Thursday 23 July 2015

meri shayeri collection-hindi

1\* jab se maine ishk mohabbat ko pana chhod diya, tab se apne liye yaaron maine jeena seekh liya,

Ek wakt tha Jo gujarta tha tere hi GAM ke sahare,
Aaj bhula ke har gam ko maine muskurana seekh liya,


2*\  anjani si in raaho mein chale ja rahe hain ham, na pata hai raahon ka na pata hai manil ka, bas bade ja rahe hain bas bade ja rahe hain,


3\*  zakhm dene wale hi aksar yaad aate hain, warna pyar dene wale ashk hi kahan bahne dete hain,

4*\ dil mein bas kar hi wo dil tod gaya,
Apna bana fir tanha mujhe chhod gaya,
Rahta tha dilme mere Jo khuda ki tarah,
Aaj majhdhar mein akela chhod gaya,


5\* tere intezaar mein ek afsaana likh dala,
Tu na aya bewfa ye sara zamana badal dala,


6*\ tu hi to meri gazal meri har nazm,
Tere hi naam ye zindagi har janm hai,
Guzra kal bata na dur tum Jana mujhse,
Na Ji sakenge tere bin ae mere sanam,


7\* nadi ke do kinaare hain ham,
Ek dusre ke sahare hain ham,
Na mile saath bhale umar bhar tera,
teri hi mohabbat ke maare hain ham


saza maine paayi hai- kavita

"Tujhse mohabbat ki har pal saza maine paayi hai,
Is wafa ke badle tujhse mili mujhe to ruswaayi hai,

Zeevan ki is dagar par ye baat ab samajh aayi hai,
Meri bhalaiyo ke badle mili mujhe kyon tanhai hai,

Karke yad tujhe bhi aaj meri aankhe bhar aayi hai,
Bhula kar bhi tujhe dil mein chhavi teri hi chhai hai,

Ae bewafa tere bina li na Maine koi angdaayi hai,
Tere bin jeene ki koi khwaish is dilme na aayi hai,

Teri yaado ki tashvir  is dil mein yu samaayi hai,
Tere siwa Kisi aur ki moorat dil mein na aayi hai,

Tu nahi hai paas par teri yaadon ki parchhai hai,
Is dilne jagah bas tere liye hi to ab tak banayi hai,"

ishwar vaani-90, ishwar ne atirikt kuch nahi banaya

Ishwar kahte hain "hey manuahyon jis prakaar maine tumhe do aankh do kaan diye hain, jis prakaar maine tumhare shareer par atirikt ang pradaan nahi kiye hain, usi prakar shrishti mein maine kuch bhi atirikt nahi banaya hai,

Tum swaarth vash, jihwa ke swaad hetu athwa manoranjan hetu kisi nirdosh ke praan har lete ho kintu ye adhikar tumhe diya kisne, jab maine tumhe do ki jagah teen aankhe do ki jagah chaar haath nahi diye fir mere dwaara shrishti pe janme kisi bhi jeev ko maarne ka atirikt adhikaar tumhe diya kisne,

Jis prakaar tunhare shareer par atirikt ang pradaan nahi kare hain maine waise hi na koi jeev-aatma, nadi-naale, sagar-bhoomi, jharne-van(jangle), brahmand ka kan kan maine atirikt aur bina uddeshya ke nahi banya hai,

Ishliye hey manushyo in me se kisi ko bhi haani pahuchana band kar sampoorn manav bano, ek sachha aur sanpoorn manav hi saint kahlata hai kyonki WO sada jagat ke  hit ke vishya mein kriyasheel rahta hai aur is kaar deviye gun prapt kar sabka kalyan karta hai, kuch pakhandi log manav ko devta banane ki baat karte hai, par WO nahi jante devta aur saint aur ishwar mein kya bhed hai, devta chhodo tum pahle maanav to manushya ko bana do,

Ek manav apne satkarmo se saint ban ishwariye kripa pa deviye gun dhaaran kar devta ki shredi mein aa pahuchta hai, devta nishchit kriya ko poorn kar us parmeshwar mein vileen ho jate hain, sansaar mein sabki mratyu nishchit hai siwaaye ishwar ki, samast jeev aatma, samast Brahmans, Brahma, Vishu, Mahesh, samast maha shaktiya jisme ek din vileen ho jayngi WO ishwar yani ki main hi hoon, Jo shoonya arthaat kuch na ho kar bhi San kuch hoon, sabka janak, palak, sanharak aur khud mein samane wala main hi hoon, swarg-narak, khushi-gam ka data main hi hoon,

Hey maanavo abhi bhi wakt hai manav dharm ki rah par chal mujhe apna lo anyatha aage apne vinaash ke tum khud hi zimmedar hoge"







Saturday 18 July 2015

mere paas tu hai-kavita

"Hai nahi tu mere paas par tera ahsaas hai,
hawa ke jhonke ke saath mere paas tu hai,

Chhipa hai kaha is duniya ki bheed mein tu,
Par lagta hai jaise mere aas-paas bas tu hai,

Har ghadi dhundti hai jise meri nazre har kahi,
Milega kahi to mujhe mera wo vishwas tu hai,

Mere dil ki in dhadkano ki aawaaz tu hai,
Mere bekaarar is tanha dil ki pyaas tu hai,

Hai nahi tu mere paas par tera ahsaas hai,
Hawa ke jhonke ke saath mere paas tu hai"

Friday 17 July 2015

meri bhakti meri shakti hai ma-kavita

"Meri bhakti meri shakti hai ma,
Mere nihshab ki abhivyakti hai ma,

Dur ho kar bhi har pal pas hoti hai ma,
Rahu chahe jahan dilme rahti hai ma,

Chot mujhe lagti to roti hai ma,
Dard chhipau lakh par jaan leti hai ma,

Kabhi Bahan kabhi saheli banti hai ma,
Kabhi dantti kabhi dularti hai ma,

Kabhi bahu to kabhi saas banti hai ma,
Har rishte se bas pyaar barsati hai ma,

Ishwar ka roop nahi ishwar hoti hai ma,
Ghar ke deepak ki Jyoti hoti hai ma,

Bina kahe kitna kuch kah deti hai ma,
Chup rah kar bahut kuch bata deti hai ma,

mere dil ki aawaz bas ye hi kahti hai,
Ma mein hi nav-durga to rahti hai,

pyar ki moorat duniya use kahti hai,
barsaye pyar sada ma hi to wo vyakti hai,

har mod par bas uski anubhuti hoti hai,
Hai amulya jagat mein WO Moti hai ma,

Har pal har lahma to uski jarurat hoti hai,
Soti hai santan chense jab jagti hai ma,


Har gam mera use mil jaye,
In ashko ko dekh ye hi kahti hai ma,

Zindagi ko har pal sawarti hai ma,
Har rishte nibha insasn banati hai ma,

Tabhi dil se ye hi aawaz aati hai,
Mere jivan mein jhalak uski dikh jati hai,

Patjhad se jivan mein haryali lati hai ma,
Dilpe pathar rakh beti Vida karti hai ma,

Kal ki beti hi to banti hai aaj ki ye ma,
Tere bin to ishwar bhi ashakt hai ma,

Tabhi Meri bhakti meri shakti hai ma,
Mere nihshabd ki abhivyakti hai ma,

Meri bhakti meri shakti hai ma
Mere nihshabd ki abhivyakti hai ma"

ae khuda

"Ae khuda na maangu tujhse ye dhan-daulan aur ye aasman, maangu to bas do gaz zamin zism ki bandish ko todne ke baad"

koi kaaran hoga- kavita

"Kadi dhoop mein daud lagaye fir bhi naukari na paaye koi kaaran hoga,

Garibi ghar mein perr jamaye har din wo to badti jaye kaaran hoga,

Karz beemari badti jaaye fir bhi kaam na koi dilaaye koi kaaran hoga,

Mehgai bhi badti jaye koi sarkar na kam kar paaye koi kaaran hoga,

Laachari bhi bahut sataye bebas aankhe kahti jaaye koi kaaran hoga,


Kisi ko ameeri khoob sataye kahi karibi badti jaaye koi kaaran hoga,

Koi paisa kaha chhipaye is chinta mein dooba jaye koi kaaran hoga,

Kisi ko roti  bhi na mil paaye kaise apna ghar chalaye koi kaaran hoga,

Koi chhappan bhog banaye koi Paani pee so jaaye koi kaaran hoga,


Kahi diwali roz manaye koi andhere mein din bitaaye koi kaaran hoga,

Kadi dhoop mein daud lagaye fir bhi naukari na paaye koi kaaran hoga-2