Tuesday 2 April 2013

Ishwar Vaani: Bali Pratha-23

humne Ishwar se puchha ki prabhu aap to sadaa Hinsa ke khilaaf rahe ho lekin fir bhi kahi kahi humne suna hai ki log aapko prasann karne hetu nirdosh praaniyon ki Bali dete hain, Prabhu kya aapne hi aisa unhe karne ko kaha hai, Prabhu kya aap isse prasann hote hain?? Ishwar ne kaha,


Desh/kaal/pristithiyon ke anuroop jo ghatnaaye ghati ye sab unn par nirbhar karta hai, kintu maine kisi bhi prakaar ki Hinsa avam kisi nirdosh ki mujhe prasann karne hetu Hatya jisse Bali ka naam logo dwaara diya gaya uska samarthan nahi kiya,


Ishwar kahte hain jo log aisa karte hain wo mera naam le kar kewal apne jeebh ke swaad hetu hi aisa karte hain avam unn logon ke poorvajon ne ye pratha chalaai kyon ki jab wo pratha chali tab waha shaakahaar ka abhaav tha, aur log apni bhookh shaant karne hetu maasahaar ko khaate the kintu waha inn praaniyon ki dasha bahut hi dayneeye thi, jinhe waha ke log kha kar apni bhookh shaant karte the waha inn nirdosh pashuon ki dasha behad kharab thi, to aise main Ishwar ne inn pashuo ki mukti hetu avam aise pashuo ko poojniye banane hetu hi leela ki, Ishwar kahte hain ki unn logo ki Bhogolik stithi aisee thi ki wo shaakahar ko apna hi nahi sakte the kintu iske saath anya praaniyon ki dasha avashya wo bad se badtar karte ja rahe the, Ishwar kahte hain unhi ko moksh dene hetu hi unhone aisi leela ki,


Ishwar kahte hain ki wo Hinsa ke khilaaf hain aur jaha kahi bhi bhogolik sitithi shaakahaar ko mahatva deti hai waha waha poorn roop se maasahaar ka tyaag karna chaahiye, apne dhaarkik riwaaz ka vaasta de kar iss pratha ko unhe aage nhi chalana chahiye apitu turant hi khatm kar dena chaahiye aur jo log aisa nahi karte wo Ishwariya Kripa ke paatra nahi bante kyon ki aise log Ishwar ko aage kar ke kewal apne Jeebh ka swaad dekhte hain, aur aisa karne wale sirf apne vishya mein sochte hain avam bhashya mein Ishwariya Krodh ka paatra ban kar dukh bhogte hain..

No comments:

Post a Comment