Saturday 10 October 2015

saawali soorat- kavita

"Saawali soorat mohani moorat chal matwali,
Thumak thumak chali aati karti hassi thitholi,

Mand mand muskaye holey se jaam jhalkati,
Bhar leti aaghosh mein apni jab nisha gehrati,

Chhan chhan har aangan mein payal khankati,
Ood saawari sitaro wali chunaiya kaise itraati,

Mere hi ghar nahi sabke dwaar wo khatkhaati,
Seene se laga sabhi ko sabki thakaan mitaati,

Jab gagan mein chidiyaa bhor sangeet sunati,
Holey se chuda ke baiya fir chupke se chali jati,

Fir milne tumse aaungi ye vaayeda kar jaati,
Dhalti sandhya wohi ood chunariya chali aati,

Na todati niyam WO puraanaa roz aa jaati,
Meethe sapno ke sang nayi duniya dikhati,

Chipte Ravi ke wo to dheere se kadam badati,
Madhos behake kadamo sang roz fir chali aati,

Saawali soorat mohani moorat chaal matwaali,
Thumak thumak chali aati karti hassi thitholi,

No comments:

Post a Comment