Sunday 10 February 2013

tumse hi to h meri zindagi ki har shuruaat..

"meri zindagi ki har subah tumse h, meri zindagi ki har shaam tumse h, tumse hi to roshit h meri ye zindagi, tumse hi to h meri har khushi, na chhod jana mujhe tum kabhi, na ruthh jana tum fir kabhi, bin tumhare na ji sakenge ek pal bhi, tumhare hi ek saath ki jarurat h mujhe har kahi, kyon ki meri zindagi k har pal ki aas tumse h, hey prabhu sirf tumse hi to h meri har baat, hey parmeshwar tumse hi to h meri zindagi ki har shuruaat.."

Saturday 9 February 2013

kyon tum aaj bhi mujhse khafa-khafa se ho


kyon tum aaj bhi mujhse khafa-khafa se ho, kyon tum aaj bhi mujhse juda juda se ho, kyon aaj bhi tum mujhe rulaate ho, kyon aaj bhi tum mujhe satate ho, hain kinti namm meri aankhe door tumse jaane par, hai kinta dard dil mein mere tumse rooth jaane par, rahte ho aaj bhi mere dil mein ussi tarah fir bhi kyon kahte ho ki tum dur mujhse rahte ho, hai nahi koi aaj bhi kareeb mere sirf tumhare aur tum kahte ho hum tumhare bagerr rahte hain, kyon tum aisa kahte ho, kyon tum dil mera tod dete ho,shayad dil mei tumhare jagah nahi mere pyar
ki, fursat nahi tumhe meri chahato k ikraar ki, tabhi tum shayad har
baar rishta tod dete ho..

Thanks and Regards
 *****Archana*****

Friday 8 February 2013

tod na jaye mera wo koi hasin sapna bhi dil samajh ka....




 "kabi taraste the ek dusre ki jhalak pane k liye, aaj parchhayo se bhi dur rehte h, kabi karte rahe intezaar barso baras ek milakaat ka, aaj nazdik aane k khyaal se bhi dur rehte h, kabi bas didaar unka ho jaye aaj ye soch kar subah uthte the, aaj kahi wo mil na jaye kahi ye soch kar raasta badal lete h, kaash aaj shaam wo nazar aa jaye mujhe khidaki par kabi ye soch kar nazare bichhaye darwaze pe khade rhte the, aaj wo kahi dikh na jaye kisi jharokhe se ye soch kar har darwaza band kr lete h, kabi kaan lagaye rehte the unki halki c aawaz k liye, aaj kaan band kr lete hai ye soch kar ki kahi wo fir mera dil na tod jaaye, kabi na pyaas bujhti thi unhe dekhe bager, aaj ye soch kar palke band kr lete h kahi tod na jaye mera wo koi hasin sapna bhi dil samajh ka...."

Thursday 7 February 2013

Ishwar Vaani-18 **satya ki raah**


Ishwar kahte hain “yadi hum satya ki raah pe chalte hain to aisi raah mein kayi aise log hume milenge jo humare param aalochak hounge aur kayi aise log bhi hume milenge jo humare samarthak hounge, lekin hume na to apne aalochakon ki taraf koi dhyaan dena hai aur na apne samarthakon ki oor kyon ki yadi hum apne aalochakon ki baton  ko dhyaan mein rakh kar kaarya karne lagte hain tab bhi na to unhe kabhi khush rakh sakte hain kyon ki unki to aadat hi hoti hai kuch na kuch khaami nikaalne ki iske saath hi hum apne mool kartravayon se bhi dur hote jaate hain, unki aalochana avam unhe prasann rakhne hetu kaarya hume humare mukhya lakshya se dur le jaata hai, isliye hume unki taraf dhyaan nhi dena chahiye, iske saath hi hume apne samarthakon ki taraf bhi dhyaan nahi dena chahiye, kyon ki yadi hum unki taraf dhyaan denge to hume ahsaas hoga ki hum bilkul sahi hai iske saath hi ahankaar ki bhaavna bhi dheere- dheere humare mann mein ghar karne lagegi ki hum sarvashva hain, mann mein ye bhaavana ghar karne lagegi ki hum auron se shreshta hain tabhi to log aaj humare samarthak hain, humare saath hain, iss bhaavana se bhi hum apne mool kartavyon ki bhool kar apne ahankaar mein doob jaaynge, isliye jab bhi hum kisi kaarya ki poorti ke liye kadam badate hain to hume kisi aur ki saraahana ya fir aalochana ki aavashyakta nahi hai bas mann mein drin vishwaas hona chahiye ki hum sahi hai, yadi hum sahi hain, humara apne uddeshya prapti ka maarg sahi hai, to chaahe puri duniya humari samarthak bane ya aalochak hume uski parwah nahi karni chahiye kyon ki yadi hum sahi hai to bhale puri duniya hume akela chhod de kintu wo parmeshwar sadev humare saath hai kintu yadi hum galat marg aur galat uddeshya ki prapti ki oor agrasar hain to bhale  bhaati jaan lein kichaahe saari duniya humari samarthak ho jaaye kintu wo parmeshwar humare saath kadaapi nahi hai, isliye apne uddeshya prapti hetu hume iss mayavi bhotikta se utpann maanav ke samarthan avam aalochan ki jagah ishwar ke saath ko prapt kar apne kaaryon ki poorti ka marg apnana chahiye, bhale hi iss kaarya mein anek kathinaiya aaye, bhale jeevan nark ban jaaye kintu hume sahi avam satya ka maarg nahi chhodna chahiye, mann mein poorn drin vishwaas rakhna chahiye ki yadi hum sahi hai to nishchit hi safata ko ek na ek din hum jarur prapt karenge, paapi maarg bhale hi hume bahut jald unchaiyon par le jaaye kintu wo naashwan hai, jab to nasht hota hai to aakash se gir kar maavan aise zameen mein girta hai jaise aakash mein udne wale pankshi ke kisi ne pankh kaat liye ho aur iss prakaar wo  fir  sambhal nahi paata kintu satya aur sahi maarg par chal kar bhale hi derr se aur anekon kashton ko seh kar hume safta praapt hoti hai kintu wo hume sadev unchain tak hi rakhti hai, kyon satya aur sachhe marg pe chalne walon ke saath sadaa parmeshwar rahte hain aur sadev hi sachhe aur sahi maarg pe chalne walon ka maardarshan karte hain, Ishwar dherya  rakhne walon, doosron ke hit ke liye apne samast sukh ko tyaag kar nihswaarth bhaav se praani kalyaan hetu kaarya mein lage praaniyon ke ko sachhi seva bhavana ko hi sachhi bhakti kahte hain, sadev Ishwar unke saath rahte hain jo sadev doosron ki prasannta avam unke hit ki vishya ke bare mein na sirf sochte hain balki karne ki tatpar rahte huye unke liye kaarya karte hain jinhe iski sabse adhik aavashyakta hai, Ishwar sadev hi sahi avam satya ke path par chalne wale pathik ke saath hain.. ”

Anhoni ghatnaaye part-1

Anhoni ghatnaaye part-1

Humari zindagi mein kabhi kabhi aisa kuch ho jaata hai jis par yakin karna bahut hi mushkil hota hai, yadi iss vishya mein kisi se charcha karo to log ya to haste hain ya fir maze lene ke liye baate sunte hai ya fir dimaagi mareez samajh kar kisi achhe chikatshak se milne ka nihshulk mashvara dete hain, aisa wo log isliye karte hain kyon ki unhe humare baat pe yakin nahi hota, bhala ho bhi kyon aakhir unhone to ya fir unki zindagi mein aisa kuch thode hi hua hai jo wo kisi asambhav se ghatna pe yakin itnee aasani se kar lein, aakhir unhe ispe yakin karne ke liye pramaan chahiye hote hain kintu kuch ghatnaye aisee hotee hain jinke humare paas pramaan nahi hote kintu iskta arth ye kadaapi nahi hota ki jiske pramaan nahi hai wo hai hi nahi iss shrishti pe ya unka koi astitva hi nahi hai,
      Kintu maine dekha hai waise to log aaj ke samay mein kaafi pade likhe bante hai aur kahte hain ki wo kisi aisee ghatna pe yakin nahi karte jiska koi saakshya na ho lekin maine dekha hai ki chori chupke wo bhi yakin karte hain ya fir haalat ne unhe bhi iss par yakin karwa hi diya.
  Ab meri hi baat le lijiye ek waqt tha jab mujhe Ishwar yani ki bhagwan pe sandeh tha ki wo iss duniya mein hai bhi ya nahi, jab bhi baat chalti to mann mein mere bas ye hi khyaal aata ki kya wo parmeshwar, wo khuda wo ishwar hai kya iss jagat mein, kintu august-1999 ki yaani ki mere school ke samay ki baat hai meri kuch saheliya school se chhutti hone pe church jaane wali thi, to unhone mujhe bhi ek baar church chalne ke liye aamanatrit kiya aur maine bhi isse pahle kabhi church nahi dekha tha isliye haan bol diya, lekin waha ja kar ahsaas hua ki jaise khud Ishwar ne mujhe yaha bulaaya ho, wo khud mujhe apne kareeb laana chaahte ho, ek behad ajeeb lekin sukhad ahsaas mujhe waha hua, kintu fir iske baad mujhe church gaye 4 saal ho gaye, 4 saal baad aug.2003 mein main aur mera pareewar waha gaye aur mujhe ahsaas hua shayad ye hi wo jagah hai jo mere liye sahi hai, ashaas hua haan ishwar hai, aur iske baad ishwar ne mujhe kabhi akela nahi chhoda, humesha aur har kadam par wo mere saath rahe,
    Lekin Ishwar aur mera ye rishta sirf itnaa hi purana nahi hai, Ishwar aur mera ye rishta to janm janmantron se raha hai, mujhe yaad hai bachpan mein jab meri maa mujhe maarti peet ti thi aur aur khaane peene ko bhi kuch nahi deti thi, jab ghar mein vibhinn tarah ke atyaachaar mujhe pe hote the tab akele mein ek aurata mere paas aati thi, aur jab jab maine usse puchha kit um kaun ho to wo kahti ki main tumhari maa hoon, aur mere muhh se nikalta ki meri maa to wo jo mujhe maati peet ti hai, atyachar karti hai, iss vishya mein wo kuch nahi kahti, kahti to bas itnaa ki wo meri maa hai aur ek din mujhe yaha se jarur le jaaygi, bhookh pyaas se vyaakul mera mann hota to wo mujhe meri pasand ki har cheez khilati thi lekin wo kabhi mere siwa kisi aur ko nazar nahi aayi, jab bhi maine khud ko akela paaya to uss aurat ko apne kareeb paaya, fir jab mera 11th class mein kisi doosare school mein daakhila hua to waha mera vishya tha manovigyaan, jisme maine pada ki kabi kabi humare andar ki kalpana humare kaalpnik roop mein hume nazar aane lagti hai, hum usse baat karte, uske saath khelte hain kintu asal mein wo kuch nahi bas humari kalpna hoti hai, praachin Bharat mein isse bhool preton ka saaya bhi kahte the kintu aaj ye ek dimaagi beemari hai jo vibhinn kaaranon se hoti hai, so meri samajh mein ye to aa gaya tha jo aurat mujhe dikhai deti hai wo meri bas ek kalpana hai kintu mujhe wo mann ki kalpana achhhi lagne lagi, mujhe usse behad pyaar milta tha jo mujhe kabhi kisi se nahi mila, wo kalpana mujhse kahti thi ki ek din wo mujhe yaa se jarur le jaaygi kintu abhi sahi samay nahi aaya hai par ek din wo jarur le jaaygi, aur issi ummid mein maine apni zindagi ke 16 saal jab tak ki manovigyaan ka wo chapter nahi pada tha tab tak ummid rahi ki ek din wo lady mujhe yaha se le jaaygi apne paas uss duniya mein jaha sirf aur sirf pyaar hoga, koi kisi ka dushman nahi, koi bhed-bhaav nahi, bas waha hoga to pyaar, pyaar waha bas bikhara pada hoga, lekin manovigyaan ke uss chapter ne mujhe kalpana ki uss udaan se jaise zameen pe la diya,
   Lekin waqt ke saath mujhe ahsaas hua jise maine apne mann ki kalpana samajh liya tha wo meri mann ki kalpana nahi balki saakshat Mother Marry thi, unka ye kahna ki ek din wo mujhe apne paas jarur bula lengi ka arth tha ki ek din wo mujhe parmeshar ki sharan mein jarur kheech lengi, mere mann mein jo ye dvand chalta tha ki Ishwar hain ya nahi iss dvand se unhone mujhe na sirf baahar nikala balki jo wo bachpan se kahti aayi thi ki ek na din wo mujhe apne paas bula lengi unhone wo hi kiya, aur rahi baat pyaar ki, jaha koi berr bhaav nahi, jahan koi bhed-bhaav nahi to aisa sthaan sirf Ishwar ki sharan ke atirkt hume aur kahan mil sakta hai,  
   Iske saath hi ek aur Ishwariye ghatna mere saath bachpan ke samay mein hui thi, mujhe yaad hai meri umar uss waqt 8 ya 9 saal ki rahi hogi, mujhe aur bachhon ki tarah hi ghar ki deewaron pe drawing kar ke unhe bigaadna kaafi achha lagta tha, uss din navraton ka shayad pahla din tha, maine deewar pe mata ki drawing banana shuru kar di, maine Mata ki 3 bahut hi khoobsurat c drawing banai, lekin jaise hi wo drawing poori hui to maine dekha ki unme halchal c hone lagi hai, mata ki aankhon ghoom rahi hai aur wo muskura rahi hai, main jaha mudu mata ki aankhe wahi ghoom jaaye aur iske saath hi mata ke hounthon pe pyari c muskaan bhi jhalak rahi thi, iss drashya ko dekh kar meri to haalat hi buri ho gayi aur darr ke mare mujhe to bukhaar tak aaya gaya,
    Ye to ghatnaaye thi jo mujhe Ishawar ki taraf kheech rahi thi, aaj Ishwar ke kareeb aa kar maine unki shakti ka aur bhi anubhav kiya hai, haalaki meri paas Ishwar ki shakti avam meri saath jo unhone ye leelaye rachi unka koi praman ya saakshya nahi hai kintu iska arth ye bhi nahi hai ki aisa biklul bhi hua na ho ya maine thodi c bhi kalpna kar ke aapko ye baat batayi ho,
Doston mere iss ank mein aapne Ishwar ki shakti ke bare mein pada, aapne pada ki Ishwar ne kis prakaar mujhe apnee oor kheecha, doston aisi hi kuch ghatnaye hai jinme longon ne ishwar ke vipreet roop yani ki bhoot-preton ko mehsoos kiya hai, wo kahaniya agle bhaag mein..

Dhanyawaad

Archu


jal bin tadapti machhali hoon main


“jal bin tadapti machhali hoon main, patjhat ka sookha hua patta hoon main, bujha hua sa koi chiraag hoon main, saagar ki leharo se takara kar doobi hui si koi kashti hoon main, kya batau ab tujhe main, tere bin na roti aur na hasti hoon main, thehar si gayi hai ye zindagi meri tere bina, ae kaash jara tu dekh le ek baar mudkar to mujhe, tere hi to bas pyaar ki pyaasi hoon main, nahi hai koi aakansha dil ko mere iss duniya mein chha jaane ki, hai to bas itne si abhilaasha tere laut aane ki, maana bahut sataya tujhe maine, maana bahut rulaaya hai  tujhe maine, par puchh to ek baar dil se apne kya tune kabhi hasaya hai mujhe, chhod beeti wo kadwi yaade aa ab tu laut aa, na tu mujhe ab aur tadpa kasam hai tujhe ab tu laut aa aur dekh jara ki kis tarah tere bin bikhari hui si hoon main….”

Wednesday 6 February 2013

adhuri si lagti h ye zindagi tumse dur jane par-अधूरी सी लगती है ये ज़िन्दगी तुमसे दूर जाने पर

 "अधूरी सी लगती है ये  ज़िन्दगी तुमसे दूर जाने पर,झूठी सी लगती है हर ख़ुशी तुमसे रूठ जाने पर,जब  आती है तुम्हारी वो प्यार भरी बातें जुदा तुमसे होने पर कमी उनकी खलती है,आता है ख्याल मन में मेरे शायद दिलों में ही कम था प्यार हमारे,शायद चाहतों सैलाब कम था ज़ज्बातों में हमारे तभी आई बीच हमारे ये दूरिय,पर इन दूरियों के बाद क्यों आस सी दिल में जगी रहती है,क्यों आज भी मुझे तुमसे मिलने की उम्मीद होती है"। 

"adhuri si lagti h ye zindagi tumse dur jane par, jhuthi si lagti h har khushi tumse ruthh jane par, jab yaad aati h tumhari wo pyar bhari baate juda tumse hone par kami unki khalti h, aata h khyaal mann mein mere shayad dilo mei hi kam tha pyar hmare, shayad chahat ka sailaab kam tha zazbato mei hmare tabhi aayi beech hmare ye duriya, par inn duriyo k baad q aas si dil me jagi rhti h, q aaj bhi mujhe tumse milne ki ummid hoti h.... "