Saturday, 2 April 2016

ye rishta hai pyaar ka-geet

"Kyon dil mera ab yaad mei teri hi duba rahta hai,
Ye Mann kyon teri hi baato mein khoya rahta hai,

Rahta hai door tu mujhe ae mere hamdam itnaa,
Fir bhi tera ahsaas har pal mujhe to bas rahta hai,

Shayad ye rishta hai pyaar ka,
Haan ye hi rishta hai ikraar ka,

Door gaye sanam ki yad mein dil din raat rota hai,
Bahte hai ashq aankho se jaane kyon ye hota hai,


Shayad ye rishta hai pyaar ka,
Haan ye hi rishta hai ikraar ka,

Jidhar bhi dekhu chehra bas tera hi dikhta hai,
Door ho kar bhi paas kyon mujhe tu lagta hai,

Hai becheni kitni is dil mein ae hamdam mere,
Bin tere hasin ye nazara bhi feeka mujhe lagta hai,

Shayad ye rishta hai pyaar ka,
Haan ye hi rishta hai ikraar ka,

Do dilo ke milne se hi gulistan aise mehakta hai,
Dil ki bagiya mein hi prem ka ye pushp khilta hai,

Sooni zindagi ki ret mein bahaar aayi ho aise,
Hota hai milan jab dil se dil ka rishta yaha judta hai,

Shayad ye rishta hai pyaar ka,
Haan ye hi rishta hai ikraar ka-2"

Copyright @Archana(meethi-khushi)


aa paas mere-kavita

Aa paas mere tujhe is dil ki baat baatata hoon,
Karib aa Sun tu jara ye sangit tujhe sunata hoon,

Rahti hai tu yaha dil mein mere dhadkan bankar,
Ae zindagi tujhe hi to apna manmit bulata hoon,

Rahti Har khwaaishon mein hai ab tu hi tu meri,
Aa paas mere tujhe ye prem geet sunaata hoon,

Tu hi din mera tu hi to meri shubah aur shaam,
Meri khushi tujhe hi to apni preet bulaata hoon,

Meethi si baate teri dilme mere utarti jaati hai,
Tuhi baazi meri har jeet tujhe main batata hoon,

Kaisa dooba main teri mohabbat ki sarita mein,
Aa paas mere tujhe ye ishk ki reet batata hoon,

Aa paas mere tujhe is dil ki baat baatata hoon,
Karib aa Sun tu jara ye sangit tujhe sunata hoon,



chaar paktiya mere grandson ke liye

"Meri khushi meri jaan hai tu,
Is meethi ka guman hai tu,
Aur main kahu tujhse kya,

Meri zindagi aur abhiman hai tu,"

horror

"sooni sadak hai raat kaali,
hai kaisi vichitra ye kheli,
na waha koi banda na hai parinda,
kitni bhayanak hai WO haweli
suni hai sabne jaha jiski kahani,
hai nahi koi WO to nayi naveli,
nahi hai uska ab yaha koi saathi,
hai nahi yaha ab uski koi saheli,
Ghana andhera viraan ye raasta,
jaane kya hai raz kya hai paheli

for my grandson Boss

"aaya mere ghar ek nanha shetan,
hai jis par mujhe to abhimaan,
bholi hai surat natkhat si uski ada,
hai zindagi hamari meri wo shaan,
naam se hi nahi kaam se wo 'Boss',
hai hamari wo khushi meri wo jaan,
nadan pyari meethi baate hai jiski,
fakra hai jispar hame hai gumaan"
I love you my baby Boss, love you a lot

Wednesday, 30 March 2016

ishwar vaani-134, samaanta

Ishwar kahte hain, "hey manushyo kisi manushya ko uske karm anusaar kam ya adhik na samjho, usse uchh ya nich na samjho,

Koi shikshak jo imandari se shiksha deta hai, udeshak jo imandari se updesh deta hai, safai karmi jo imandari se safai karta hai, pandit imandari se panditai karta hai, shhatriye apne karm ka imaandari se kaarya karta hai, ye karm hi asal mein uska dharm hai jisse WO imaandari se kar raha hai, isliye kisi bhi vyakti ko hey manushya tum hey drishti se nahi dekh sakte,"


Ishwar kahte hain, " hey manushyo jis desh mein evam jaha tum rahte ho, apni jarurat puri karte ho, jaha ka shashak tumhari aur tumhare jaise anyaa logo ki raksha karta hai aur jinne ke saadhan uplabdh karata hai uske saath chhal na karna anyatha tumhara apraadh mere saath kiye chhal ke samaan hi maana jayega"



ishwar vaani-133, manviye sanvednaye

Ishwar kahte hain, "dukh dard tamam taklif, amir-garib, khushi-gam, prem-durbhawana, uncha-nicha, pavitrata-apavitrata, muskan-ashru ye sab kewal maanviye sanvednaaye hai, ishwar ka inse koi sarokaar nahi hai,

Jo vyakti Maya mein fassa hai usse in sab ko bhogna hi padta hai, kintu jisne maya par vijay haasil kar li wohi in sanvednao aur in vichaaro se mukti pa ishwar ka karibi aur ek sachha saint banta hai,

Ek sachhe saint mein prani jaati ke  kalyaan aur meri upaasna ke atirikt koi sanvedna nahi hoti, kintu saint ka choga pahan Maya ke pichhe jo vyakti bhagte hain aise pakhandi ko saint kah is shabd ko lazzit nahi karna chahiye kyonki sachha saint mujhe ati priye hai aur jo is naam ko dharan kar galat kratya karta hai mere kop ka bhaagi hota hai"