Tuesday 14 July 2015

ishwar vaani-89, manav dharm

Ishwar kahte hain "yadhapi kaliyug mein anek jaati, dharm, aur sampradaayon ka uday hua hai, kintu isse poova aisa nahi tha, manav jaati ke shuruaat mein na jaati na dharm aur na sampradaaye the, manav aur uske karm hi itne paswan the ki mujhe (ishwar) ko is dharti par manav ko paap ke raaste se mukt karane hetu unhe shikshit aur gyaan dene yaha aana nahi padaa,

Kintu samay ke saath anek vikratiya maanav jaati mein aane lagi falswaroop unhe door karne ke liye jaati aur sampraday ka nirman hua, kaliyug mein paap sthaan-sthaan par itna bad gaya ki mujhe dharti par aa kar maanav jaati ko paap aur dukh se mukti dilaane hetu aana pada, desh/kaal/paristithiyon ke anusaar main dharti par avtarit hua, apne gyaan ko duniya mein dohraya, us gyaan par chalne aur maanne wale aur na maanne wale dono hi tarah ke logon ne isse ek naye dharm ke roop mein liya, jabki iska mool uddeshya log bhool gaye, mere gyaan ka mool uddeshya tha manav vikrati ka ant aur sampoorn manav dharm ki sthapna na ki anya dharm ki, kintu manav ne meri shiksha ke viprit khud hi naye naye dharm ka nirmaan karte gaye, aur falswaroop aaj jagat mein raag/dwesh/hinsa ka shukaar khud hi ho rahe hain, Jo vyaktu manav dharm ko bhool kar meri di shiksha ka galat arth nikalega waha ye sab to hoga hi,

Yadi samay rahte manav ne manav dharm ki raksha hetu kartavya nahi kare to sheeghra hi na manav bachenge aur na unke hi jaati-dharm-sampraday na manav jaati, aur iska jimmedar khud manav hoga.."






No comments:

Post a Comment