Wednesday 21 November 2012

God Says.............Ishwar Vaani *5* **wo hm sab mein rahte hai**



"ishwar kahte hai "wo hm sab mein rahte hai, kintu hm unme nhi hai, ishwar ka abipraye hai jaise ek baalak apne mata pita ka ek ansh hota hai waise hi hum sab uss prabhu ka ek ansh hain, kintu jis prakar ek baalak apne mata pita ka ansh hota hai kintu mata pita uska nhi hote, mata pita jitne chahe apna ansh apne baalak k roop mein sansaar  ko de skte hai, kintu baalak apni ichha se mata pita ko iss duniya mein nhi la sakta, waise hi hum prabhu ka ansh jarur hain kintu wo humara ansh nahi hai, uski ichha se sansaar ki samasht cheezo ka nirmaan hua hai, tabi to kan kan mein virajit hai, wo hum sab mein hai kintu hum sab usme nhi hai, mrityu k pashchaat hum uske paas jate hain aur wo , uski to kabhi mrityu hoti hi nhi hai, wo to janm maran se kosho door hai,, ." issi tarah ishwar hmare janak hain, hm ishwar ka ansh hai, wo hmare andar hai kintu hm usme nhi hain.."



Thanks and Regards
 *****Archana*****

No comments:

Post a Comment