Thursday 1 October 2015

ishwar vaani 104, ishwariye satta

Ishwar kahte hain "yadhpi is shrishti aur prani jaati ka swaami main hi hoon, mera roop-swaroop nirakar hai, Maine hi apne is nirakar roop se sakti ko utpann kiya aur usne Brahma-Vishnu-Mahesh ko janm diya jinhone meri hi aagya se nimn kaarya shrishti evam brahmand aur prani jaati ke nirman mein sahayak bane,

Yadhpi prani jaati ke ishwar aur devi-devta wo kahlaaye kyonki vibhinn aur moort roop mein unhone prani jaati ki sahayata ki, aur is prakaar jab jab logon ko ishwariye sahayta ki aavshyakta hui  unhone unhe hi yaad kiya is prakaar wo prani jaati ke ishwar kahlaye, kintu wo mere upasak hai, meri hi aagya anusaar wo kaarya karte hain, jab jab dharti par ishwar ki shakti ko chunoti di in devi-devtao ne vibhinn roopon mein desh/kaal/paristithi ke anusaar janm le kar ishwar ki satta sthapit kar ishwar ki mahhatta ko chahu oor felaya hai,

Isliye hey manushyo tum jis roop mein mujhe pukaro main tumhare saath hoon,

Bhrahma, Vishnu, Mahesh sahit shakti Jo ki samast brahmand mein virajit ho uska sanchalan karti hai, mera hi ek roop ho kar devi-devtao ka roop hai, vibhinn yugon mein inke avtaar issi ka pratiroop hai,

Yadhapi main nirakar hoon evam in samast devi-devtao sahit Maine hi brahmand ke kan kan ka nirman kiya hai, main hi unke dwara desh/kaal/paristithiyo ke anusar janm le kar shrishti  ko ishwariye satta chaaro oor felaa kar prani jaati ka kalyan karta hoon.."

No comments:

Post a Comment