Thursday 29 November 2012

Ishwar Vaani *10* Ishwar ki dhrashti mein Prem ka Arth

Shri Krishna ne Geeta mein kaha hai "iss sansar mein reh kar avam bhotik rishton mein ulajh kar moh mein fasne ka naam prem nhi hai",  ishwar kahte hai, "yadi hm kisi bhotik kaaya se athwa bhotik rishto se prem karte hai to jb wo ya hm duniya tyagte hai uske baad ye prem khatm ho jata hai, q ki wo prem nhi bas uss kaya k prati pal do pal ka lagaaw tha jo uske jane pe khatm ho gaya, kintu vaastavik prem  kisi ki kaaya k nasht hone pe b na mitne  wala hota hai, iske saath hi prem ka arth sneh, sahyog, vishwaas, samman, bhaavnao ka aadar, tyaag, samarpan tatha ek dusre ki khushi hai,yaha swaarth aur ummidon ka koi sthaan nhi hai, kintu aisa prem manav khud manav se nhi kr sakta, aur iss kaaran prem hi pidaah ka mukhya kaaran bnta hai,"  ishwar isliye kahte h ki mujse prem kro to mai tumhe wo sab dunga jo ek sachhe premi ko milna chahiye, ishwar kahte hain main tumhare iss bhotik roop se nhi apitu tumhari aatma se tumhe prem karta hoon, tum bhi mujhse hi prem karo," ishwar samast bhotikta se dur hme abhotikta se prem aur lagaaw ki shiksha dete hai jo nashwar nhi hai.."

No comments:

Post a Comment