Saturday 30 March 2013

ae kaash ab to mil jaaye wo mujhe kahi.......

kyon zindagi mein kisi ki kami si lagti hai, kyon chalte huye raah mein akele zindagi sooni si lagti hai, chaahta hai ye dil mera kaash mil jaaye koi mujhe bhi aisa jo le kar apni baaho mein mujhe duniya se chhipa le, behte huye mere ashko ko apne haathon se ponch daale, jo na aane de inhe kabhi meri aankhon se baahar meri berang zindagi mein wo itne rang bhar daale, karu mehfooz khud ko uske seene lipat kar main, duniya ki har nazar se mujhe wo bachaa le, ho uska saath meri zindagi ke ant tak, thaam ke rakhe mera wo haath jab rahe dil mein dhadkan aur chalti rahe saans tab tak, chhod na jaaye wo fir mujhe kabhi tanha, tod na jaaye fir wo ye rishta, chaahta hai dil kahi mil jaaye wo mujhe ab, aakar sambhaale mujhe wo jo ho mera hamsafar, kaash mil jaaye kahi wo, chalte huye raah mein akele ye zindagi ab sooni si lagti hai, zindagi mein ab kisi apne ki kami si lagti hai, ae meri kismat din beete beeti kai raat ab to mujhe ye to bata ki kab hogi meri unse mulaakat, kab meri sooni zindagi mein bahaar aaygi, kab unse milne ki wo raat aaygi, khalne lagi ab ye zindagi unke bin, ae kaash ab to mil jaaye wo mujhe kahi.......


sukhra hai uss rab ka jisne inn nazron ko banaya




sukhra hai uss rab ka jisne inn nazron ko banaya, sukhra hai inn aankhon ka jisme tu hai samaya, sukra hai iss dil ka jisne dhadkano ko hai paaya, sukhra hai inn dhadkon ka jisne tujhko hai samaya, sukra hai khwaabon ka jisme tu har din hai jo milne aaya, hai hakikat mein sooni kitnee meri ye zindagi tujhse dur jaane par lekin shukra hai har ek uss ummid ka jisme tere aane ki aas ko hai har pal apne mein paya, surkra hai uss rab jisne inn nazaron ko banaya...

khaamosh aise baithe yaha...

Dil me bechaini aur aankho me neend kaha, hai dard seene me itna kaise btlaau kise yaha, h kya gam muje aur kis kis ne diye h ask mujhe, lu kiska naam jubaan pe apni aur kiska chhipa ke rakhu jo na ho jaye kahi badnam yaha, de kar chale gaye dhokhe anek mujhe dhokha dene wale, kar gaye hain namm meri aakhne ye dilon pe chot dene wale, par kitno ke bare me btao tumhe aur karu kitno ki shikaayat tumse kahi wo ho na jaaye badnaam shareefo ka chogaa odne wale, kahi ho na jaaye badnaam wo jhootha pyaar karne wale, dikh na jaaye unka chehra jo chhipa hai iss jhooth ke parde ke peeche, pehchaan le na koi unhe iss liye sab kuch seh kar bhi hum sirf unke liye hai khaamosh aise baithe yaha...

Wednesday 27 March 2013

"Ishak ke naam pe karte sabhi ab raas leela hain",- Article

 "Ishak ke naam pe karte sabhi ab raas leela hain", ye gaana to sabhi ne suna hi hoga jo Film Ready mein Salman Khan aur Jarin Khan pe filmaaya gaya tha, iss gaane ko sun kar humne socha kya ye sach hai ki log aaj wakai mein mohabbat ke naam par sirf dikhawa karte hain jise iss gaane mein raas leela kaha gaya hai ya ye sirf gaane ko achha lagne aur popular karne ke liye yaha kaha gaya hai , to hum nikal pade sach jaanne ke liye, hume jyada masakkat nahi karni padi iska sach jaane ke liye kyon ki aaj ke samay mein har koi chaahe wo shaadi shuda ho ya fir Kumar/Kumari (unmarried) har koi kisi na kisi ke pyaar mein hai,



     humne apnee Research shuru ki pahle apne jaanne walo jaise dost/rishtedar/padosiyon se aur fir li madad internet mahoday se jinka to har roj ka kaam hai kai premi aur premikao ka aapas mein Milan karana chaahe wo jaise bhi ho fir iske baad study ki humaree filmi hastiyon ki personal life mein chalne wali raas leela yani ki unke affairs aur break-up  marriage (love/arranged) aur divorce (Talaak) ki, 
  
    Filmi hastiyon ki parsonal  life yani ki nizi zindagi ke baare mein humne isliye research ki kyon ki kaafi log inhe apna aadarsh maante hain, aur jaisa ki aksar filmo mein sachhe prem ko aur sachhe premi premikao ko dikhaaya jaata hai kya aise wo khud hakikat mein hote hain ya fir kya unhe bhi unki mohabbat filmi kahani ki tarah laast mein mil jaati hai jaisa ki filmo mein hota hai,

    to iss vishya mein humne sabse pahle research aur baat ki aam logon se (dost/reshtedaar/padoshi/internet friends/colleague) jinke liye ye filmi sitaare aadarsh the aur jinhe romantic films bhi kaafi pasand thi, jo akssar pyaar mohabbat ki baate bhi kiya karte the,par vaastav mein unn logon ke vichaar pyaar ke vishya mein filmi kahaniyon se ek dam alag the lekin unn sabhi ki raaye lagbhag aapas mein ek thi jabki wo log jinse humne baat ki ek doosre ko jaante tak nahi the kintu unn sabhi ke vichaar aaj ke samay mein pyaar ke vishya mein kaafi had tak milte the,, 




   ab aap soch rhe hoge ki humne unse aisa kya puchha jo unki raaye lagbhag ek jaisi thi, to humne unse sabse pahle ye hi puchha ki kya wo kisi ke pyaar mein hain?? to lagbhag sabhi ne kaha haan (unmarried), fir humne unse puchha ki kya jisse wo pyaar karte hain shaadi karege?? to unka jawab tha pyaar karna ek alag baat hai aur shaadi alag, unhone kaha ki shaadi wo apne pareewar ki marzi se hi karenge yaani ki arrange marriage, to humne puchha ki jab shaadi apne pareewar ki marzi se karni hai to ye pyaar ka matlab kya hai?? to unhone kaha jab tak shaadi nahi hoti tab tak doston/rishtedaaron/cousins ko dikhaane ke liye to chaahiye na hum mein bhi kuch baat hai jo ladkiya/ladke marte hain hum par, iske saath hi kuch logo ne to yaha tak kaha ki jab tak shaadi nahi hoti tab tak kya sex ki apni khwaaish ko adhoora chhoda jaaye, unhone kaha ki apne sex ki hasrat mitaane ke liye hi wo iss pyaar ke chakkar mein pade hain, humne aise logon se fir puchha ki sex to wo paise de kar kisi call girl ko hire kar ke bhi kar sakte hain fir aise mein pyaar ka matlab kya hota hai?? to unhone kaha ki call girl paise legi tab sex karne degi aur wo bhi har baar mumkin nhi hoga lekin  girl friend ko thoda laalach de kar jab chaahe jahan aur bina paiso ke aaram se sex kiya ja sakta hai, humne puchha ki kaisa laalach?? to unhone kaha waise to aaj ki ladkiya kaafi bold ho gayi hai aur sex karne se hichkichaati nahi hai, unhe bhi pata hai ye kitna jaruri hai life mein isliye wo aaram se iske liye maan jaati hai kintu kuch abhi bhi puraane khyaalato wali hain jo shaadi ke baad sex karne mein yakin rakhti hai to aisi ladkiyon ko ye laalach dena padta hai ki wo ussi se shaadi karege aur iska aitbaar dila kar wo usse sex karte hain. humne fir unse puchha ki kya fir shaadi karoge kya aisee ladkiyon tum?? to unhone kaha ye to sirf drama hota hai unhe emotional kar ke unke saath sex karne ka sachh to ye hai ki shaadi to hum apne pareewar walon ki marzi se hi karenge, humne unse puchha ki fir ye dhokha hua aur iss tarah kisi ke saath rishta banana to rape hua, agar wo ladki police mein complaint kar de to tumhe to jail ho jaaygi?? iss par unhone kaha ki aisa kuch nahi hoga kyon ki jyadatar ladkiya badnaami ke darr se kuch nahi kahengi kyon ki isme humse jyada unhi ki badnaami hogi aur unka hi pareewar unka saath na dega aur unki hi nazaron mein gir jaayngi, iske saath fir unki kahi aur bhi shaadi nahi hogi, isliye ladkiya iss maamle mein polilce complaint nahi karti aur jab hume unse chhutkaara chaahiye hota hai to ek jhagda hum kar dete hain fir uss jhagde ko break-up ka naam de dete hain, haalaki ladkiya kuch din baad fir humse sampark karti hai bt tab hum unhe bol dete hain ki hum tumse shaadi nahi kar sakte kyon ki humare ghar wale nahi maanege haan iske baad bhi relation rakhne ko taiyaar ho to bataoo, ye sun kar wo khud hi rishta tod leti hain aur humara kaam aasan ho jaata hai, aur iss tarah se jab tak humari shaadi nahi hoti hum na jaane kitnee ladkiyon ke saath aisa kar shaadi se pahle hi sex ka lutf uthha lete hain,


   iske saath hi kuch logo ne pyaar ko apni pocket garm karne ka bhi aasan tareeka bataya ki kaise wo emotional drama kar ke apne bf/gf se paise aithte hain, aur wo aisa tab tak karte hain jab tak ki unki shaadi nahi ho jaati yaha tak ki achhi khaasi naukri karne wale log bhi aisa karte hain,  kisi ne mujhse kaha uski girl friend na sirf uss par paise kharch karti hai balki jab uska dil chaahta hai wo uske saath sex bhi kar leta hai, jab humne usse puchha ki kya wo usse shaadi ki planning bhi kar raha hai to usne kaha ki shaadi ke bare mein socha nhi abhi tak  bt jahan tak hoga main shaadi to apnee family ki marzi se hi karuga,

    aisa na sirf unmarried log aur kewal purush hi aisa karte hain balki kai shaadi shuda log aur aaj ke badle samaj ki ladkiya bhi karti hai, bas saath ghoomna firna, shoping, sex aur fir badi aasani se ek doosre ko chhod dena ye to aaj ke samay ka sachha prem hai jiss log modern affair ke naam se pukaarte hain,

ye to haal tha aaj kal ke naujawaano ke aadhunik prem ka aur iske saath hi aam logon ke beech panapne wale prem ka ye nazaara tha jo hume apni research mein mila, fir humne rukh kiya filmi sitaaro ke prem aur unme prachlit prm vivaah ki oor, hume socha jaise ki filmo mein hota hai ek gareeb ladki se ameer ladke ko pyaar ya fir behad shareef ladka jo kabhi ladkiyon ke peechhe na bhaaga ho ya fir apne roop jaal mein fasaane wali koi nakaaratmak bhoomika nibhaane wali heroin se khud ko bachaana wala hero, aur bhi behad khoobiyo wale hero heroin jaise filmo mein dikhte hain aur jaisa unka pyaar dikhta hai kya wo sachh mein aise hote hain to humne paaya ki unka pyaar bhi filmo mein kuch aur and hakitak mein kuch aur hai, filmo mein jaha kisi ek ladki ya ladke saath zindagi guzaarne ki  hasrat karne wale premi premika aaj sirf paisa aur status dekh kar hi pyaar karte aur hum safar chunte hain aur iske saath hi agar wo khud na chun sake to apne ghar walo ko mauka dete hain iss kaam ka, shaayad inhi hastiyon ki filmi kahaniyon se prerit ho kar nahi balki nizi zindagi se prerit ho kar hi aaj ka aam shaksh pyaar karne laga hai aur iske saath ye baat bhi sidhh ho gayi hai ki  

"Ishak ke naam pe karte sabhi ab raas leela hain" aaj ke time mein kitna sahi aur sateek hai, aaj sachi chaahat agar dhoodne chalo to uske naam pe sirf raas leela karne wale aaj kal ke kalyugi Krishna hi milenge, ab inhe Krishna keha kar lord Krishna ko badnaam kyon kare kyon ki inme unki tarah ek bhi to achhai nahi hai haan inhe kalyugi Raavan kah sakte hain ya fir kalyugi Premi jiske paas Prem ko chhod kar sab kuch hoga..........



thanks and regards


       Archu



Tuesday 26 March 2013

aaj fir kuch likhu main

aaya ek khyaal zahan mein ki kuch likhu main, badalte waqt ke haalat likhu main ya fir mausam ke badlte mizaaz likhu main, aaya ek khyaal zahan mein mere ki kuch likhu main, toote huye dil ki baat likhu main ya fir apne dard bhare ahsaas likhu main, aaya ek khyaal zahan mein ki kuch likhu main, apne tanha zindagi ki daastaan likhu main ya fir logon ke badalte armaan likhu main, aaya ek khyaal zahan mein ki kuch likhu main, namm hoti apni aakhon ki uss wazah ko likhu main ya fir apni jhoothi muskaan ke pichhe chhipi uss bebasi ko bayan karu main, aaya ek khyaal zahan mein ki kuch likhu main, apni har daastan likhu main ya fir iss duniya ki baat likhu main, nahi aa raha kuch samajh mein mere par ye naadan dil kahta hai mujhse kuch likhu main, aaj fir kuch likhu main,

Saturday 23 March 2013

hoti nahi mohabbat iss duniya mein hoti hai to bas ruswai hai...

itnee thokaron ke baad mujhe ye baat samajh mein aayi hai, hoti nahi mohabbat iss duniya mein hoti hai to bas ruswai hai, naam le kar mohabbat ka khwaab jhoothe dikha ke dil se khel kar chale jaate hain log, samajh kar bejaan iss dil ko tod kar door chale jaate hain aksar mohabbat mein log, de jaate hain khushi ke naam pe aansu mohabbat mein aksar log, kahte hain apna pahle par fir ek din begaana bana ke chale jaate hain mohabbat mein log, kar ke waade wafa ke bewafai ke saath tanha chhod jaate hain mohabbat mein log, dikha ke kitne hi haseen khwaab thaam kar har mod pe haath ek din beech majhdhaar mein hi doobta chhod jaate hain mohabbat mein log, pahle hasaa kar fir zindagi bhar ke liye rula kar umar bhar ka gam de jaate hain mohabbat mein aksar log, der se hi sahi, thokar kha kar hi sahi, dard pa kar hi sahi, aansu le kar hi sahi aakhir ab mujhe ye baat samajh mein aayi hai, hoti nahi mohabbat iss duniya mein hoti hai to bas ruswai hai...

Wednesday 20 March 2013

kami c rehti hai..


"apne hai sab yaha fir kyon kami kisi ki lagti h, khush rehne ke sau bahane hai yaha fir bhi kyon dil me ek udaasi c rehti hai, ghere rehate h log muje apna keh kar par na jane kyon zindagi me itni tanhai c rehati hai, kyon lagta h muje aisa aata hai sawal dil mein ye mere, har rishte se judi h meri ye zindagi par na jane kyon kisi aur ki kami c rehti hai.. "