar mera yaraa,

Dekhe Khushi ke rishte maine zaha mein,
Meethi ka ye har rishta hai sabse pyara,


Jis par main hoon apna dil ye haara,
Tu hi hai ik jis par hoon main vaara-2"

Thursday, 3 March 2016

chaar lines

'Uski   khubsurati  hi   uska  gunah   thi,
Bas   baag   mein  kali milana mana thi,
Phool  Jo  banti  WO  mehkaati   bagiya,
Bas nazuk si yehi komlta uska gunah thi'

chhanika

'Uski khubsurati hi uska gunah thi,
Bas baag mein kali milana mana thi,
Phool Jo banti WO mehkaati bagiya,
Bas nazuk si yehi komlta uska gunah thi'

Tuesday, 1 March 2016

mera geet- dhoondti hai jise meri ye nazar

"Dhoondti hai jise meri ye nazar,
Chhipa hoga wo shayad yahi idhar,-2
Mera raja wo is dil ka shahzada,
Hai tu jaane mere dilbar kidhar,-2

Meri saanso mein rahta hai tu,

Dil ki baate bas karta hai tu,
Kyon bas sapno mein aata tu nazar,
Hai tu jaane mere dilbar kidhar,

Bhatakti hoon main in raaho mein,

Aa bhar le mujhe tu baaho mein,
Bin tere soona har manzar,
Hai tu jaane mere dilbar kidhar,

Puchhti hoon haal tera in hawao se,

Karti hoon shikayat in fizao se,
Kyon nahi dete mujhe teri khabar,
Hai tu jaane mere dilbar kidhar,


Dhoondti hai jise meri ye nazar,
Chhipa hoga wo shayad yahi idhar,-2
Mera raja wo is dil ka shahzada,
Hai tu jaane mere dilbar kidhar,-2

Sunday, 28 February 2016

for my sweet baby

"Aa tere kadmo mein do zahan main rakh du,   

                            aa tere naam apni ye jaan main kar du,  

     muskurata rahe tu  sada yuhi 'gulab' ki tarah,

      teri ik hassi par khudko kurban main kar du"