
Humne puchha Ishwar se ki Prabhu moorkh manushya kise kahte hain aur agyaani kise to unhone bataya: Ishwar kahte hain (agyaani manushya ke vishya mein ) jis manushya ki samay/paristithi ke anuroop vyavhaar vishesh/aacharan vishesh/ boli athwa bhasha vishesh/samajh vishesh ka gyaan na ho wo agyaani hai, Ishwar kahte hain ki ek agyaani manushya sadaa gyaan ki khoj mein laga rahta hai, aur jab bhi wo kisi gyaani ke sampark mein aata hai to usse nimnlikhit baate seekh kar vyavhaarik jeevan mein apnaata hai jiske kaaran wo bhavishya mein agyaani nahi rah jaata, Ishwar kahte hain ek agyaani manushya sadaa agyaani nahi rahta samay aur paristithiyon ke saath avam shreshth gyaani manushya ka saadhya pa kar ek uchha koti ka gyaani manushya ban Ishwariya kripa ka paatra banta hai,Ishwar kahte hain ek agyaani manushya uss baalak ke samaan hain jo vidhyaalay mein shiksha prapt karne aaya hai, jab wo shiksha prapt karne aaya to usse kisi bhi vishya ka koi gyaan nahi tha kintu jaise hi shikshak ne usse gyaan dena shuru kiya usne usse turan seekh liya aur apne jeevan mein apnaane laga, aur bhavishya mein wo uss jagah khada hua jahan kabhi uska shikshak hua karta tha aur wahh doosre agyaani baalakon ko shikhsa dene laga.
Ishwar kahte hain (Moorkh manushya ke vishya mein) ek moorkh manushya sadaa apne mann ki chaalata hai, wo chaahe jitne bhi gyaani guruon ke saath rahe, kitnaa bhi gyaan prapt kare kintu wo uss gyaan ko apne vyavhaarik jeevan mein apnaata nahi hai aur sadaa wo hi kaaraya karta hai jo usse athwa uske mann ko sukoon dete hain, aise manushya gyaan prapt karne ke laalayit bhi nahi hote, ye aise baalak ke samaan hote hain jo shikhsa prapt karne ke liye vidhyaalay to aaya kintu shikshak ki baaton ko na to usne theek se suna aur jeevan mein apnaaya, aise manushya sadaa wahi rah jaate hain jahan se unke jeevan ki shuruaat hoti hai.Ishwar kahte hain Moorkh aur Agyaani manushya sadaa shhama ke paatra hote hain,humne puchha wo kaise? to unhone bataya..Ishwar kahte hain moorkh manushya ko gyaan hi nahi hai na wo gyaan lena chaahata ki sahi aur galat ka,wo khud ho sarvshretha samajh kar kaarya karta hai,

No comments:
Post a Comment