Saturday 9 March 2013

seh liya karte the......


"dil todna aadit thi tumhari dil jodne ki baat tum karte the, gam dena fidrat thi tumhari khush rehne ki baat tum krte the, laga ke chot seene pe aksar isse chhipane ki baat kaha krte the, bana ke zindagi ko meri ashko ka dariya chaahat-e-ishk tum isse kaha krte the, meri har wafa ko bewafai keh tum  har dafa bewafai mujse kiya krte the, de kar dard judai ka aksar tum muskurane ke liye kaha karte the, aaj juda ho kar bhi yaadon mein meri aa kar yaadon mein hi rulaaya karte ho, khush ho tum mujhe gam de kar to hum bhi khush hain tere har sitam seh kar, chaahi hai zindagi mein maine sirf ek teri hi khushi har dam, raho sadaa khush tum ye hi soch kar diya tera har dard bhi hum hass kar saha karte the, teri khushi ke liye hi tera har sitam hum yu hi seh liya karte the......"

Friday 1 March 2013

tere jaane ke baad

tere jane ke baad na apna sake hum kisi par tu ya na samajh ki mila na mujhe koi tere jaane ke baad, sachh to ye hai mile bahut mujhe tujhse juda hone par lekin na raha aitbaar kisi par tere jane ke baad,

tere jaane k baad na bana sake apna aur kisi ko par tu ye na samajh tujhse mohabbat hai ab iss dil ko tabhi na apna sake hum kisi ko, sachh to ye hai na raha ab aitbaar kisi ki chaahat par mujhe tere jaane ke baad,


tere jaane ke baad na ban sake hum kisi ke hamsafar aur na koi bana hme saka apna dilbar par tu ya na samajh tujhse karte the kabhi koi ummid tujhe apna hamsafar banane ki lekin har rishte se karne lage hain nafrat aaj hum tere jaane ke baad,


tere jaane ke baad hain kuchh udaas aaj bhi hum par tu ya na samajh gam hai mujhe tere jaane ka sachh to ye hai hain aaj bhi utnaa akele jitna rahte the tere saath hum akele, sochh kar har wo teri beeti baat yaad kar karte hain hum tere jaane ke baad,


tere jaane ke baad hain namm aakhne meri par tu ye na samajh hai dil mein koi gam mere isliye namm hai aankhe meree par sachh to ye hai ki the tanha saath bhi hum aur hain aaj bhi akele hum tere jaane ke baad,



tere jaane ke baad na ummid the hum aur aaj bhi koi ummid nahi zindagi se apni par tu ye na samajh tujhse karte the koi ummid hum, na ummid ke saath aaj bhi jee rahe hain apnee ye zindagi hum tere jaane ke baad,


tere jaane ke baad matlab-e-Ishk mujhe samajh mein aaya, duniya ka dastoor mujhe samajh mein aaya, hoti hai kya chaahat ke badle bewafai iska matlab mujhe samajh mein aaya, na aa sake fir kisi ke Ishk mein hum kyon iski sachhai ka matlab jo baad mein samajh aaya, door hote gaye hum dheere-dheere Ishk ki duniya se tere jaane ke baad,



tere jaane ke baad karte gaye khud ko zindagi se juda par tu ye na samjhna darte the hum bin tere zindagi jeene mein isliye karne lage hain khud ko khud se juda par sachh to ye hai iss zindagi mein mili hai jo bewafai apno ke naam se uska dard na kar sake hain bardsaast hum, isliye karne lage hain khud ko aaj barbaad hum bas tere jaane ke baad,


 hain nahi iss dil ko ab koi chaahat tere laut aane ki tere jaane ke baad, gaya hai tu hi mujhe tanha chhod kar maine nahi kaha tha tu chala ja kahi mujhe yu tanha chhod kar, aana to kabhi to laut aana mere paas lekin ye mat sochna na apnaynge hum tumhe ab fir kabhi tere yu jaane  ke baad, 


tere jaane ke baad ujadi hai zindagi meri, hogi aabad kabhi tere lautne ke baad aisa tu sochna bhi mat kyon ki karte hain mohabbat jo tujhse itnee kaise kahe  kis kadar kho chuke hain apna sab kuch tere jaane ke baad, hain aaj bhi hum to sirf aur sirf tere yu tere jaane ke baad..........

Aitbaar to Kara de.......

"tere intezaar mein main apni zindagi guzaar du par tu mujhe ek baar ye aitbaar to dila de ki tujhsa wafadar na milega mujhe kahi, tere pyaar mein apni zindagi guzaar du par tu ye aitbaar to jara dila de ki tere jaisa aashik na milega mujhe kahi, tujh par ho jaau main fida zamane ko chhod kar par jara tu mujhe apni chaahat ka aitbaar to  ek baar kara de, tere liye chhod ke apni khushi thaam lu haath tera aur apna lu ye teri yaari par ek baar tu na chhodega kabhi haath jo mera na chhotegi teri yaari mujhe ek baar iska  aitbaar to kara de, ek mujhe to apne sachhai  ka yakin to tu kara de.."

Ishwar Vaani......19


priye paathakon aaj hum apni Ishwar Vaani mein uss parmeshwar ki aaiyu yaani ki umar ki ke baare mein aapko batainge,

Q*humne Ishwar se puchha ke prabhu aapki umar kitnee hai, log kahte hain aap hazaar saal ke hain to kuch log laakh saal ki umar aapki batate hain, aap bataye prabhu ki aapki vaastavik umar kya hai?????


Ans* Ishwar ne kaha unki vaastavik umar utni hi hai jitnee ki aakash ki unchai hai.Ishwar ne kaha ki jaise ki aakash ke ek chhor se le kar jahan tak tum ek rekha kheech lo utnee mere ab tak ki umar hai kintu meri poori umar to shrishti ke ek kone se le kar doosre kone tak jo rekha kheechoge utnee hi hai, jintee aakash ki gerai hai utnee hi meri umar hai avam tab tak hi main iss shrishti mein hoon.


Q* humne unse puchha kintu log to kahte hain ki aapki umar hazaar ya laakh saal hai, kya wo log agyaani hai prabhu? ye hazaar aur laakh saal aapki aaiyu ka kya taatparya hai kripya hume bataye.


Ans* Ishwar ne kaha jo log meri aaiyu hazaar ya laakh saal batate hain to sirf mere uss bhotik swaroop ko hi ginte hain jisse maine apnaya tha shrishti kalyaan hetu, Ishwar ne kaha haan wo agyaani hai jo sirf mere bhotik swaroop ko hi mera vaastavik swaroop maan kar meri aaiyu tay karte hain, sachh to ye hai shrishti ke nirmaan se poorva se le kar shrishti ke ant ke baad bhi main hoon aur rahunga aur ye hi meri aaiyu hogi, prani maatra ko agar meri aaiyu ko andaza bhi lagana hai to bas uss vishaal aakash ka ek shira pakad ke waha se ek rekha kheeche aur jahan tak wo laa sakta hai le aaye tab jo nishkarsh nikalega wahi meri aaiyu uske liye nirdhaarit hogi...







to priye paathakon iss prakaar Ishwar ne hume apni vaastavik aaiyu yani ki umar ke vishya mein bataya, aapko humari ye Ishwar Vaani kaisee lagi kripya jaroor bataye,


dhanyawaad
--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

Monday 25 February 2013

suna tha naam bahut maine aashiki ka


suna tha naam bahut maine aashiki ka, suna tha bahut naam maine dillagi ka, suna tha naam bahut maine chaahaton ka, suna tha naam bahut maine mohabbato ka , suna tha naam bahut maine wafa ka, suna tha bahut naam maine  aashikon ka, apni chaahat pe yu fida hone walon ke bare mein bhi bahut suna tha , apnee mohabbat pe mar-mitne wale aashikon ke baare mein bhi bahut suna tha, apnee har khushi ko apni chaahat pe lutane wale dilbar ke bare mein bahut suna tha, suna tha bahut mohabbat naam hai khushi ka, suna tha mohabbat to naam hai zindagi ka, suna tha bahut maine  khuda ka sabse haseen tohafa hai mohabbat har shakhs ke liye ya fir  khud khuda ka hi koi doosra naam hai ye mohabbat,


sun kar mohabbat ki ye baate mere dil ne bhi isse paane ki hasrat ki, jisse wo jaanta bhi nahi tha uske kareeb aane ki galti usne ki,suna tha isne  mohabbat ke bare mein ki ho jaate hain aashik kurbaan apni mohabbat pe, mera dil bhi hone laga tha kurbaan kisi ki chaahat pe, bas uski khushi ke siwa na chaahata ye dil mera, na dekha tha isne kahi uss rab to bas dekh unhi ko isne maan lliya tha khuda, unki ek hassi ke liye apni har khushi kurbaan karta mera ye dil gaya,unki dee itnee taklieefon ke baad bhi iss dil ne kabhi uff tak  nahi kaha,



par ye baat unhe har waqt khalne lagi, shaayad itnee mohabbat bhi usse na bardaast hui balki khalne lagi, karta tha waise to har din mere iss dil ke sau tukde par na nikalti thi iss dil se koi aah bhi, aur kar leta tha ye dil unke har sitam bardaast bhi, sochta tha ye mann mera ki kabhi to unhe meri inn kurbaaniyon ka ashaas hoga, milti hai sachhi mohabbat kismat se iska ahsaas bhi usse kabhi to hoga, khud rab ka banaya hi hai ye rishta kabhi to unhe bhi aisa mehsoos hoga,


bas issi jhoothi ummid mein ye dil mera usse chaahata raha, bas issi jhoothi ummid mein mera dil uske har sitam bhi hass ke sehta raha, 



na ruk saka  jab unke zulmo ka thamna, jab na ruk saka unka har baar mera dil todna, jab na tham saka unke sitamon ka lagataar yu hona, aakhir iss  dil ko mere ye kada faisla fir pada karna, tod kar unse har rishte pyaar ke har bandhan ko unse mujhe pada chhodna, hui badi taklif usse juda hone par, hua bahut dard iss dil ko usse dur karne par, suna tha jaisa mohabbat ke bare mein waisa kuch bhi na mujhe mila, mila to mohabbat ke naam pe har waqt akelapan aur tanhaiyon ka hi saath mila, sochta tha dil mera ki aakhir kabhi to unhe fursat milegi apne sitam se, kabhi to  dil mein jagegi mohabbat unke , socha tha kabhi to milegee khushi koi mujhe unse, socha tha maine thak jaaynge wo aakhir sitam karte karte aur fir samajh jaaynge ki hum hain unse kitne mohabbat karte par na ruka unke sitamon ka ye silsila, aur har din badta hi gaya unke zulmon ka wo kaarwa,

 humaree mohabbat ko kubool karne ka ahsaan wo hum par humesha dikhate rahe aur badle mein iss dil ke tudke kar har waqt sitam hum par wo har baar dhaate rahe, shayad unke ahsaan tale dabe the hum bhi tabhi har zulm unka hum sahte rahe lekin jab had se jyada badne laga unka sitam tab hum unse door hone lage, 

dard hua bahut iss dil ko mere par zindagi ki khushi ke liye iss dil mein sirf unke saath paani ki uss hasrat ko peechhe chhodte chale gaye hum, socha bahut kaam hai iss zindagi ko meri unke sitam ke siwa, aakhir ki hai kya khata maine jo paau har waqt begunaah hone ki saza, pyaar kiya hai humne unse aur kiya ikraar bhi unhone hai mujhse, nahi kiya koi ahsaan iss dil par fir kyon sahu har bewazah sitam unke apne iss dil par, bas ye hi soch kar apna mann dheere-dheere door unse hai kiya,

toote huye dil ke tukdon ko haath mein le kar aur zindagi mein mohabbat ke naam par thokar kha kar ye baat ab pata chal paayi, hoti nahi mohabbat aaj duniya mein hoti hai to bas bewafai hai,
jo suna tha maine mohabbat ke bare mein wo baat mujhe unke sitamon ke baa ab samajh mein aayi, hoti nhi mohabbat aaj duniya mein, milti hai to bas kahani aur kitaabon mein,
 sachhi chaahat aur sachha aashik aaj hai to bas kisi kisse ya kahaani ka hissa, aaj sachhi chaahat aur ek sachhe aashik ki jagah milta dhokha har baar aur har kahi par,

 karne wale zindagi barbaar kar ke chale jaate hain aur kahte hain issi ka naam to yaar ab pyaar hai,  le kar har khushi aur chheen kar laboon se bhi hassi le jaate hain log mohabbat ke naam par , de jaate hain iss dil mein dard aur kar jaate hain namm aankhe apne jaane par, unhe nahi parwah kisi ke pyaar ki kyon ki unki nazaron mein aaj issi ka naam hi to pyaar hai,
puri kar apni hasrate pyaar ke naam se ek din apni zindagi se wo nikaal dete hain, jo kahte hai pehle nahi hum bin tumhre rahte hain par jaise hi bhar jaata hai dil unka fir wo hi tab kahte hain hum to bin tumhare hi har lamha khush rahte hain, jo kahte hain phale tum humse door nahi balki rahte ho mere dil mein har dam par waqt ke saath nikale har matlab ke baad wo hi kahte hain ki tum jaise to jane kitno se hum nata todte hain,

jo suna tha kabhi maine naam aashiki ka aaj pata chala wo to hai aaj naam badnaseebi ka, suna tha jo kabhi naam maine dillagi ka pata laga aaj wo to hai naam ab dilon se khelne ka, suna tha jo naam kabhi chaahaton ka aaj laga pata wo hai naam bas dhokhe aur jhoothe rishton ka, jo suna tha naam maine wafa ka aaj laga pata wo to naam hai bewafai ka, jo suna tha naam kabhi maine ki mohabbat to naam hai khuda ka aaj laga pata khud ko khuda dikha kar shetaan chale aate hain mohabbat ke libaas mein jo kar ke barbaad khushi zindagi ki door chale jaate hain, de jaate hain aankhon mein ashk aur gam-e-tanhai fir se yahi par kyon ki  suna hai unse hi maine aaj dhokhe ka naam hi hai mohabbat,


 baith ab akele gam-e-tanhaai mein dil ko mere ye khyaal aata hai baar-baar jaane kis behkaave mein aakar dhoondne chala tha main bhi sachha pyaar, jo hota hi nahi kahi par, jo milta hai sirf kisse kahaniyon par kaise mujhe aakhir unpe ye aitbaar ho chala tha, naadan tha shayad mein ya kismat mein likha tha milna dhokha kisi se tabhi main aakhir chaahaton ki ummid mein kisi ke peechhe chal pada tha,

kisi ka ho chala tha, kisi ke peechhe chal pada tha,kisi ka ho chala tha, kisi ke peechhe chal pada tha,




--

Thanks and Regards
 *****Archana*****

Sunday 24 February 2013

dost zindagi bhar saath dein........

Jaroori nahi ki dost zindagi bhar saath rahe, jaroori to ye hai ki dost zindagi bhar saath dein........

dil se aayi koi aawaz

dil se aayi koi aawaz di  hai mujhe sunai abhi, dil se nikali koi baat di hai sunai  mujhe abhi, hai nahi koi kareeb mere fir bhi kyon laga aisa jaise kisi ne pukaara hai mujhe abhi, dhoond rahi hain nazare meri shayad koi hai mere kareeb yahi kahi, par sochta hai mann mera hai agar koi yahi to nazar nhi aata mujhe kyon kahi,

 dil se aati ye aawaz kyon mujhe bechain karne hai lagi, aisa lagne laga hai ab jaise mujhse door chala gaya koi apna aaj shayad mujhe pukaar raha hai , dil se kar raha hai wo yaad mujhe ya fir koi meri puraani baat yaad usse aayi hai , par aisa kaun hai mera jo dur mujhse chala gya hai bas ye sochh raha hai dil mera, sab to hain paas mere fir ye dil kise dhoond raha hai, kaun chhipa baitha hai mere dil ki gerahi mein, aakhir kis ko aaj itnee meri yaad aayi hai, sab to hain apne yaha fir aakhir kaun mujhe pukaar raha hai, dil mera kis ke bare mein ab  soch raha hai ,

    shayad aaj usse meree yaad aayi hai jinsne chhoda tha mujhe akela aur jaate huye de gaya tha jane kitne gam aur tanhaiya, shayad galti se usse aaj meri koi baat  hai yaad aayi, shayad uske hi dil ne pukaara hai mujhe aaj, shayad usse bhi kisi ne chhoda hoga yu tanha aaj, shaayad usse bhi kisi ne bana ke apna fir kar diya hoga begana aaj, dard aur tanhai ke saath usse bhi aaj meri yaad shayad aayi hai, door jaane ke baad mujhse aaj uske dil mein bhi shayad bechaini mere liye aayi hai, 


   hai pata mujhe mere dil ka hi shayad ye vaham hai, jo chale gaye hain chhod ke mujhe akela wo to bade beraham hai, aati agar yaad dil ko unke meri to kabhi na chhod ke akela wo mujhe yu chale gaye hote, mera hi dil shayad aaj tak bhula na unko paaya hai, reh reh kar unke aane ki ummid aaj tak ye dil hi karta aaya hai, iss dil mein chhipe unke lautne ki ummid hi shayad hai ye wazah jo lagta hai isse ki unhone aaj isse fir kahi pukara hai, unhone aaj fir mujhe kahi bulaaya hai, dil se nikalti unkee beeti baaton ko yaad kar kahta hai ye mann mera ki unhone hai isse abhi abhi pukaara, unke saath guzare unn haseen lamhon ko yaad kar kahta hai mera ye dil shayad aaj kahi to unhone mujhe fir se kahi to pukara hai,

    hain yaha sab apne fir ye kaisee aawaz di hai mujhe sunai hai, sachh to ye ki aur kuch nahi aaj bhi unke lautne ki ummid ne hi iss dil ko  fir unki yaad dilai hai, shayad mere hi dil ko aaj fir unki hi yaad aayi, shayad mere dil ko unke lautne ki ummid hi fir se aayi hai.....


thanks & regards
Archu