Thursday 28 May 2015

ek khat us dost ke naam

"aaj jab dil par itni gehri chot lagi hai tab tumhari kahi har baat mujhe yaad aa rahi hai, kaise tum meri raahon se har kaante nikaal dete the, chot agar mujhe lagti thi dard tumhe hota tha, kaise bina mere kuch kahe tum mere dil ki baat samajh lete the,

Mujhe pata hai aaj tum mere paas aaj nahi ho, par mujhe ye bhi pata hai tum jahan bhi ho khush tum bhi nahi ho, par shayad meri tarah tanha tum bhi nahi ho, jab tum saath the chaahe jisne toda ho mera dil tumse baat karke man ye mera halka ho jata tha, maine tumme usse dekha tha jiska saath barso pahle chhoot gaya tha, tumhari dosti mein maine usse paya tha,


Bhale hamare beech kabhi wo rishta nahi raha aur jisse raha maine usme tumhe hu dhoonda, na sirf usme balki pariwaar mein bhi maine tumhe hi dhoondne ki koshish ki, par tum to tum ho har kahi kaha ho sakte ho, maine tumse na sirf dost aur dosti karna seekha balki nibhana bhi seekha,


Mujhe itna pata hai chahe wakt kitna bhi beet jaye tum jaisa dost mujhe kabhi nahi milega, jaroor pichhle janmo ke punya the Jo tum hamse mile the,
Mujhe aaj bhi yaad hai ki kaise tum mera margdarshan karte the par bina thokar khaaye maine shayad hi tumhari baat suni ho, aaj ghar aur bahar dono hi jagah se thukaraye Jane par tumhari har seekh yaad as rahi hai,

Ummid hai ham fir milenge


My mitra"












Tuesday 19 May 2015

ashk bahati ye duniya

"Ashk bahati ye duniya, fell raha har oor andhyara hai,

Baha kar lahoo bhaiya ka, insaan aaj kaise itraa raha hai,

Sisakti hui dekh suratiya,man jiska na pighal raha hai,

Baha khoon ki nadiya, insaan kaise muskura raha hai,

Karke nam sabki ye akhiya, insanan kaise nach raha hai,

Jaati-dharm ki ye nagariya, insaniyat kaise kho raha hai,

Baarod par baithi ye jagatiya,ye jivan kaise ro raha hai,

Hai bikhari gam ki lachariya, insaan kaise jhum raha hai,

Feli bas ye mazburiya, labh kaise insaan utha raha hai,

Ashk bahati ye duniya, fell raha har oor andhiyara hai-3


Monday 18 May 2015

zindagi daudti rahti hai

"Aandhi aaye ya ho toofan zindagi daudti rahti hai,

Khushi aaye ya mile shamshan zindagi daudti rahti hai,

Zakhm mile ya ho dard ka saaman zindagi daudti rahti hai,

Koi apna mile ya ho jaye juda zindagi daudti rahti hai,

Gam ki baarish ho ya peer ka samndar zindagi daudti rahti hai,

Dhoop jalaye tan ya badti jaaye thand zindagi daudti rahti hai,

Falak pe aaye sooraj ya badta jaye chand zindagi dauti rahti hai,

Din ho jaaye ya dhal aaye shaam zindagi dauti rahti hai,

Kuch mil jaaye kisi ko ya ho jaye kangal zindagi daudti rahti hai,

Nahi thamti kisike rukne se bas ye zindahi dauti rahti hai,
Bas daudti rahti hai

Sunday 17 May 2015

yaad bahut aati hai

"Beete lamhe ki yaad bahut aati hai,
Tere sang guzari WO raat bahut aati hai,

Teri kahi har baat bahut yaad aati hai,
Sang tere guzari WO shaam yaad aati hai,

Kuch kahi ankahi kahani bahut yaad aati hai,
In zazbaaton ki WO bayani bahut yaad aati hai,

Guzare beete lamho ki yaad suhani aati hai,
Tere sang hasin WO zindgani bahut yaad aati hai,

Beete lamho ki yaad bahut aati hai,
Tere sang guzari WO raat bahut yaad aati hai-2"

dil kahta hai kuch likhu main

"Dil kahta hai kuch likhu main, hal-e-dil baya likhu, ya apni zindagi ka hal likhu, dil kahta hai kuch likhu main,

duniya ki laachari likhu, ya bhrashtachar ki bimari likhu, dil kahta hai kuch likhu main,

 ye dange ye fasad aur dehsat ki wo raat likhu, kho chuke apno ke WO zazbat likhu, dil kahta hai kuch likhu main,

Batti hui duniya ki kahani likhu, ya bheegi in nam palkon ki bayani likhu, dil kahta hai kuch likhu main,

aatank ki felli har taraf ye chhaya likhu, ya jhooth fareb ka WO saya likhu, dil kahta hai kuch likhu main,

mohabbat ke badle ruswayi likhu, ya har taraf felli ye bewafai likhu, dil kahta hai kuch likhu main,

desh pe jaan lutane walon ke naam likhu, ya desh ko khane walo ko paigam likhu, dil kahta hai kuch likhu main,

 duniya ki har baat likhu, ya dil todne walon ka WO saath likhu, dil kaht hai kuch likhu main-3"

Saturday 16 May 2015

na rahta tu mandir mein na rahta masjid mein

"Na rahta tu mandir mein na rahta tu masjid mein,
na rahta kisi ghar mein, na hai basta kisi dwara mein,

Na hai koi roop tera, na hi hai swaroop tera,
Man ki aankhose dekha jaisa, bana liya roop waisa,

Kisi ke liye saakar hai tu, kisi ke liye nirakar hai tu,
Koi rakhta tujhe dilme to kisike liye falak mein hai tu

Na jane koi sahi naam tera, na jane kya hai roop tera,
Kahi ishwar to kahi Allah hai ye dhara par naam tera,

Char disha mein bati ye duniya bant gaya yaha bhi tu,
Pahle banta insaan yaha baanta gaya yaha bhi tu,

Man-mandir mein rakh saka har koi na tujhe,
Tabhi madir masjid bane dilme na rakha tujhe,

Tu na mange sona-chaandi, na koi uphar na baandi,
Tu mange pyar sada aur mange hai sabki pareshani,

Na rahta tu mandir mein na rahta tu masjid mein,Na rahta kisi ghar mein na hai basta kisi dwara mein!!!!"

iahwar vaani-77, gaaye ka mahatwa

Ishwar kahte hain "yu to duniya mein tamam dudhaaru pashu hain kintu unme gaaye ko ek vishesh sthaan prapt hai, shastro mein bhi usse gaaye mata ki upaadhi di gayi hai kintu anya dudharu pashuon ko ye upaadhi nahi di gayi hai jabki doodh to sabhi ka  achha aur poshtik hota hai"


Ishwar kahte hain "gaaye ke doodh ki bhaati anya pashuo ka doodh utna shresht nahi  hai, gaaye ke doodh ka Sevan ek navjaat shishu se le kar vayashk tak sable liye upyogi hai bina kisi milawat ke, gaaye ka doodh ek navjaat shishu ke liye ma ke doodh jitna hi upyogi hai jabki anya pashuon ka nahi",


Ishwar kahte hain "iske atirikt pashuon mein shresht aur paadatiya ke vyavhaar ke karan gaaye ko anya pashuo se shresht mana gaya hai evam uske doodh se taiyaat tamam khaadya samagree ko bhi sarvashresht sthaan prapt hai"