Wednesday 1 July 2015

ishwat vaani-87, ishwar ek hi hai

Ishwar kahte hain "yadhpi hey manavo tum mujhe anek roop aur swaroop mein mante ho, mujhe anek naam se mantle aur pukarte ho, koi mere sakar roop ko pujta hai to koi nirakar, par us ek aatma arthaath parmatma yani ki mere vasatvik roop ko koi nahi janta, sach to ye hai mera koi roop aur swaroop nahi hai, na to main sakar hoon aur na nirakar hoon, jaise jeev mujhe manta hai main wohi ban jaata hoon, par main hoon to ek sarvshaktiman parmeshwar,


Jaise ek mata-pita ki anek santane ho, WO Sab unhe vibhinn naamo se pukarte ho par mata-pita sunte to sabki hain, chahe koi unhe ma-baapu kahe, mummy-papa kahe, ammi-abbhu kahe, kintu mata-pita apne sabhi balako ko saman sneh karte hain, sabka samaan dhyaan rakhte hain aur unki sun kar har ichha puri karte hain,

Waise hi samast praani mere balak hain, WO mujhe chahe jis naam se pukare, main sabki samaan roop we sunta aur pyaar karta hoon, chahe balak mujhe jis naam se pukare par pukare aur mujhe jaane-maane jarror, par mere kisi ek naam ko hi kewal satya na maane, aur na hi mere ek naam aur roop swaroop ko anya kisi par thope, bas har manav ye jaan le main ek hi hoon dooza koi nahi mujsa shaktiman tumhara aur jagat ka janm data, swarg-narak ka swami main hi hoon, tumhara palak aur sanharak main hi hoon, samast aatmao ka swami mai hi hoon. Chahe tum mujhe jis naam aur roop mein maano, main pal-pal tumhare saath hoon aur tumhare achhe bure ka bahi-khata pal-pal ka apne pass rakhe huye hoon, aur tumhe iss shareer hi nahi apitu kayi janmo tak tumhe tumhare karmo ki saza milegi kintu achhe karmo se sukh ko prapt hoge kyonki karmanusar sukh aur dukh dene Wala main hi hoon,

Main hi aadi kaal se tha, main aaj bhi hoon aur anant kaal tak main hi rahunga, par satya main hi hoon, mujhse bada satya koi nahi, meri satta na manne wala, mere bataye marg par na chalne wala, bure karmo mein leen rahne Wala, aise manushya mere kadapi priye nahi, WO burai ka marg apna sadaa jhooth ka saath dete hain, WO hi janmo tak dukh bhogte hain,

Main har janm mein karm sudharne ka avsar deta hoon kintu Jo log iska laabh pa kar karm sudhar lete hain WO anya jeevan mein us janm ke karm aur is janm ke karmoanusaar sukh paate hai kintu Jo laabh nahi lete WO sadaa dukh paate hain"





No comments:

Post a Comment