Thursday 18 April 2013

Ishwar Vaani-29 **vayastha aur parmpara **

Ishwar kahte hain ki unhone manav-manav mein kisi prakaar ka bhed-bhaav nahi kiya hai, unki nazar mein sab samaan hai, wo stree-purush avam samast jeev jantuon ko samaan hi prem karte hain, Ishwar kahte hain ki wo humse bhi aisi hi ummid karte hain, Ishawar kahte hain ki jab iss sansaar ka rachiyta kisi bhi manushya mein kisi bhi prakaar ka bhed-bhaav nahi karta to hey manushyu tum kyon rakhte ho kya tum uss parmeshwar se bhi bade ho jo iss jagat ka rachiyata hai tatha jisne tumhe aur samast jagat ka na sirf nirmaan kiya apitu jeevan aur mrityu bhi jiskee daasi hai, wo bhed-bhaav kisi bhi praani mein nahi rakhta to tum kya soch kar rakhte ho,

prabhu kahte hain " Hey manushyon tum kis khokhali vayastha aur parmpara ke naam par kuritiyon ka bojh sadiyon se apne upar laade firte ho, inhe tyaag do, maine to kabhi koi vyastha aur parampara aisi nahi banayi jo sansaar mein kuriti ka kaaran ban jaaye, jahan bhed-bhaav utpann ho, jahan ek maanav doosre ko neecha samjhe, maine to parampar aur vayvshta ke naam par Dharm arthaat satkarm ki vyavshta ki thi, taaki sansaar mein sadev samast praaniyon mein samaanta avam prem bhaav kaayam rahe, maine kabhi koi aisi vyavshta  nahi ki jo stree-purush mein bhed-bhaav kare, purush-purush mein aur stree-stree mein bhed-bhaav rakh kar ek dusre ko neecha samjhe, jaati-dharm, ameer-gareeb aur unch-neech ke naam pe praaniyon mein bhed-bhaav kiya jaaye"


Prabhu kahte hain jo Dharm, Vyavshta aur Parampar ke naam par samast praaniyon ka shoshan karte hain, main kahta hoon ki wo Adharmi ban jaaye, kyonki agar wo Adharmi ban kar meri batayi hui baaton ka anusaran karege to bhale wo iss jagat ke liye avam iss sansaar ki nazar mein wo dhoort ban jaaye kintu meri nazar mein wo mere priye honge, kyon ki main aisee har ek vyastha, parampara aur dharm ka virodh karta hoon jo iss shrishti ko bhed-bhaav swaroop aapas mein baant deti hai, isliye hey maanavo jo tumhare liye dharm hai, vyastha hai aur jis khokhali parampara ke naam pe tum sadiyon se praaniyon ka shoshan karte aaye ho usse band karo avam ishwar dwaara bataye gaye maarg par chalo anyatha tumhare ant samaye mein tumhe ishwar ke virudh jaane ke apraadh mein kathor dand diya jaayega..

Ishwar Vaani-28**hume kabhi apne shareer ke moh mein aur iski sulabhta ke liye sada bhog-vilaas mein vileen nahi rahna chaahiye**

  prabhu kahte hain shareer ka mrityu ka praapt hona humare paapon ka ant hona hai, Ishwar kahte hain ki humara shareer hi aisa hai jo paap karta hai, aur yadi isse mrityu na aaye to ye aage bhi paap karta rahega, isse rokne ke liye hi parmeshwar ne mrityu nirdhaarit ki hai taaki ek nishchit samay taka aur nishchit samay baad praani ko apne iss paapi shareer se mukti mil jaaye.

Prabhu kahte hain chaahe hum kitnaa bhi punya karm kar le kintu jaane anjaane humse din mein kitne hi paap ho jaate hain, prabhu kahte  hain ki yadi raat mein sone se poorva apne samast paapon ke uss parmeshwar se shhama maang li jaaye sachhe hriday se aur usse kaha jaaye ki "hey prabhu mujhse aaj jo bhi jaane anjaane paap huye hain kripya kar mujhe maaf kar de, main apne sabhi paapo ke praayshchit ke liye taiyaar hoon par tu mujhe shhama kar apna le", aisa kahne se Ishwar hume jaane-anjaane huye paap karmo se shhama kar moksh pradaan karta hai,

Prabhu kahte hain ki hume kabhi apne shareer ke moh mein aur iski sulabhta ke liye sada bhog-vilaas mein vileen nahi rahna chaahiye kyon bhotikta ka prateek ye maayaroopi shareer ek din nasht ho jaayega, Prabhu kahte hain ki hume iss shareer ka upyog sada satkarm karne, prabhu bhakti karne aur sada satmaarg aur moksh paane hetu karna chaahiye.


prabhu batate hain ki log kahte hain wo to mrit praaniyon ko bhi jeevit kar dete hain, ishwar kahte hain haan wo aisa karte hain, ishwar ki nazar mein wo uss paapi shareer ka ant karte hai jiske vash mein aakar praani maatra ki pavira aatma galat kaarya mein uski bhaagi banti hai, kintu yadi praani aatma se shudh hai kintu uske shareer ne mastishk avam bhotikta ke adheen ho kar adharmi aur galat kaaryon ko anjaam diya hai kintu uski aatma iska virodh karti hai avam anim samay tak iska prayshchit chaahte hai to prabhu praani maatra ki mrityu ke pashchaat jeevit avshya karte hain arthaat uske paapi shareer ke nasht hone ke pashchaat uski pavitra aatma ko apne mein sama lete hain jisse kahte hain wo parmeshwar wo mrit praaniyo ko bhi jeevit kar deta hai..



ek stree hoon main-Kavita


Haan  ek stree hoon main, main hi ek maa, premika, patni,  beti aur bahoo hoon kyonki haan  ek stree hoon main,
Main hi saas, nanad, jethaani aur devraani hoon, main hi mausi, chaachi aur maami hoon kyonki haan  ek stree hoon main,
main hi Daadi aur Naani hoon, baalika, yuvati, adhed aur bujurg hoon main, kal aaj aur kal bhi hoon main, main jagat ki janani aur apno ki paalanhaar hoon, 
karte hain poojan log mera vidhata ka hi ek roop samajh kar, bulaate hain log mujhe apna bhaagya samajh kar, lekin jab main aati hoon uss ghar mein beti, bahoo aur patni ban kar lagti hoon khalne unhe jaane kyon, hoti hoon apmaanit jab main chali aati hoon unke ghar aangan mein usse apna samajh kar shayad isliye kyon ki ek stree hoon main,

par nahi karti kabhi koi shikwa kisi se, nahi rakhti koi gila kisi se,aur karti rahti  hoon sada roshan uss ghar ko jahan main hoon rahti, karti hoon arpan uss ghar aangan ko jahan main hoon rahti, samajhti hoon sab ko apna, nahi karti apna aur begaana, deti hoon chhoto ko pyaar aur apno ko samman kyonki haan  ek stree hoon main,

Nahi maangi iss duniya se apne liye kabhi dua, karti hoon fariyaad bhi uss rab se jinke ghar aangan mein rahti hoon main, nahi koi khushi meri zindagi mein bin apno ki khushi mein, nahi zinadagi mein meri koi umang bin apno ke saath mein, hai samarpit apna jeevan bas apno ke saath mein kyon haan ek stree hoon main,

Reeti riwazon ke naam se hona padta hai mujhe apne janm dene walon se juda, apnana padta hai unhe jo hote hai ajnabi aur hote hain mere mata pita se ek dam juda, par kar ke khud ko uss ghar aanagan mein samarpit apna leti hoon unko bhi, karti hoon pyaar uss ghar ko bhi jahan main hoti hoon kabhi ajnabi auron se bilkul juda, maan kar unhe hi fir apna ho jaati samarpit uss ghara aangan mein kyonki  main ek stree hoon,

par aaj baith akele mein sochti hoon main, nahi maangi kabhi koi dua bhi uss rab se apne liye,kisi se apne liye bhi na chaaha hai abhi tak kuch,

 karti hoon roshan har uss ghar ko jahan main jaati hoon pahuch, reeti riwazon ke naam pe mera daan diya jaata hai kar, pahucha ke ek ajanabi ghar mein mata-pita ko bhi hota hai bada harsh, main bhi unki khushi ke khaatir uss pareewar ko bhi  hoon apna leti, uss ghar aangan mein bhi hoon khud ko hi samarpit kar deti, nahi maangti apne liye koi dua, karti hoon fariyaad bhi unke liye jinke saath mera janm se le kar maran tak ka rishta hai juda hua(maayeke se sasuraal tak),

sochti hoon aaj main kar ke apni khushiya apno ke naam aakhir mujhe mila kya, kadam-kadam pe apmaan aur ashkon ke siwaa iss duniya ne mujhe diya kya, kasoor kewal itnaa sa hai ki haan ek stree hoon main, kasoor shayad itnaa sa hai apno pe samarpit hoon main, kasoor itnaa sa hai shayad mera ki apno se karti hoon beshumaar mohabbat hoon main, badle mein nahi maangti unse kuch, badle mein nahi chaahati chaahat ke siwa aur kuch, sone-chaandi aur dhan-daulat bhi thukara deti hoon apno ke liye main, par fir  bhi kyon nahi iss samaj mein samman ke kaabil hoon main kya isliye ki aur stree hoon main,

kyon kadam-kadam par mera upahaas hota hai, kyon har kadam pe ye samaj meri izzat har baar taar taar karta hai, hoon main har kahi aur har jagah fir kyon nahi iss duniya mein samman ke laayak hoon main, hoon nahi bebas main par haan bandhi hoon apno ke pyaar mein jarur main, hoon nahi bebas main haan thaam rakhi hai door apne ghar aangan ke khushi ki maine, hoon nahi mazboor ki je na saku apne liye par  jeeti hoon fir bhi iss samaj ke har ghar mein pareewar ki khushi ke liye, isliye nahi ki ek stree hoon main, bebas aur laachaar hoon main, jeeti hoon bas ek ummid ke saath kaash samajh aa jaaye iss duniya ko ki main koi nirzeev nahi balki jeeti –jaagti  jeev hoon main,  nahi karti laalsa kisi se bas aaj itnee se karti hoon de ye samajh poora adhikaar mujhe bhi  zindagi jeene ka, mile mujhe bhi har samman zindagi jeene ka, bas jyada kuch nahi chaahati hoon main, kewal  duniya se baraabari ke hak ki abhilaashi hoon main,apno ke pyaar ki pyaasi hoon main, jhooth aur dhokhe se dur bas ek pyaar bhari duniya chaahati hoon, ek samman bhara jeevan jeena chaahti hoon  main, bas itnaa hi chaahti hoon main  kyonki haan ek stree hoon main,


Thanks & Regards

     Archu






Monday 15 April 2013

घोटाला -भ्रस्टाचार(Article)



आज कल हम लोग जहाँ भी अपनी निगाहें दौडाते हैं अपने चारो तरफ़ हर तरफ़ कोई न कोई नया घोटाला या भ्रस्टाचार
नज़र आता है।
कभी कोई यह घोटाला कभी कोई वो घोटाला आदि आदि।
आज देश की यह हालत हो गयी है कि अगर कोई आदमी इमानदारी से सच्चाई से अपना काम नीष्ठा पूर्वक कर्ता है तोह उसे नीची निगाहों से देखा जाता है।
तोह प्यारे भाईयो ओर बहनों हमने बहुत सोचा
ओर सोच के बाद हम इस निष्कर्स पर पहुँचे हें कि अपने देश में भ्रस्टाचार, रिसवत और इन घोटालो को कानूनी और सरकारी मान्यता मिलनी चाहिये। और जो लोग भ्रस्टाचार रिसवत घोटालो में शामिल होते हैं उन्को पुरस्कार दिया जाना चहिये। और उन्को प्रोतसाहित करना चहिये कि वो लोग आगे और भी बडे बडे घोटालो भ्रस्टाचार रिसवत को लें।
ओर जो लोग इमानदारी से रहेते हैं उन सभी लोगों पर मुकदमा दर्ज होना चाहिये । और आज के समय मैं इमानदार लोगो को सज़ा होनी चहिये। जिस्से इन इमानदात लोगो की आने वाली पीडियाँ देखे की इमानदारी का फ़ल कैसा होता है। ओर इससे सबक ले कर वो लोग भी आगे घोटालो भ्रस्टाचार रिसवत को अन्जाम दे सके ओर अपने और अपने परिवार का नाम गोरानवित कर सके। जो उन के पूर्वजो ने इमानदार हो कर मिट्टी मैं मिला दिया है।
और देखा जाये तो हमारे देश का विकास भी तभी हो पयगा जब हम सब लोग मिल कर घोटालो भ्रस्टाचार रिसवत को अन्जाम देगें ।
तभी हमारा देश आर्थिक सामाजिक रूप से बराबर होगा।

आइये अब समय आ गया है
हम सब लोगो को एक साथ मिल कर एक काम करना है।
तोह
हम सब लोग मिल कर सपथ लेते हैं कि\
बिना घोटालो भ्रस्टाचार रिसवत के हम सब कोई काम नही करेंगे।
आइये देश को ओर देश से जयादा अपने आपको हम सब आर्थिक रूप से सम्रध्य बनाये।
जब हम सम्रध्य होंगें तभी देश सम्रध्य होगा।


धन्यबाद
लेखक
प्रवीन मिश्रा








Saturday 13 April 2013

huye kitne mazbur hum


"waqt ke hathon huye kitne mazbur hum, rehte the kabhi ek dusre ke dil mei aur aaj dur huye hum, karte the mohbbat ek doosre se beintahaa kabhi,
lutaate the ek dusre pe zindagi kabhi, unki ek mushkaan pe kurbaan hoti thi apni har khushi bhi, aaj waqt ke saath huye kitne mazbur hum, dilon mein rehne wale kis kadar dur huye ab, karte the mohabbat jisse bepanaah ussi se iss kadar rooth gaye hain hum, waqt ke haathon huye itne kyon mazbur hum, rahte the dilon mein kabhi aaj dur huye hum.."

Wednesday 10 April 2013

ईश्वर वाणी -ishwar vaani-27 **जगत की उत्पत्ति **

किसी ने हमसे पुछा की तुम कहते हो की जगत की उत्पत्ति जल यानि की पानी से हुई है लेकिन हमने तो सुना है की जगत की उत्पत्ति जल से ही नहीं अपितु पंचतत्वो से हुई है, अब बताओ क्या सही है और क्या गलत????



हमने ये ही सवाल ईश्वर से पूछा की हे प्रभु आपने ही मुझे बताया था की जगत की उत्पत्ति जल से हुई है, किन्तु कुछ लोगों का मानना है की जगत की उत्पत्ति पंचतत्वों के मिलने से हुई है, क्या सत्य है प्रभु हमे बताये अवं हमारा मार्दर्शन करें।।।।



ईश्वर ने कहा: इस समस्त श्रृष्टि में समस्त भोतिक अवं नाशवान वस्तुओं का निर्माण जल से हुआ है, यहाँ तक की प्राणी के शरीर की रचना भी केवल जल से ही हुई है, किन्तु प्राणी में प्राण तभी आते हैं जब समस्त श्रृष्टि से उसे पंच्तत्वों की प्राप्ति होती है(अग्नि, जल, वायु, धरती, आकाश),


हमने पूछा प्रभु से की हे प्रभु जरा खुल कर बता, मुझे समझ नहीं आया की जो भोतिक है अर्थात जो नाशवान है उसकी उत्पत्ति जल से हुई है किन्तु जो नाशवान नहीं है जैसे जीवन उसकी उत्पत्ति पंचतत्वों से हुई है, इसका क्या अभिप्राये है, क्या प्राण नाशवान नहीं होते मृत्यु आती है तब हमारे प्राण ही तो हमारा साथ छोड़ जाते हैं और हम मृत्यु को प्राप्त होते हैं, फिर भला जीवन को आपने भोतिकता से क्यों अलग किया हुआ है???



ईश्वर ने कहा: जो नाशवान है केवल वो ही जल से उत्पन्न हुआ है, जैसे एक बालक का जन्म माता पिता के प्रेम रुपी मिलन के पश्चात प्राप्त हुए प्रेम रुपी जल के कारण ही उसका जन्म होता है किन्तु उसमे प्राण के लिए अन्य वस्तुओं की  आवश्यकता होती है, ठीक उसी तरह ईश्वर के पवित्र जल से इस श्रृष्टि का एवं समस्त भोतिक स्वरुप समस्त बी ह्राह्मांड का निर्माण हुआ  है, एवं प्राणी के भोतिक एवं  नाशवान प्राणी शरीर का  निर्माण हुआ है, किन्तु उसमे प्राण जाग्रत करने के लिए ही उसमे अन्य तत्वों का समावेश किया गया है। 


प्रभु कहते हैं की प्राण नाशवान नहीं है क्यों की प्राण आत्मा है और आत्मा परमात्मा का ही एक स्वरुप है जो की जन्म मरण से दूर होती है,आत्मा एक भोतिक शरीर त्याग कर दूसरा  भोतिक शरीर धारण करती है जैसे मानव अपने पुराने वस्त्र त्याग कर नए वाष्ट्र धारण करता है, इस प्रकार ये जन्म मरण से दूर एवं भोतिकता से दूर है, इसलिए इसकी उत्पत्ति प्राणी में प्राण डालने हेतु की गयी है जो की  ईश्वर द्वारा निर्धारित पंच्तातों से बनी है, उन पंचतत्वों से मिल कर एवं परमेश्वर का साध्य पा कर ही आत्मा का अविशार इश्वर द्वारा हुआ है जो की किसी भी भोतिक शरीर में आ कर उसमे प्राण का संचार करती है, 
     किन्तु प्राणी का शरीर जो की नाशवान है क्यों की इसकी उत्पत्ति ब्रह्माण्ड के अन्य नाशवान भोतिक बस्तुओं की तरह ही जल से हुई है किन्तु आत्मा नाशवान नहीं है क्यों की वो अभोतिक है। 


प्रभु कहते हैं की  प्रलये  के समय  समस्त भोतिक वस्तुओं का नाश होगा, सब कुछ ख़त्म हो जाएगा किन्तु  आत्मा  चाहे  उसने शरीर में रह कर अछे काम करे हो या बुरे उनका नाश न होगा यधपि  उनके कर्मोनुसार  नरक अथवा स्वर्ग की प्राप्ति होगा, और जो अछे कर्म  करने वाले अथवा जिन आत्माओं ने  अपने   वर्तमान   शरीर   में   अछे और  नेक  कर्म करे  है  उन्हें   वो  परमेश्वर श्रृष्टि  निर्माण के दुसरे चक्र में फिर  दुबारा भेजेगा, ताकि श्रृष्टि निर्माण के समाये के मध्ह्यम समय के शुरूआती समय तक  बरैया न उत्पन्न न हो सके। 

Ishwar Vaani-26**(dhan-sampada)**

Ishwar kahte hain jiske paas (dhan-sampada) hai usse aur diya jaayega kintu jiske paas kam hai ya fir nahi hai usse wo bhi chheen liye jaayega jo uske paas hai, iss waakya se Ishwar ka artha hai jiske paas Ishwriye gyaan hai, jo sadev Ishwariye maarg par chalta hai avam sadev chalne ka pryant karta hai, uss parmeshwar par aseem aastha rakhta hai aise manushyon ko aur bhi adhik Ishwariye saadhya milega, Ishwar kahte hain unka abhipraaye inn bhotik dhan-sampada se nahi apitu Bhakti avam vishwaas, aastha avam Ishwariye gyaan ke prachaar avam prasaar se hai, jinke paas ishwariye ye dhan-sampada hain unhe aur di jaayengi taaki duniya ke har kaune kaune mein ja kar unn manushyon ko satmaarg par laaya ja sake to Ishwariye maarg athawa kaarye se vimukh ho gaye hain.




Ishwar kahte hain jinke paas nahi hai ya kam hai unse wo bhi chheen liya jaayega jo unke paas hai arthaat jinke paas ishwar mein alpvishwaas ya avishwaas hai, jo kewal paakhand karte hain avam dikhaawa karte hain Ishwariye Mahima ka, aise manushyon se jo bhi unke paas Ishawariye Kripa hai, vishwaas hai jo bhi chheen lee jaayegi, aur kewal unhe hi di jaayegi jo poori tarah se Ishwariye maheema ka gaan karte hain, poorn roop se jo uss par vishwaas rakhte hain, ye ishwariye dhan-sampada kewal aise hi manushyon ko pradaan ki jaayegi.