Thursday 22 November 2012

Ishwariya Satya............ Ishwar Vaani *7*

"kisi ne puchha mujhse ki agr bhagwan jab dil mein rahte hai to hm q unhe mandir ya fir kisi dharmik jagah dhunte h, hmne usse btaya ki ye sach h ki ishwar to hmare dil mein niwas karte h par kya ek baar bhi kisi ne dil se ghar par rahte huye unhe yad kiya h, ghar par puja krte huye bhi hmara sara dhyaan ghar ki hi baato me laga rahta h, dil me rahne wale prabhu ki upaasna to bas ek chhalawa hai jisse hm manne se inkar krte h, hmne usse btaya ki mandir ya anya kisi dharmik jagah ka nirman isliye kiya jata h athwa kiya gaya hai jaha ja kar hm bhale kuch pal k liye hi sahi ghar ki, baahar ki saari baaten bhula kr sachhe dil se prabhu ko yad kr sake, hmare dil me wo rahte h kuch pal k liye sachhi bhawana se unse jud sake, unhe yaad kar sake, unn mahanubhav ka tark tha prabhu k darbar me ek baar jana kafi hota h, fir q log bar-2 dharmik sthaano par jate h? hmne kaha ye sach h kuch log aisi jagah b mauj masti krne k liye jate h, par jo shakhs sachhi ishwariya bhawna se aisi jagah jata h wo galat nhi h q ki ishwar se judne k liye koi samay seema tay nhi h ki prabhu se jeevan me ek baar hi juda ja sakta h, aur aaj k samay mein intne samashyaon se ghire rahte aur ativyasht kaarayakram k kaamran hum ghar pe rahte huye prabhu se nahi jud sakte isliye aisi jagah kuch pal k liye saari baaton ko bhula kar bas sachhe dil se prabhu ko yaad karna ya unki stuti karne jane mein koi harz nahi hai, aadi kaal mein logon ko ya maalum tha ki kaliyug mein maanav k paas schhe hraday se ishwar ko ghar pe rahte huye yaad karna, unki upaasana karna mushkil hoga tabhi aisee dharmik jagahon ka nirmaan kiya gya jaha wo ishwar se sachhi bhavna k saath jud sake, hmne usse btaya ki log kahte h ki hm falan dharmik jagah gaye aur hmari mannat puri hui, sachh to ye h ki jis waqt wo mannat ki thi uss waqt dil purn roop ishwar me vileen tha, sachhe mann aur bager kisi bhatkav se uss waqt mangi mannat purn hui, wo mannat ghar se bhi poorn ho sakti thi yadi ghar pe rah kar schhi ishwariya bhavna mein vileen ho kar wo mannat maangi jaati q ki sachh to ya ishwar kan kan mein viraajit hai, humare dil mein unka niwaas hai, humne unn maahnubhav ko batya ki yadi koi paapi vyakti paap karm karta hai to ek pal k liye uske dil se aisa na karne ki aawaz aati hai, jisse wo ansuna kar deta hai, uska paap uss par iss kadar haavi hota hai jiske kaaran wo uss aawaz ko sun kar bhi  nhi sun pata hai, ye aawaz hi ishwar ki asali aawaz hoti hai, jo dil se nialti hai, aur hume humesha galat sahi ka bodh karaati hai kintu uss awaaz ko sun kar bhi hum ansuna kar dete hai,



    unn mahanubhav ko kis bhi dharmik jagah par ishwar ka anubhav nahi hota tha, wo dharmik sthaan par maatra ghoomne k maksad se jaaya karte the shaayad, unhe ye bhi nahi pta tha ki kisi bhi shakti peeth mein ishwar ka niraakar roop q viraajit hai, humne unhe bataya ki kisi shakti peeth mein ishwar apne niraakar roop mein isliye viraajit hai q ki wo ye sandesh samast shrasti ko dena chahte hai ki ishwar ka vaastavik roop ye hi hai, hum unhe jiss roop aur naam se sachhe dil se yaad karte hain, unhe pukaarte han wo ussi roop mein humare samaksh hote hai, Geeta mein likha gaya hai ki mukhya to bas ye hi hai ki jiss bhi naam aur roop se ishwar ka smran karo, mukhya to ye hai ki unhe yaad karna, jiss bhi naam se unhe pukaro ant mein aana to unhi k paas hai, chahe unhe Ram kahe,Krishna kahe, Durgh kahe, Jesus kahe, ishar to bas ye hi chahte hain jis b roop mein unhe pukaro, unki araadhana karo par karo jarur, jis bhi naam se unhe pukaro jana to ussi niraakar parmeshwar k paas hi hai...........




--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

No comments:

Post a Comment