Thursday 28 May 2015

ek khat us dost ke naam

"aaj jab dil par itni gehri chot lagi hai tab tumhari kahi har baat mujhe yaad aa rahi hai, kaise tum meri raahon se har kaante nikaal dete the, chot agar mujhe lagti thi dard tumhe hota tha, kaise bina mere kuch kahe tum mere dil ki baat samajh lete the,

Mujhe pata hai aaj tum mere paas aaj nahi ho, par mujhe ye bhi pata hai tum jahan bhi ho khush tum bhi nahi ho, par shayad meri tarah tanha tum bhi nahi ho, jab tum saath the chaahe jisne toda ho mera dil tumse baat karke man ye mera halka ho jata tha, maine tumme usse dekha tha jiska saath barso pahle chhoot gaya tha, tumhari dosti mein maine usse paya tha,


Bhale hamare beech kabhi wo rishta nahi raha aur jisse raha maine usme tumhe hu dhoonda, na sirf usme balki pariwaar mein bhi maine tumhe hi dhoondne ki koshish ki, par tum to tum ho har kahi kaha ho sakte ho, maine tumse na sirf dost aur dosti karna seekha balki nibhana bhi seekha,


Mujhe itna pata hai chahe wakt kitna bhi beet jaye tum jaisa dost mujhe kabhi nahi milega, jaroor pichhle janmo ke punya the Jo tum hamse mile the,
Mujhe aaj bhi yaad hai ki kaise tum mera margdarshan karte the par bina thokar khaaye maine shayad hi tumhari baat suni ho, aaj ghar aur bahar dono hi jagah se thukaraye Jane par tumhari har seekh yaad as rahi hai,

Ummid hai ham fir milenge


My mitra"












No comments:

Post a Comment