Wednesday 21 November 2012

Sachha Saint.....God Says..Ishwar Vaani *4*


sachha sant wo nahi hota jo apne kartavon ko tyaag kar bhotik sansar se khud ko dur kar sanyaas prapt krta hai, prabhu kahte hain "ek sachha sant wo hota hai jo bhotik sansar mein rahkar, apne kartavyo ka purn roop se nirwaah karte huye inn cheeze ko ka tyaag karta hai jo iss prakaar hai-kaam, krodh, lobh, moh aur ahankaara, iske atirkt usme aseem dherya aur daya ka hona bhi behad zaruri hai, iske saath hi jo manushya sachhe dil se ishwar ki stuti krta h, unka smaran krta h aur chahe jeevan mein jaisi bhi parishtithiya ho uska prabhu par se vishwaas atoot hota hai aur saath hi apne dil mein, dimag, mein, dhadkan mein, apni saanso mein unhe rakhta hai, unhe yaad karta hai, wo hi prani ek sachha sant hai," kul milakar bhotik sansan mei rahte huye, bhotik rishto aur bhotik kartavyo ka purn nirwah karte huye jo apne dil aur aatma se abhotik rahta hai arthaat kisi bhi moh maya mein nahi fasta kewal apne kartravyon ka paalan karta hai, wo hi dharmatma ya fir sant hai, prabhu iske liye sant Sudama ka udaahran dete hai, prabhu khte hain "jaise sant Sudama ne apne bhotik rishto ko nibhate huye, apne kartavay ka palan karte huye wo bhagwan shri krishna k paas madad k liye gaye the kintu dil se wo purn roop se abhotik rah kar bhagwan shri krishna k bhakt the, wo kisi k moh mein fasse huye nahi the, sirf aur sirf prabhu k aseem prem mein doobe huye the," iswar hme waisa hi sant k liye kahte hai na ki sant k naam par pakhand karne k liye.."

-- 
Thanks and Regards
 *****Archana*****

No comments:

Post a Comment