Tuesday 28 July 2015

panchhi ban-kavita

"Panchhi ban main udna chahti hoon,
main bhi gagan ko chhuna chahti hoon,

Yaad rakhe zamana mujhe apne dilme,
Dilon mein yaad ban basna chahti hoon,

Panchhi ban main udna chahti hoon,
Roshit ghar ye aagan bas chahti hoon,

Ban kar Jyoti chamakna chahti hoon,
Suman ki tarah mahakna chahti hoon,

Barkha ban kar barasna chahti hoon,
Hasrato ka dariya bharna chahti hoon,

Adhoore khwaab poore chahti hoon,
Ban kar misaal bas jina chahti hoon,

Panchhi ban main udna chahti hoon,
Main bhi gagan ko chhuna chahti hoon"

dhoondta hoon main-kavita

"Wakt se haara ek kinara dhoondta hoon main,
Hoon besahara, sahara dhoondta hoon main,

Kitna dard mila mujhe in kateeli raahon mein,
Zakhmo ka mara, ek sahara dhoonta hoon main,

Ye haalat kis kadar badal gaye yuh aaj to mere,
Kho chuke apno ka sahara dhoondta hoon main,

Ruswaiyo ke sagar mein aaj yu akela betha hoon,
Tanhaiyon  mein fir sahara dhoondta hoon main,

Us jharokhe se aaj bhi ye nazara dekhta hoon main,
Viran si is zindagi mein sahara dhoonta hoon main,

Apne wazood ke ye nishaan dhoondta hoon main,
Jivan ki is wazah ka sahara dhoondta hoon main"

Sunday 26 July 2015

shayri

1*Tere sang jiya har pal bahut yaad aata hai,
Tere sang jiya har lamha bahut yaad aata hai,
Jo guzari thi shaam Teri baaho mein Maine,
Tere sang jiya wo pal har lamha bahut yaad aata hai,


2* is hawa ke jhoke mein ek tera hi ahsaas hai,
Dur ho kar bhi tu mere kitne paas hai,
Aisa lagta hai jaise har lamha saath hai,
Bewafa dilbar mere liye aaj bhi kitna tu khaas hai,


3* duriyon ki parwah na ki tujhse Milne chali aayi,
Laaj Sharm haya haye sab chhod tere peeche aayi,
Par bewafa tune di mohabbat ki har mod par saza,
Meri chahat dekh ae bewafa teri aankhe na bhar aayi

Saturday 25 July 2015

ae dil bata-shayari

"Ae dil bata is marz ki dawa kya hai,
Siwa mohabbt ke maine ki khata kya hai,
Wo husn ki mallika main dil uspe hara hu,
Ae dil bata usse aashiqi ki waZah kya hai"

sherr

"Hey ishwar mujh par kuch aisi kripa do,
Main hun zamin, falak ka sitara bana do"

manav kar raha atyachaar-kavita

"Har kahi ho rahi hahakar, dekh usse dilse nikal rahi cheetkaar,
Gum ho chuka hai manav dharm, kho gaya shishtaachar,

Rota hai pagal mann mera dekh insaan ke ab achaar-vichaar,
Kisi ko sookhi roti nahi yaha, koi khaye dahi aur achaar,

 Brasht ho chuki duniya mein kis kadar felaa hai bhrashtachar,
Nirdayi ho chuki duniya mein, nahi hota ab daya ka sanchaar,

Chho chuke bhale aaj gagan ko ham par kho diya ye chamatkar,
Kho chuka ab wo bhai-chara, fell chuka har kahi ye vyabhichar,

Sachhe Prem ke nahi milte kisi shakhs mein ye vichaar,
Raag-dwesh aur hinsa har kahi, roti manavta manav kar raha atyachar,
Manav kar raha atyachaat-4

mehka diya tune-sherr....

"Ye ajib sa ahsaas diya tune,
Aam se khaas bana diya tune,
Bas ek kachhi si Kali thi main,
Bana pushp mehka diya tune"