Sunday 10 May 2015

ishwar Vaani-76 satyug ke devta

Ishwar kahte hain "jaisa ki sabhi manushyon ne yug pratha ke bare mein suna hai, maine bhi aadi satyug aur praani utpatti ke vishya mein bataya, Maine bataya samast manav evam praniyo ke janm data WO jeev hai jinhe duniya karodo varsh poorva mrit samajhti hai, unhi se aaj ke samast jeevo ki utpatti hui, us yug mein manav aur pashu-,pakshhi mein koi bhed-bhaaw nahi tha, sabhi prani mil jul kar ekta se rahte the jiska udhaaran tretaa yug mein bhi milta hai jab vanar aur reechh bhi raja hua kar shashan karte the,

Kintu isse poorva satyg ke madhya aur ant kaal mein jab un jeevo se manav jaati ka uday ho chuka tha, us samay ko swarnim samy kaha jaata hai, kuch dharmik sansthaye ye bhram felaati hai ki tab (satyug ke aadi se) ant tak dharti par devi-devta ka niwaas tha, manavo ki bhaati Lakahmi-Narayan raha karte the,

Kintu ye tathya mithya hai, us yug ko ishwariye yug isliye nahi kahte ki tab dharaa par ishwar rahte the apitu isliye kahte hain ki tab manav jaati mein kisu bhi tarah ki vikrati nahi thi, koi bhed-bhaaw raag-dwesh burai nahi thi, .manav ishwariye niyam ka palan kar prakati aur prani ka khyaal rakhta tha, us yug ka manav mujhe nahi janta tha kyonki wo mere bataye niyamo ka palan suchaaru roop se kar raha tha isliye use meri aavshyata na ho kar apne mein mujhe hi nihit kiye huye tha,

Kintu wakt ke saath yug badla aur manav vyavhaar bhi Jo mujhe use door le gaya, aur manav jaati mein aayi burai ko khatm karne hetu mujhe shrashti mein janm Lena pada"


Ishwar kahte hain "kuch dharmik sansthaye kahti hai tumhe satyug ki bhaati manav se devta banna hai, kintu WO ye nahi jante agyaani devta kaun hai, satug mein kaun rahte the aur kinhe aur kyon devta kahte the, devta arthaat paak-pavitra, har prani ke hit ke liye tatpar, Prani evam prakati ka rakshak,

Ek abodh balak jaisa bhola, kapat heen aur masoom wohi hai dewta dewiye gun wala sachha manav aur aaj ka maha purush aur devta,

Pakhandi log aadhyatm ke naam par galat seekh de kar logo ko behka rahe hain, unhe jaroorat hai sahi gyaan ki Jo kisi naami sanstha ki apeksha khud apne bheetar ishwariye kripa se mulegi ya fir in mere vachano se"



No comments:

Post a Comment