Friday 30 November 2012

Ishwar Vaani *11*.....Vishesh Uddeshya ईश्वर वाणी *11*.



 ईश्वर कहते  हैं " उन्होने प्रत्येक प्राणी को विशेष उद्देश्य से भेजा है, सभी प्राणियों के उद्देश्य अलग अलग होते है जैसा की सभी प्राणियों का स्वाभाव एक जैसा नही होता वैसे ही सबके उद्देश्य एक नही होते, किंतु  इसके  लिए किसी को कम या ज़्यादा नही  समझना चाहिए, क्यों की सभी प्राणी उस परमेश्वर के प्रिय हैं, और सभी के लिए उन्होने अलग अलग कार्य और समय  नियोजित किया है, तभी तो कब कोई राजा से रंक बन जाता है और कब  कोई रंक से राजा, समय के अनुसार सब बदलता रहता है, हर चीज़ का एक समय निश्चित किया है, अच्छा और बुरा समय भी उस परमेश्वर ने भी निश्चित किया है, किंतु काफ़ी हद तक अच्छे और बुरे समय क ज़िम्मेदार खुद भी होते है जैसा की ऐसा लोग कहते हैं, किंतु वास्तविकता तो ये है सब कुछ परमेश्वर ने ही भाग्या में जो लिखा होता है वो ही होता है, और हर अच्छा या बुरा वक़्त हम कोई ना कोई नये सीख देने के लिए ही ईश्वर ह्मे दिखता है, और इसके द्वारा वो हम हमारे  उन उद्‍देशैयो के नज़दीक ले जाता है इस समय क फेर के अनुसार जिनके लिए हुमारा जन्म इस धरती पे हुआ है",




सो अपने उन देद्देश्यों को पहचानो और उस परमेश्वर के दिखाए गये मार्ग पर चल कर उसका पालन करो....




Ishwar kahte  hain " unhone pratyek praani ko vishesh 


uddeshya se bheja hai, sabhi praaniyon k uddeshya alag alag hote hai jaisa ki sabhi praaniyon ka swabhaav ek jaisa nahi hota waise hi sabke uddeshya ek nahi hote, kintu  iske  liye kisi ko kam ya jyada nhi samajhna chahiye, kyon ki sabhi praani uss parmeshwar k priye hain, aur sabhi k liye unhone alag alag kaarya aur samay  niyojit kiya hai, tabhi to kab koi raja se rank ban jaata hai aur kab  koi rank se raaja, samay k anusaar sab badlta rahta hai, har cheez ka ek samay nishchit kiya hai, achha aur bura samay bhi uss parmeshwar ne bhi nishchit kiya hai, kintu kaafi had tak achhe aur bure samay k zimmedar khud bhi hote hai jaisa ki aisa log kahte hain, kintu waastvikta to ye hai sab kuch parmeshwar ne hi bhaagya mein jo likha hota hai wo hi hota hai, aur har achha ya bura waqt hume koi na koi naye seekh dene k liye hi Ishwar hme dikhata hai, aur iske dwaara wo hume humare unn uddesheyon k nazdik le jaata hai iss samay k ferr k anusaar jinke liye humara janm iss dharti pe huaa hai", 




so apne unn deddeshyon ko pahchaano aur uss parmeshwar k dikhaye gaye marg par chal kar uska paalan karo....

Thursday 29 November 2012

Ishwar Vaani *10* Ishwar ki dhrashti mein Prem ka Arth

Shri Krishna ne Geeta mein kaha hai "iss sansar mein reh kar avam bhotik rishton mein ulajh kar moh mein fasne ka naam prem nhi hai",  ishwar kahte hai, "yadi hm kisi bhotik kaaya se athwa bhotik rishto se prem karte hai to jb wo ya hm duniya tyagte hai uske baad ye prem khatm ho jata hai, q ki wo prem nhi bas uss kaya k prati pal do pal ka lagaaw tha jo uske jane pe khatm ho gaya, kintu vaastavik prem  kisi ki kaaya k nasht hone pe b na mitne  wala hota hai, iske saath hi prem ka arth sneh, sahyog, vishwaas, samman, bhaavnao ka aadar, tyaag, samarpan tatha ek dusre ki khushi hai,yaha swaarth aur ummidon ka koi sthaan nhi hai, kintu aisa prem manav khud manav se nhi kr sakta, aur iss kaaran prem hi pidaah ka mukhya kaaran bnta hai,"  ishwar isliye kahte h ki mujse prem kro to mai tumhe wo sab dunga jo ek sachhe premi ko milna chahiye, ishwar kahte hain main tumhare iss bhotik roop se nhi apitu tumhari aatma se tumhe prem karta hoon, tum bhi mujhse hi prem karo," ishwar samast bhotikta se dur hme abhotikta se prem aur lagaaw ki shiksha dete hai jo nashwar nhi hai.."

i love you dear jesus..

"zindagi kat jaygi yu hi chalte-2 par manzil na mil payegi mujhe bin tere, bhatakte huye raahon mein thokare khub legengi par na sahi raasta nazar aayega mujhe bin tere, log badaynge apne haath mujhe sambhalne k liye par zindagi ki kashti ko beech saagar  mein wo bhi yu chhod jaynge mujhe bin tere, ae mere maalik bin tere adhura hai mera ye jeevan, waada karna hey parmeshwar zuda na mujhse kabhi tum hona,q ki sooni ho jaygi meri ye zindagi prabhu sirf bin tere.."i love you dear jesus.. these linez i've written only for you..

Wednesday 28 November 2012

Mrityu ka Satya.....Ishwar Vaani *9-*ईश्वर वाणी -9



" ईश्वर  कहते हैं मृत्यु का अर्थ  किसी प्रिये का हमसे अलग होना नहीं है, मृत्यु तो वो स्थान है जहाँ हम जा कर ईश्वर की कृपा प्राप्त कर अथवा  प्रत्येक व्यक्ति अपने प्रिये जन से सदा सदा के लिए मिलन को प्राप्त होता है, किन्तु जिन आत्माओ को पुनर्जन्म प्राप्त हो जाता है तभी भी उसके उस भोतिक रूप और उस रूप में प्राप्त उन भोतिक रिश्तों के साथ भी उसके पिछले जन्म के अति प्रिये जन परमेश्वर के पास रहते हुए ईश्वर की कृपा  प्राप्त करते हैं और सदा आत्मिक रूप से उसके करीब तब तक रहते हैं जब तक की वो भी भोतिक शरीर के बंधनों से  मुक्ति प्राप्त नहीं करता है।" 





--
Thanks and Regards
 *****Archana**

Hey Parmeshwar..........For My Dear God...

"jo ruthe sansar mujhse fikar na mujko uski ho, jo chhod kar mujhko dur chala jaye chaahat na mujhe uski ho, jo rehna pade akela mujhko tamanna na kisi ko pane ki ho, jo pade sab kuch sehna na du ilzaam ye kisi ko, nahi hai fikar kisi ki mujhe jab mere hal pal saath tumhi ho, hey parmeshwar tumhi ho.. i love you god very much Dear God...."

 "tu jo hai to sab kuch hai, na koi kami hai..",


 "hey ishwar jaise aap Mahabharat mein Arjun k rath k sarthi bne the, waise hi mere jeevan rath k saarthi ban kar mujhe har galat rasthe par jane se bachana, sadaa mera aise hi maargdarshan karte rehna, kabhi meri galti par naraaz na hona, mujhe galat sahi ka bodh karate rahna prabhu, mujh par sada apni kripa bnaye rakhna hey parmeshwar.."

Monday 26 November 2012

ruthe sanam ko manana achha lagta h(romanatic shayri)

"ruthe sanam ko manana achha lagta h, ruthe sanam ko satana achha lagta h, wo hote h khafa mujse meri iss adaa pe, par apni issi adaa se unhe lubhana achha lagta h.."

har k apne dil ki baazi (Sad Shayri)

har k apne dil ki baazi pyar na unka hm jeet sake, nam unhe kr k apni zindagi saari saath unka na pa sake, kya kahe unhe hm, hmne to ab unhi k diye gam mei haari apni zindagi saari, par wo jeet kar bhi mere ho na sake..