Wednesday 15 July 2015

pauranik katha-8, sabse pavitra

"Ek samay ki baat hai saint kabir kisi samaroh mein gaye, waha ke ek vikhyaat pandit aur saint kabir ke beech shashtarth ki pratiyogita ke aayojan ke vishya mein waha ke panditon ne saint kabir aur un mahatma se baat ki, WO dono iske liye taiyaar to gaye kintu shashtarth poorva WO ek doosre se mile tak nahi the kintu ek doosre ki khyaati avashya unhone suni thi,

Kintu shashtrath wali subah jab WO pandit shauch kriya ke baad apni kuttiya mein laut rahe the tabhi kabir das ji waha se nikle unhone pandit Ji se kaha ram-ram par unhone koi uttar na diya is tarah kabir das Ji ne kayi baar ram ram kaha par pandit ji ne koi uttar na diya,

Jab shashtrath ka samay hua to dono vidwaan aamne samne baithe, kabir das ko in pandit msharaj ne unhe pahchan liya kintu apne ahankar mein choor pandit apne ko hi abhi tak shreshth samajh unhe harane par hi vichar mein vyast tha, kintu shashtrath shuru hone se poorva kabir das Ji ne pandit Ji se puchha aaj subah jab aapse Maine ram ram kaha to aapne uttar kyon nahi diya??

Pandit Ji ne uttar diya tab main ashudh avashtha mein tha, to kabir das Ji bole arthaat? Pandit Ji bole main shauch kriya karke laut raha tha isliye ashudh tha tabhi aapko uttar na de saka, is par kabir das ne kaha aap fir shudhh kaise huye, pandit Ji ne kaha mitti aur JAL se, is par kabir das Ji bole kintu mitti aur jal bhi to ashudh hai, sansar mein aisi kaun si vastu hai Jo shudhh hai kewal ram ke naam ke siwa, Maine to aapko sabse shudhh karne wale ka smaran karne hetu ram ka naam liya aur pratuttar ke sthaan par aap bina kuch kahe chal diye,

Ye sun kar  pandit Ji ne shashtrath nahi kiya apitu saint kabir ke shishya ban gaye.."






No comments:

Post a Comment