Friday 17 July 2015

meri bhakti meri shakti hai ma-kavita

"Meri bhakti meri shakti hai ma,
Mere nihshab ki abhivyakti hai ma,

Dur ho kar bhi har pal pas hoti hai ma,
Rahu chahe jahan dilme rahti hai ma,

Chot mujhe lagti to roti hai ma,
Dard chhipau lakh par jaan leti hai ma,

Kabhi Bahan kabhi saheli banti hai ma,
Kabhi dantti kabhi dularti hai ma,

Kabhi bahu to kabhi saas banti hai ma,
Har rishte se bas pyaar barsati hai ma,

Ishwar ka roop nahi ishwar hoti hai ma,
Ghar ke deepak ki Jyoti hoti hai ma,

Bina kahe kitna kuch kah deti hai ma,
Chup rah kar bahut kuch bata deti hai ma,

mere dil ki aawaz bas ye hi kahti hai,
Ma mein hi nav-durga to rahti hai,

pyar ki moorat duniya use kahti hai,
barsaye pyar sada ma hi to wo vyakti hai,

har mod par bas uski anubhuti hoti hai,
Hai amulya jagat mein WO Moti hai ma,

Har pal har lahma to uski jarurat hoti hai,
Soti hai santan chense jab jagti hai ma,


Har gam mera use mil jaye,
In ashko ko dekh ye hi kahti hai ma,

Zindagi ko har pal sawarti hai ma,
Har rishte nibha insasn banati hai ma,

Tabhi dil se ye hi aawaz aati hai,
Mere jivan mein jhalak uski dikh jati hai,

Patjhad se jivan mein haryali lati hai ma,
Dilpe pathar rakh beti Vida karti hai ma,

Kal ki beti hi to banti hai aaj ki ye ma,
Tere bin to ishwar bhi ashakt hai ma,

Tabhi Meri bhakti meri shakti hai ma,
Mere nihshabd ki abhivyakti hai ma,

Meri bhakti meri shakti hai ma
Mere nihshabd ki abhivyakti hai ma"

No comments:

Post a Comment