Saturday 24 November 2012

Ishwar Vaani.......8 **maanav ko dharti k atirikt aur kahi kisi grah par rahne yogya kyon nhi **

pyaare doston aaj hum aapko humare dwaare ishwar se puchhi gayi kuch baaton ko aapse share karna chahte hain, kuch sawal jo humare dil mein the aur unhe humne prabhu se puchha, unhone bade saadharan aur sahaz tareeke se uska jawab diya...


Q.- humne puchha Bhagwant aapne maanav ko dharti k atirikt aur kahi kisi grah par rahne yogya kyon nhi banaya hai, q nahi aapne maanav ko anya grah par rahne, basne aur waha jeevan jeene yogya banaya  hai, q aapne maanav ko sirf aur sirf dharti hi di hai, q maanav jaise prathvi par rahta hai anya grah par rah sakta??

Ans.- Ishwar ne kaha, "maanav ko dharti pe unhone dharti ki dekhbhaal, kamjor aur jaruratmand praniyon ki surakha hetu bheja tha, unka maksad maanav ko dharti ko behad khoobsuat bana kar rakhne, samast praniyon k saath mil jul kar avam bhratatva bhaav rakhne, har jaruratmand ki sahayata hetu bheja tha, aur iske liye maanav ko aur praniyon se jyada vishesh shaktiyan bhi di thi, kintu maanav ne apnee shaktiyon upyoog apne swaarth k liye kiya, jis kaaraya k liye usse prathvi par bheja usse vimukh ho gaya wo, aaj wo sirf aur sirf apne liye jeeta hai, apne jeevan k uddeshyon ko bhool gaya hai, ishwar ne kaha hume aadi kaal mein hi pata tha ki maanav ek din apne kartavyon se vimukh ho jaayga isliye usse iss kaabil nahi banaya ki wo anya grah pe apna jeevan yaapan kar ske, yadi maanva aur grah pe aa kar basne k kaabil hota to yaha par bhi dharti ki burai ko saath lata, isse brahmaand ki barson se chali aa rahi shaanti bhang hoti iske saath brahmaand ki alokik dhan-sampada par bhi sankat chhane lagta, aur maanav iske baad  ek ek kar ke anek grah ko apne kabje mein le leta, jise wo apni sampatti samjhta, aur ek din aisa aata jisse wo khud ko ishwar samjhne lagta, ishwar ne maanav ko iss ahankaar se door rakhne k liye hi inn grahon ki rachna ki hai taaki insaan chaah kar bhi inn grahon ka na to swaami ban sake aur na hi waha maanav jeevan sthaapit kar sake, ishwar hi kan kan mein viraajit hai, aur iss brahmaand par aur samast grah nakshatron mein kewal wo hi niwaas karte hain, maanav ka inn grahon par basne ka sapne to bas sapna hi ban kar rahega, aur maanav khud ko ishwar samajhne ki bhool na karne se door rhe,

iske saath hi Ishwar ne ye bhi batya ki inn grahon mein kewal "mata" ka sthaan prathvi ko hi praapt hai, aur ek praani ko janm ek maa hi deti hai, isliye maanav anya grahon mein panap nahi sakta, maanav ki kaliyugi  prakrati k vishya mein pahle hi unhe maalum tha tabhi unhone sirf aur sirf bhotik swaroop k aadi se ant tak k liye aur uske bharan poshan k liye prithvi ko hi chuna .. "

Q.- humne Ishwar se puchha ki maanav ki utpatti aur uski sabhyata ka vikaash sbse phle kahan huaa tha??

Ans.- unhone kaha, "maanav aur sabhi praaniyon ki utpatti ke liye maine apne hi prateekon ko unhe janm dene hetu bheja iske saath samast praaniyon mein ye budhhi di taaki wo iske baad khud apne jaise praaniyon ko prithvi pe utpann kar sake,iske saath hi maanav ka janm kisi desh vishesh mein hua ye to main nahi bataunga, q ki jab maanav ka janm hua avam maanav ki sankhya badi uske pashchaat samast deep samooh (continents) ek doosri jagah tezi se khisakne lage, ye badlaaw itna tezz tha ki jaha kabhi bhoomi hoti thi waha samandar aa gaya aur jaha samandar hua karta tha waha bhoomi ho gayi, iss prakaar kai maanav to iss badlwaao ko sahan na kar sake, kai ki isme mrityu ho gayi  par jo bache wo bichaad kar duniyon k anek hisson mein bat gaye, ek nayi sabhyata waha viksit hui, alag alag sthaanon par waha k vaatavaran k anusaar unki sabhyata avam sanskrati ka vikaas huaa.."

Q.-humne pucha prabhu se, "prabhu kaliyug ka ant avam satyug ka shuru hona kya hai, kaise kaliyug ki samaapti hogi, kaise satyug ka aagman hoga, kya kaliyug k sabhi praani kisi maha pralay mein khatm ho jaaynge achhe bure sab, kya ab sab achhe bure ka bhed khatm ho kar saare praani khatm ho jaayngi dharti se???"

Ans.- Ishwar ne kaha," ishwar ne kaha kaliyug arthaat kaala yug, jahan logn ka hraday atyant kaala hai, jaha na to rishton naaton ko koi samman deta hai, aur na kisi kamjoor ki madad k  liye koi sochta hai, sochte to bas log apne liye hai, iss yug ki samapti sheeghra hone ko hai, apne apne antim charan mein hai, aasmaan mein maujood uss  Sheer Saagar mein se bahut unchi unchi lahar uthengi, aur wo lehare dharti par tabahi macha dengi, Sheer Saagar ka jal prathvi par maujood pahaadon se hota hua samast saagar aur nadiyon mein milne lagega, iski sankhya intee ho jaaygi ki samsat prathvi paani mein doob jaaygi, aise mein parmeshwar ek vishesh nauka le kar aaynge aur unn maanavon ko apne saath le jaaynge jo iss kaale yug mein rah bhi pavitra aatma the, jinhone satkarm ka maarg apnaya, anek kathinaiyon k baad bhi satkarm karna nahi chhoda, ishwar unhe iss vishesh nauka k saath apne lok le jaaygne, iske baad na sirf dharti apitu samast brahmaand jal magn ho jaayga, aur sab kuch khatm ho jaayga aur har taraf andhakaar rah jaayga, kintu aisa humesha k liye nahi hoga, barson baad ishwar fir se brahmaand ka avishakar karenge, fir se grah nakshatra aur dharti ka avishkaar karenge, prathvi k avishkaar aur usse jeevanpyogi banane k pashchaat jin praniyon ko unhone bachaaya tha unhe waha ek ek kar k bhejenge, fir se maanav ek nayi sabhyata ka nirmaan karega, sabhyata k nirmaan k saath satyug ka niramaan hoga, uss samay ka maanav chhal aur swaarth se door sachha hoga, jiss kaaray k liye maine usse chuna hai wo uss kaarya ko karne mein vileen hoga... "

Q- humne puchha parmeshwar se ki prabhu achhe log to aap satyug mein bhej doge, lekin jo log burai naamak beemari se iss kaliyug mein peedit hai unka kya hoga, maana ki wo iss pralay mein mar jaayge kintu unki aatma ka kya hoga, kya wo waapas iss dharti pe aaynge, aaye yadi wo aya to kay tab bhi aisi hi burai karenge jaise iss kaliyug mein karte hain??

Ans.- Prabhu ne kaha. "unn logon ki aatmaon ko unke karmon anusaar dand avshay milega, kintu jo log mratyu se poorv apne paapon k liye chhama maang lenge unhe satyug mein avashya bheja jaayga taaki wo apne paapon ka prayshchit kar sake, kintu jo praani chhama nahi maange unhe aane wale yug mein kisi na kisi roop mein aana hoga taaki unhe unke karmon ki saza mil sake, Ishwar kahte hain na jaane kitne baar maine srashti ki rachana ki hai, aur kitnee baar usse mitaaya hai, maanav jo dukh sukh bhogta hai ye uske karmon k anusaar hota hai, ye karm uske iss janm k nahi, aur na hi pichhe janm k hote hain, ye karm uske yugon yugon k hote hain, jinke parinaam swaroop praani sukh aur dukh paata hai...."


Q.- humne Ishwar se pucha ki Prabhu jab aap humare dil mein rahte ho, kan kan mein tumhara vaas hai, fir jab bhi ishwar ki baat hoti hai, to hum upar aasman mein kyon dekhte hain???

Ans.- Prabhu bole. "maine neele aasaman se le kar har kahi maujood hoon, ye satya hai ki jab bhi baat aati hai meri to log uppar dekhte hain aur kahte hai uppar baitha wo bhagwaan sabko dekh raha hai, wo isliye wo log mera bahut samman karte hain, aur jab kisi ka hum dil se samman karte hai to uska sthaan humesha unchaa hi rakhte hain, main har jagah hoon ye jante huye bhi log mujhe kahte hai ki main uppar hoon, unhe shayad ye lagta hai ki uppar rah kar hi main duniya par nazar rakh sakta hoon par aisa nhi hai, main to duniya mein har jagah hoon, aur har kisi par nazar rakhta hoon, mujhe apne chahne walon ko dekhne k liye aakash ki uchaaaiii nai chahiye hoti hai, bas dil se yaad karo main to uss k paas pahuch jaata hoon, ye to unka samman hai jo mujhe itnaa uppar rakhte hain, sadiyon se bani hai ye dhaarana ki Ishwar to uppar rahte hai, par aisa nahi hai, main to har jagah hoon... "

Q.- humne kis dhaarmik granth mein pada hai Ishwar ki jo praani shareer tyaagta hai, aur jiss roop mein aapki upaasna wo apne jeevit rahte huye karta hai, yadi wo sachha hota hai to usse apne aaradhya ka log prapt hota hai, Hey Ishwar aap to ek hai, ye to logon ne aapko anek naamon mei baant rakha hai, fir aap kya unke naam k anuroop apne lok ka niramaan karte hain??
 

Ans.- Ishwar ne kaha. "lok to wo hi hai ishwar log jahan par maanav ki sachhi aur pavitra aatma mere paas aati hai, aur main usse apne mein sama leta hoon, sachh to ye hai jo log jiss rooop mein meri araadhna karte hain, mratyu k pashchaat mere samaksh aane par unhe main waisa hi dikhta hoon jiski unhone upaasna ki, mann mein jaisee chhavi banayi, mera lok unki kalpna jaisa unhe dikhta hai, main lok nahi badlata, bas jaisa unki aatma chahti hai wo mujhe waisa dekh paati hai, aur mujhme vileen ho jaati hai.."


Q-humne Ishwar se puchha ki "Hey prabhu shrashti ki utpatti ki prakriya kya hai? aapne ye to bataya ki aakashiye divya jal se samasht shrasti ka nirmaan hua hai, uss divya jal se nikalne wale rasaayan aur unse nikalne wale anuo se shrasti bani hai, unn anuo ke aapas mein takraane se hi samast brahmaand ka nirmaan hua hai, kintu ishwar koi udaahran aap dein iss prakriya ka"?


Ans-Ishwar ne kaha "jis tarah se ek baalak ko iss duniya mein laane ki prakriya uske mata-pita dwaara hoti hai, ussi prakaar maine iss samast bhrahmaand ko avam tum sab ko iss srashti mein laane ki waisi hi prakriya ki hai, sabse pahle mere mann mein bas ye khyaal aaya iss srashti ko rachne ka, fir usse rachne ki kriya maine shuru ki, jo aisi thi jaise ek baalak ko duniya mein laanse se poorva uske mata-pita sochte hai ki ab koi baalak unki zindagi mein aana chahiye fir wo usse laane ki kriya shuru karte hai, aur mere liye ye samasht shrishti hi  meri baalak hai, wo aakashiye Divya Saagar iss samast jagat ki Mata hai aur wo Shoonya jo mahi hi hoon iska jagat ka Pita hoon,

Samast praniyon ki utpatti ka kaaran bhi samast shrishti ki tarah hi divya jal hota hai, ek Maa jis Divya jal se khud utpann hoti hai ussi se apni santaan ko duniya mein laati hai, apni baahon mein le kar wo use surakhsha, saamarthya, yogayata, aur vaatsalya deti hai, ussi prakaar aakashiye saagar bhi samast shrishti ko janm de kar usse surakhsha, saamarthya aur vaatsalaya pradaan karta hai, aakashiye saagar roopi Maa sanast Bhrahmaand ko apni baahon mein thaame huye hai aur iska samoochit dhang se paalan poshan kar rahi hai"...



so mere pyaare doston ye to kuch prashan ishwar se, jinhone mere prashno k uttar itnee sahajta aur saralta se diye, ummid hai aapko bhi ye jawab achhe lage honge, agar aapke mann mein bhi kuch sawal hai ishwar se to krapya aap mujhe likh bhejiye, hum aapko unn sawalaon jawab jarur denge............
--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

No comments:

Post a Comment