Sunday 14 June 2015

ishwar vaani-80, ansh aur vansh mein bhed

Ishwar kahte hain " sampoorn jeev aatma mera hi ek ansh h jis prakaar ek balak apne mata-pita ka hi ek ansh hota h usi tarah samast prani mera hi ek ansh h,


Kuch agyani samast manushyo ko ishwar ja ek ansh na kah kar unhe ek vansh batate h, unke anusaar samast jeev-aatma ishwar ka ansh na ho kar vansh h, kintu wo nadan nahi jante samast aatmao ki aatma arthat parmatma ke swaroop h, is prakar main unka janak hua, aur jeev aatma meri santaan, is prakar WO mera hi ek ansh hui,


Kintu jiv-aatmaon ko vansh kahne wale ye nai jante ki aatma vansh kaise ho sakti h q ki vansh ek preedi se teesri peedi evam usse adhik ko kaha jata h kintu aatma ki koi peedi nahi hoti, WO mujse hi nikalkar meri aagya anusaar hi jivan grahan karti h, isliye hey agyani gyani maha pursho ye bhram felana chhod sachhai ka marg apna aur jagat ka hriday se bhala kar"

ishwar vaani-79, aatma parmatma, ishwar ka swaroop

Ishwar kahte hain "akdar manushyo ki vibhinn manyatao ke anusaar muje kahi par stree to kahi par purush ki sangya di gayi h, kintu na to main purush hoon aur na hi stree, jis bhaaw se mujhe vyakti ne yaad kiya main usi roop me uska ho gya, haan ye baat bhi sahi h ki main hi desh/kaal/paristirhyo ke anuroop janm leta raha hu aur manav jaati ko usme aayi vikrityo se unhe bachata raha hu, jab-jab manav jaati adhik manavta ki seema todti dikhi aur usne meri satta ko chunoti di main dharti par aata raha fir chahe WO roop nari ka ho ya purush ka, jab jab samaj ne naari ko damit, shoshit aur diyam darza dene ke prayas kiye main naari banke nari ka udhhar karne aaya,

Main hi brahmand rachiya hu, jadugaro me mahan jadugar hu, aatmaon me parmatma hu, main hi samast shrushti aur jeevon ko shakti dene Wala hu, samast grah-nakshtra evam jeev-aatma mujhse hi shakti paati hai, main hi shrishti ka aadi aur ant hu, yadi meri shakti ki Jo bhi manushya upasna karta hai aur mere bataye marg par chalta hai nishchit hi moksh pata hai,


Mera vaastav me koi roop nahi jaise aatma ka nai, kintu aatma ke Jane ke baad shareer mitti ka dherr matra hota hai usi prakar mujhe kisi bhi roop me na manne vaale vyakti ka jivan hota hai q ki main hi hu aatmao ki aatma parmatma ishwar/Allah/god/parmeshwar/malik/jagat mata-pita/swami, aakarheen aur sakar main hu hu, Jo kal tha aaj h aur Jo sada rahega main hu wo..














ishwar vaani- 78,daan ka arth evam daan ka mahatwa

Ishwar kahte hain " yadhapi duniya ki samast vastu ka nirmata mai hi hu, samast shrushti jeev-jantu dhan sampatti dukh sukh hasi ashk har ek cheez ka nirmata main hi hu,

Isliye kuch log kahte hai ki samast vastu ishwar ki hai isliye unhe daan aadi nai dena chahiye q ki sabkuch to unka hi h, ab unki cheez unhe hi dena galat h, lekin WO nadan is dawn ka sahi abhipraaye jaane bina aisa kahte h,


Daan WO vastu h jise vyakti apne hisse me we bacha kar muje arpan karta h, ye satya h muje iski aavshyakta nahi, kintu daan me diya muje diya WO ansh kya h?? Jaise mata-pita apne balak ko apni aaye ka ek hissa apne balak ko jeb khar (pocket money) ke taur par dein aur usi me se wohi balak kuch dhan bacha kar apne mata-pita ke liye kuch samagree athwa dhan apni ichha se unhe de, to his prakar mata-pita ko apne balak is vyavhaar se khushi hogi waisi hi prasannta mujhe hoti h jab koi vyakti apni aaye ka ek hissa mere liye nikalta h, kintu ye jaroori nai ki mere naam ka nikala WO hissa kisi dharmik sthaan athwa dharmik kaarya me hi lagaya jaaye, mujhe atyant prasannta hoti hai jab mere naam se apni aaye ka ek hissa jarooratmand prani (manushyo, pashu-pakshiyo, ped-podhon, nadi-naalon evam prakati ke kalyan) me lagaya jaata hai, aisa daan mujhe bahut priye hai aur isse hi main sweekar karta hu.








Wednesday 3 June 2015

dilli shahar tha wo.....

"Dilli shahar tha wo dilwalon ka, dilli shahar tha wo matwalo ka, har fikar ko dhuye mein udake chalte the har pal log jahan, ye shahar tha aise himmatwalo ka,raj dil pe karte the log jaha ke, ye shahar tha aise dildaaro ka,

Pakhand ne pasare hain perr jaha, dilli ab WO shahar hai dalalon ka, jhooth-fareb-dhokhe milte hain pag-pag jahan, dilli WO shahar hai ab halalon ka, lutti hai izzat har roz har sadak par, marti insaniyat ko zinda rakhta hai WO, dilli WO shahar hai ab un misaalon ka "

Monday 1 June 2015

"gunah tha mera"

"Dil kisi se lagana gunah tha mera,
Kisi ko dil mein basana gunah tha mera,

Apna kisi ko kahna gunah tha mera,
Gerr ko apna banana gunah tha mera,

Sapna kisi ka dekhna gunah tha mera,
Neno mein kisi ka sapna gunah tha mera,

Dhadkano mein yu samana gunah tha mera,
Kisi ka yu dhadkan banjana gunah tha mera,

Saanso mein kisi ka bas jana gunah tha mera,
Zindagi ki saans ban jana kisi ka gunah tha mera,

Ummid mein kisiki ashq bahana gunah tha mera,
Ashqo ka ummid ban jana gunah tha mera,

Hasa kar umar bhar rulaa jana gunah tha mera,
Kisi ko apni hasi banana gunah tha mera,

Zindagi mein panah kisi ko dena gunah tha mera,
Kisi ko apni zinadagi banana gunah tha mera,

Dil kisi se lagana gunah tha mera,
Kisi ko dil mein basana gunah tha mera...-2"

Thursday 28 May 2015

pani nahi tapka

"Khaali padi hai baalti sookh chuka hai matka,
Kai dino se NAL se ek boond pani nai tapka,

Ab to rah rah kar chhodne lagi hai har aas,
Do boond paani na milega na bujhegi ye pyas,

Nahana to kabka ban chuka hai ek sapna,
Do boon pani nahi kaise ho khana pakna,

Garmi se jal uthaa ye tan-man, ye aag kaise bujhau,
Do boond paani nahi ghar par,ye raakh kaise hatau,

JAL rahi ye dharti tadap raha jeevan yaha,
Kaise mile mukti do boond paani nahi yaha,

Boond boond ko tarsta jan-jan,
pani NAL se nahi aankho se hai tapka,

Khaali padi hai balti sookh chuka hai matka,
Kai Dino se NAL se ek boond pani nahi tapka"



udna chahta hoon

"Pankshi ban aakash mein udna chahta hoon,
us unche neele gagan ko chhoona chahta hoon,

Kuch hasrate hain dilki bas puri karna chahta hoon, udta hua dhara se gagan mapna chahta hoon,

Dekha hai parindo ko aasman mein yuh udte huye,
Khwaisho ke pankh laga ke udna chahta hoon,


Sapno ke hindolo sang bas main khona chahta hoon,
Is unche neele ambar ki gehrai dekhna chahta hoon,


Pankshi ban aakash mein udna chahta hoon,
Us unche neele gagan ko chhoona chahta hoon"-2