Saturday, 26 March 2016

ishwar vaani-132, brahm hatya dosh

Kisi ne mujhse prashna kiya tha ki Ramayana mein shri ram ko brahm dosh laga rawan ko maarne ke baad lekin lakshman aur hanuman sahit baaki ko ye dosh kyon nahi laga, haalaki bhagwan Ram ne Lashman sahit anya saathiyo sahit Ayodhya mein brahm hatya ke dosh dur karne hetu puja karai gayi thi,


Is vishaye mein ishwar kahte hain, " Ye to hui pavitra granth ki baat, doosra satya ye hai, hanuman Ji sahit samast sena shri ram ke bhakt the aur unhe apna swami mante the, isliye jaise ek sewak apne swami ki aagya maan kar uske hi dwara diye aadesh ke anusar hi kaarya karta hai fir chahe galat ho ya sahi wo poorn roop se isme sahbhaagi nai hota, poorn roop se sehbhagi uska swAami hi hota hai,

Ussi tarah lakshman sahit baaki sabhi sena ko brahmdosh to laga par uska prabhav utna un par nahi tha jitna shri ram ko tha q ki baaki sabhi kewal apni swami bhakti nibha yudhh kar rahe the kintu ram kewal apni patni ke liye yudhh kar rahe the,

Isliye baaki sabke paap harne hetu khud prabhu shri ram the waha unke swaami ban kintu unke paap harne wala koi na tha, isliye unhe brahm hatya ki puja karna anivaarya hua"

Friday, 25 March 2016

ishwar vaani-131, ishwar us vraksh ke samaan

Ishwar kahte hain, "main us vraksh ke samaan hoon jiski anek jad tatha shakha hai, koi meri kisi bhi jad par JAL arpan kare mujhe hi milta hai issi prakar meri kisi bhi shakha par pushp khile wo bhi mujhme hi hota hai,

Hey manushyo tum chaahe jis naam ka smaran karo aur meri aaradhna karo mujh tak hi pahuchne ka marg hai, 

Ye sampoorn sansaar mere us vraksh roopi dehh par lage pushp ke saman hai, sansar mein pratek jeev jahan bhi janm le, jis roop mein janm le wo mera hi to pushp hai, mujhse alag ho uska kya astitwa,

Hey manushyo maine tumhe sansaar mein bheja, satyug mein tum ek saath ek sthaan par rahte the kintu main treta yug aate aate tumhe dharti ke khando ke saath alag sthaano par bhej diya, taki desh/kaal/paristithi ke anuroop anek naam aur roop mein tum mujhe pukaaro aur mere dikhaaye marg par chalo saath hi ye gyaan tumhe mile ishwar ek hi hai jisse tum jis naam aur roop mein pukaro aur meri upaasna karo, saath hi mujhe praapt karne ke nimn marg apnao,

Hey manushyo mujhe prapt karne ka Jo bhi marg apnaao, sachha saatvik marg tumhe mujh tak pahuchata hai chahe jis vidhi vidhaan se mujhe pukaro par pukaro aur meri vyavstha ke anuroop chalo,

Tumhara kalyan ho

Wednesday, 23 March 2016

ishwar vaani-128, ishwar dwara pavitra thehrana

shwar kahte hain "hey manushyo jise maine pavitra thehraya hai usse tum apni jhoothi vyavshtha mein pad kar kaise apvatri kaise thehra sakte ho kya tumhari vyavstha mujhse bhi badi hai, jaati/dharm/bhasha/sampradaye, stree-purush mein antar, rang-roop mein bhed, ye tum sab kaise kar sakte ho, maine tumhe manav banaya taki sansaar roopi is bagiya ke tum maali ban pratek praani ki raksha karo, har jiv tumhare liye ek pushp ki bhaati tha, lekin tum khud ko maali nahi malik samajh baithe, aur meri is bagiya ko ujaad rahe ho, hey manushyo tum jaan lo main hi is bagiya ka asal maalik hoon aur hamesha rahunga kintu yadi tum na sudhare to nishchit hi main tumse tumhari maali ki ye padwi avashya hi chheen lunga aur tab tum apni durdasha ke khud bhaagi hoge"

ishwar vaani-130, vrat upwaas

Ishwar kahte hain, "hey manushyo tum vrat upwas karte ho bhahwan ko prasann karne ke liye, kintu jab WO bhautik sharir ke saath tumhare saath hote hai tab koi vrat aadi nahi karta kyonki tab WO saakshat unke darshan kar jivan safal kar sakta hai,

Kya aapne suna hai Krishna janmashtmi ya ram navami unke janm se pahle ya jab WO bhautik roop mein dharti par the tab kabhi vrat upwaas rakha tha ya rakha jata tha,

Isliye ishwar kisi bhi roop mein jab tak dharati par avtarit rahte hai unke liye vrat upwas unhe prasann karne ke liye nahi hote jaise pitra paksh mein kewal unhi priye Jan ki puja hawan aadi kiye jaate hai Jo bhautik sharir tyaag chuke hai, kintu jab tak WO bhautik sharir ke saath the tab tum unki puja aradhna nahi karte the, unhe prasann karne ke liye hawan aadi nahi karte the,

Yahi ishwar ke vishay mein hai, jab WO shashrir vidhhman ho to kisi hawan vrat upwaas ki aavshyakta nahi hoti'

Tuesday, 22 March 2016

ishwar vaani-129, manav sabhyata

''Ishwar kahte hai kayi varsh poorva jab samast dharti alag alag khando mein vibhajit na thi tab uske kendra mein manav jivan utpann hua, iske baad jaise jaise manav samooh banne lage dharti alag alag bhaago mein bant ke vighatit ho naye naye deep samoho mein vibhajit ho gayi, jisme is prakatik prakriya mein kayi maanav maare gaye aur jo bache alag alag deep samooho mein unhone waha desh/kaal/paristithi ke anurup apni alag sabhyata aur sanskriti apnaayi, issi ka saakshya hai jaha aaj registan hai waha kabhi athaah sagar hota tha aur jo aaj sagar hai waha bhoomi hoti thi'

ishwar vaani-127, ishwar jagat ka kumbhar

Ishwar kahte hain "main us kumbhaar ki bhaati hoon Jo nit roh miitti ke sundar bartan banata hai, kintu yadi unme koi kami ho jaati hai to punah unhe ya to nasht kar ya yadi sudharne layak koi bartan hai usme sudhar karta hai,
Hey manushyo issi tarah samast brahmand evam sabhi prani mere liye us bartan ke samaan hai jise main banata hoon, kintu jab jab isme kami aane lagti hai ya bartan purana ho khrab hone lagta hai tab main desh/kaal/paristithi ke anuroop prakat ho usse sudharta hoon kintu yadi kami aisi hai jo thik hone ke layak nahi tab us bartan arthaat pralay la sab kuch nasht kar deta hoon,
Kintu jaisa ki vibhinn pavitra shaastro mein likha hai us wakt bhi bahut saari jagah desh/kaal/paristithi ke anuroop hai WO bach jayngi Jo mere paas surakshit rahengi kintu nayi shrishti nirman ke baad unhe punah waha sthaapit kar diya jayega taki pavitra shaastro par manav ka vishwas bana rahe aur unka kathan satya saabit ho"

apna dil ye haara- kavita

"Jis par main hoon apna dil ye haara,
Tu hi hai ik jis par hoon main vaara,

Na jana tum mujhe tanha chhod kar,
Tere bin main to jaaunga fir ab maara,

Hai jivan ki khushi teri muskan mein,
Bin Meethi main hoon kitna bechara,

Aankho ki thandak dilka bas sukoon tu,
Bin tere nahi koi apna yahaa ab sahara,

Kitna akela aur tanha hoon tum bin yaha,
Bas ik tu hi to mera dilbar mera yaraa,

Dekhe Khushi ke rishte maine zaha mein,
Meethi ka ye har rishta hai sabse pyara,


Jis par main hoon apna dil ye haara,
Tu hi hai ik jis par hoon main vaara-2"