Thursday 18 April 2013

Ishwar Vaani-28**hume kabhi apne shareer ke moh mein aur iski sulabhta ke liye sada bhog-vilaas mein vileen nahi rahna chaahiye**

  prabhu kahte hain shareer ka mrityu ka praapt hona humare paapon ka ant hona hai, Ishwar kahte hain ki humara shareer hi aisa hai jo paap karta hai, aur yadi isse mrityu na aaye to ye aage bhi paap karta rahega, isse rokne ke liye hi parmeshwar ne mrityu nirdhaarit ki hai taaki ek nishchit samay taka aur nishchit samay baad praani ko apne iss paapi shareer se mukti mil jaaye.

Prabhu kahte hain chaahe hum kitnaa bhi punya karm kar le kintu jaane anjaane humse din mein kitne hi paap ho jaate hain, prabhu kahte  hain ki yadi raat mein sone se poorva apne samast paapon ke uss parmeshwar se shhama maang li jaaye sachhe hriday se aur usse kaha jaaye ki "hey prabhu mujhse aaj jo bhi jaane anjaane paap huye hain kripya kar mujhe maaf kar de, main apne sabhi paapo ke praayshchit ke liye taiyaar hoon par tu mujhe shhama kar apna le", aisa kahne se Ishwar hume jaane-anjaane huye paap karmo se shhama kar moksh pradaan karta hai,

Prabhu kahte hain ki hume kabhi apne shareer ke moh mein aur iski sulabhta ke liye sada bhog-vilaas mein vileen nahi rahna chaahiye kyon bhotikta ka prateek ye maayaroopi shareer ek din nasht ho jaayega, Prabhu kahte hain ki hume iss shareer ka upyog sada satkarm karne, prabhu bhakti karne aur sada satmaarg aur moksh paane hetu karna chaahiye.


prabhu batate hain ki log kahte hain wo to mrit praaniyon ko bhi jeevit kar dete hain, ishwar kahte hain haan wo aisa karte hain, ishwar ki nazar mein wo uss paapi shareer ka ant karte hai jiske vash mein aakar praani maatra ki pavira aatma galat kaarya mein uski bhaagi banti hai, kintu yadi praani aatma se shudh hai kintu uske shareer ne mastishk avam bhotikta ke adheen ho kar adharmi aur galat kaaryon ko anjaam diya hai kintu uski aatma iska virodh karti hai avam anim samay tak iska prayshchit chaahte hai to prabhu praani maatra ki mrityu ke pashchaat jeevit avshya karte hain arthaat uske paapi shareer ke nasht hone ke pashchaat uski pavitra aatma ko apne mein sama lete hain jisse kahte hain wo parmeshwar wo mrit praaniyo ko bhi jeevit kar deta hai..



2 comments:

  1. Ek baat batao bharat Mai 33 caror devta ye kis prabho ne kha h

    ReplyDelete
  2. kya tum unn 33 karod devi devtaon ka naam jaante ho, Ishwar to ek hai jo niraakar hai, apne bhakton ko ichha anusaar hi wo roop lete hain, ye vaaniya uss niraakar prabhu ki hai jo humari ichha anusaar avam Desh/kaal aur parishtithiyon anusaar iss dharti pe burai ka ant karne hetu avatarit hota hai

    ReplyDelete