Saturday 10 October 2015

chhipa rakha wo raaz-kavita


"Chhipa rakha  wo raaz batau    kaise,
Apne har   zazbaat aaj jataau     kaise,
Hai mujhe ik mohabbat bas tumhi se,
Dhadkanse tumhara naam mitau kaise,

Dhyaan apna ik tumse hataau   kaise,
Dilki diwaar se tera naam mitau kaise,
Hai saagar se bhi gehri meri   aashiqi,
Ashko ki zubaan se ab batlaau  kaise,


Gam-ae-mohabbat  tujhe sunaau  kaise,
Har apne wo  zakhm tujhe dikhau kaise,
Hai mera ye dil sirf tujh par hi yuh fidaa,
Apni chahat ko fir aaj main bhulau kaise"

saawali soorat- kavita

"Saawali soorat mohani moorat chal matwali,
Thumak thumak chali aati karti hassi thitholi,

Mand mand muskaye holey se jaam jhalkati,
Bhar leti aaghosh mein apni jab nisha gehrati,

Chhan chhan har aangan mein payal khankati,
Ood saawari sitaro wali chunaiya kaise itraati,

Mere hi ghar nahi sabke dwaar wo khatkhaati,
Seene se laga sabhi ko sabki thakaan mitaati,

Jab gagan mein chidiyaa bhor sangeet sunati,
Holey se chuda ke baiya fir chupke se chali jati,

Fir milne tumse aaungi ye vaayeda kar jaati,
Dhalti sandhya wohi ood chunariya chali aati,

Na todati niyam WO puraanaa roz aa jaati,
Meethe sapno ke sang nayi duniya dikhati,

Chipte Ravi ke wo to dheere se kadam badati,
Madhos behake kadamo sang roz fir chali aati,

Saawali soorat mohani moorat chaal matwaali,
Thumak thumak chali aati karti hassi thitholi,

Friday 9 October 2015

ishwar vaani-105, doodh ki nadiya

Ishwar kahte hain "yadhi aap sabhi ne sun rakha hai prachin kaal mein dharti par dhoodh ki nadiya bahti thi, kintu ab nahi dikhti,

Kintu log nahi jaante us samay nadi to JAL arthaat paani ki hi hoti thi kintu wo JAL itna shudhh hota tha jitna vartman mein doodh tak nahi milta. Uski shudhhi ke kaaran usme doodh jaise hi guno ki maatra hoti thi jiski wazah se kaha jaane laga ki us yug mein doodh ki nadi bahti thi",

Ishwar kahte hain "yadi maanav ab bhi apne samast paap karm tyaag ishwariye maarg par chale, prakti aur praani jaati se prem kar inki suraksha kare nishchit hi poorva ki bhaati ek baar fir prathvi par doodh ki nadiya bahengi'

dil ye bekarar hai-geet

"Dil ye bekarar hai raja tujhse hi to pyaar hai aaja,
Dil ye bekarar hai raja tujhse hi to pyaar hai aaja,


Guzar na jaaye ye zindagi fir kahi
 dhal na jaaye ye shaam fir kabhi,

Aakar chupke se in dhadkano mein samaja,
Thaam le haath mera dil mein tu aaja,

Dil ye bekarar hai raja.......................

Guzri hain kitni shaamo shubah bin tere,
Rahi hu tanha raat aur din main to bin tere,

Nahi hote meri zindagi ke tum bin ab savere,
Rahti hu khoyi khoyi jaise na ho koi sath mere,

Dilko teri hi aas hai aaja kitna tu khaas hai raja,
Teri hi to pyas hai raja ab to paas mere aaja,

Dil ye bekarar hai raja tujhse hi to pyaar hai aaja,
Dil ye bekarar hai raja tujhse hi to pyaar hai aaja-2"



meri shayri

"Meri wafa ka rang na bhaya zamane ko,


Diya imtihaan har pal  unhe azmane ko,


Aaj ye meri bhalai ka hi natiza hai,


Duniya hai saath mere pal dil par tanhaiyo ka pahra hai.."

Wednesday 7 October 2015

do lines

"Dilki baat batana na aaya hame, jhuki palko ka raaz wo samajh na sake,

Apni mohabbat ki gehrai jatana na aaya hame nam aankhon ki baat wo samajh na sake"

Tuesday 6 October 2015

yaad mujhe aati hai-kavita

"Beete guzre lamho ki yaad mujhe aati hai,
Un  lamhon ki har   baat mujhe satati   hai,
Ek khata mohabbat ki hamne kya kar    di,
Meri  aashiqi hi aaj yuh mujhe rulati      hai,

Uski chhavi har taraf mujhe nazar aati  hai,
Dhadkano se uski hi aawaz bahar aati   hai,
Hai WO to bewafa mujhe hai ye khoob pata,
Fir bhi yaad uski ashq ban kar chali aati hai,

Kismat se mili daga ye baat bahut rulati hai,
Kabhi kahte the wo ki ham diya aur baati hai,
Har khwaab tod tanha kar gaya ek pal   mein,
Apne is soonepan mein koi baat na suhati hai,

akele hu ya rahu bheed mein uski yaad aati hai,
Chalte-chalte fir meri aankhen nam ho jaati hai,
Sochta hai kitna ye dil us farebi ko aaj bhi mera,
Yad mein us bewafa ki dhadkan bhi rukti jati hai,

Dilse har lamha bas ye hi baat nikal ke aatee hai,
Ek bewafa se dil lagane ki  khata tujhe satati hai,
Main to thi nadaan na jani us bewafa ki pahchan,
Ab Ye hi baat pal-pal mujhe to bas tadpaati hai,

 Beete guzre lamho ki yaad mujhe aati  hai, 
Un lamhon ki  har baat mujhe   satati hai,
Ek khata  mohabbat ki hamne   kya kar      di,
Meri aashiqi    hi aaj yuh   mujhe rulati     hai,"