Wednesday 29 August 2012

jiya nhi jata

tum bin jiya nhi jata, tum bin raha nhi jata, kahan chale gaye ho dur mujhse itna tum, kaise btalau tumhe tum bin ek pal  raha nhi jata, aa jao meri zindagi  laut kar tum q ki tum bin mujhse ye gam-e-judai saha nhi jata, tum bin ab jiya nhi jata.....

Sunday 26 August 2012

meri dard bhari kahani hai(मेरी दर्द भरी कहानी है)

"कहने को कुछ नहीं बस मेरी दर्द भरी कहानी है ,सूनी है मेरी ज़िन्दगी और  आँखों में बस पानी है ,खता बस इतनी सी है ऐ मेरे खुदा   एक चाहत की थी किसी को पाने की ,बस ये ही तमन्ना थी किसी के साथ जिंदगी बिताने की ,पता क्या था मुझे की ये ही मेरा कसूर होगा ,जिसको अपना समझा उसी से ही फरेब होगा ,ख़ुशी की चाहत हम जिससे कर बैठे थे उसी की दी दगा से हमे मिली ये वीरानी है ,बस ये ही मेरी दर्द भरी कहानी है, और इसलिए ही मेरी आँखों में आज पानी है "।

"kahne ko kuch nahi bas meri dard bhari kahani hai, sooni hai meri zindagi aur aankhon me bas paani hai, khata bas itne si hai ae mere khuda ek chahat ki thi kisi ko pane ki, bas ye hi tammna thi kisi k saath zindagi bitane ki, pata kya tha mujhe ye hi mera kasur hoga, jisko apna samajha ussi se hi ye fareb hoga,  khushi ki chahat hum jisse kar baiathe the ussi ki di daga se hume aaj mili ye viraani hai, bas ye hi meri dard bhari kahani hai aur isliye meri aankho mein aaj paani hai........."

ummid mein..........

Unse ek mulakat ki ummid me barso guzar gaye, unke didar ki jhalak k liye hm palak jhapke bina unka raasta dekhte rahe, aate honge wo abi ye soch kar hum bas jite rahe, waqt ek aisa aaya wo fir aaye jarur par yaha aa kar dil k itne tukde kr k wo wapas chal diye, aur hum unke tukdo ko samet kar zindagi se muh mod kar maut ka intzaar fir krne lage..

Saturday 25 August 2012

A Real Story


                                          


ek bahut ameer aadmi tha, uske paas apna kahne koi nahi tha, zindagi mein har bar usse apno se hi dhokhe milte rahe, par in sabke beech ek saathi jarur uske saath raha, jisne zindagi k har padav par uska saath diya wo tha uska paaltu kutta (pet dog), usse apne dog se behad pyaar tha, wo dogi bhi usse behad pyaar karta tha, jab wo aadmi uss dogi k saath hota to apne sare dukh bhool jata tha, uske liye sirf apna kahne k liye kewal ek ye hi to tha, 

     ek baar ki baat hai wo aadmi train se kisi doosre shahar mein gya, jab wo ja raha tha to usse railway station par chhodne uske naukron k saath uska kutta (dog) b aaya, par kuch derr baad khabar aayi jis train se wo aadmi kisi doosre shahar kaam k silsile mein gaya tha uss train ka beech mein hi accident ho gaya, aur usme uss aadmi ki maut ho gayi,

   par uska wo paltu kutta (pet dog) har din railway station par apne maalik (owner) ko dekhne, milne aur ghar lene ki aas mein aata raha, jab tak wo dogi duniya mein raha tab tak har din wo station pe aata raha, aur jab uski b maut hui to ussi station par usse dafna kar uski wafadari ki mishaal k liye ek sthaan bana diya gaya...................




jahan insaan dkokhebaaz hote hain waha ye masoom janwar wafadaari ki mishaal kayam karte hain........................................................................

Friday 17 August 2012

for my Jesus.......................

‎"ae mere malik, kr do maaf muje, mana nhi main teri mafi k kabil, jo hui khata mujhse na kiya jo tujhpe yakin, par ab hai bas tera hi sahara, maaf kr mujhe apne dil me na sahi charno ki dhul me hi jagah do par mujhe apna kar na khud se dur
jane do, jo na kiya tumne maaf, na jane honge fir mujhse kitne paap, iss maya k bandhan se mukt kr mujhe apne paas bula lo, dil me na sahi malik charno ki dhul me hi sama lo...."

i love you very very very very much Jesus, love you a lotttttttt

Jesus mere best friend hain and life time achivment bhi..

my thoughts (kalyug ki dosti)

"dosti ki agr misaal dekhni ho to bhagwan Krishna aur sudama ki dekho, ek raja aur ek rank, aaj k log dosti ki bate to bdi bdi krte h, jab tak sath rhe (school, college, institutes, offices), ek sath uthna baithna, khana pina hua par jaise hi kisi ek ko tarakki mili ya fir padai puri ho jane k baad ek ko achhi naukri mili ya koi busines kiya aur chal nikla to iske baad dosti gyi tail lene, kafi lo
g to bhul b jate h, kuch raham dil hote h, ya to unhe naam yad rah jate h ya shakl, dosti wo bas jab tak rakhte h jb tak logon ka status same ho chahe padai me, ofc me, busines me, jara b km hua to dost kya aur dosti kya, ye aadat bachpan se hi sabne sikhi h, agr aap school me apni clas me 1st aate h aur apka best frd fail ho jaye ya km marks laye to aap uske sath khade hone me sharmindgi mehsus krte h, aur yehi baat bade hone aur zindgi bhar tak lagu rahti h, so ye h aaj ki dosti bas status aur kaamyabi tak, pyar, apnapan, samman, aur tamam bhavnatmak rishto ko todti ye h aaj ki aadhunik krishna sudama nhi balki ram aur rawan ki dosti(ram aur ravan isliye q ki dono ka status same rich), wah re kalyug wah...."

Monday 13 August 2012

waqt k haathon aise huye mazboor hum

waqt k haathon aise huye mazboor hum, kabhi saath rahte the,sukh dukh mein saath dete the, aaj kyon itne mazboor huye hum, kyon iss tarah aaj  door huye hum, kyon kisi gerr ki khaatir apno se muhh mod liya, kyon kisi gerr ki baaton ko sachh tumne maan liya, kabhi ek doosre pe karte the kitna aitbaar, aur aaj kyon bhool gaye humara pyaar, kyon tumne kisi gerr ki baaton mein aa kar bas nafrat ka rishta jod liya, kyon tumne  fir hume majhdhaar mein la kar tanha chhod diya, aakhir khata kya hui thi humse, kyon aise haalat k haathon majboor huye hum, kyon iss tarah se door huye hum...............