this is not only a hindi sher o shayri site, there is also u can see short stories, articals, poetry in ur own language yes off course in hindi......
Saturday, 27 August 2011
socha tha ab na karenge
socha tha ab na karenge kisi se dosti, dost karib aa kar, apna bana kar, kuch pal ki khushiya de kar aur fir ek din dil k hazaar tukde kar k aur tanaha bana kar chhod jaate hai, milta hai jitna dukh kisi k pyaar k dur ho jaane pe usse bhi jyaada dil rota hai jab koi kitnaa kareebi dost dil ko sheeshe ki tarah tod k chala jata hai........
bhool sakte hain hum ..........................
bhool sakte hain hum apna pahla pyaar, bhool sakte hain kab aayi thi zindagi mein pahli bahar,bhool sakte hain apni wo naadiniya, bhool sakte hain saari wo shaitaaniya, par kabi nhi sakte dosto wo saath, jiski wazah se mila tha hume wo pahla pyaar, jiski wazah se aayi thi zindgi mein wo pahli bahar, nhi bhulaaya ja sakta uss dost ka wo pyaar.........................Miss youuuuuuuuuuuuuuuuuuu
aaj door chala gaya wo humse
aaj door chala gaya wo humse to kya huaa, bhula diya usne hume to kya huaa, dil mein kabi to usko humari yaad aati hogi, jo saath bitaye the lamhe usse soch kar uska dil bhi to tadpati hogi, log sochte hai jeena mushkil hai apne pyaar ko kho kar par usse bhi jyada mushkil hai apne kisi sachche dost se dur ho kar..
Log kahte hain...........
Log kahte h ki karte h hm shayri bahut, log kahte h karte h hm shayri bahut, par na to hm shayar h aur na krte shayri h, likh dete h bas hal-e-dil apna yaha, aur log kahne lagte h wah kya shayari karte h....
dost dost na raha
Do ajnabi mile, milke karib aaye, karibi se nazdikiya badi, nazdikiyo se dosti badi, fir dosti ek mishaal bani. Mishaal-e-dosti se zindgi khushhaal bani, par ek din achaanak q aisa hua, jaan se jyada pyara dost q dur hone laga, log pyar me bewafai aur wafai ki bate karte h, aur yaha ek dost dusre se ruswaai karne laga, fir ek din wo hi hua jo hona nhi tha, jaise badi thi nazdikiya aaj h meelo dilo ki ye duriyaa:-/
kuch pal chale saath mere tum
kuch pal
chale saath mere tum, fir chhod gaye mujhe beech majhdhar mein tum, fir
bhi na ki koi gila shikwa tumse humne, karte rahe intzaar tumhare laut
aane ka haste haste, tum na aaye par,fir ek din mil gaya hume koi
ajnabi ek din yu hi rah mein, di kuch pal ki khushiya hume usne apne ek
tarfa pyaar mein, kab kho gaye hum b uske pyaar mein, bhool gaye ye ki
hum to hain abi tak kisi k laut aane k intzaar mein, sochne lage na
aaoge tum ab kabi humare paas, jhooti hai hmare dil mein tumhare laut
aane ki aas, soch kar ye hum chale uss ajnabi k paas, doob gaye hum b
uske pyaar mein behisaab, waqt ne fir aisi karwat badli, bhool gaye the
hum tumhe par iss dil ne fir se tumhari aahat thi sun li, tum aaye
laut k ek din, di duhaai apne pyaar ki, sab kuch ab to hai bekaar,
kyon ab nhi karte hum tumse pyaar, pyaar mein tumne di hume ye doori,
ye dooriya ban gayi humari mazboori, thaam liya haath humne kisi aur ka
aaj, kar liya humne dil ko paththar ka aaj, tumhari yaad mein ek pal b nhi
ji sakte the aur aaj poori zindagi tumhare bin hai jeene ka faisla hai
humne kiya......
Subscribe to:
Posts (Atom)