Monday 19 October 2015

ishwar vaani-106, sadguru shri Archana ji ki ishwar vaani- yug kya hai..

Ishwar kahte hain "yadhhpi tum sabhi ne yug pratha ke vishay mein sun rakha hai  pratham yug Satyug dwitiye Treta tratiye Dwapar chaturth Vartman yani ki kaliyug,


Aksar vibhinn dharnao ke log manavo ko bhramit karne hetu ye kahte jaate hain 'kaliyug jaane wala hai satyug aane wala hai, kintu unhe yug vaastav mein hota kya hai ye nahi pata


Yug koi devta ya shetan nahi hai jiske aane jaane se achha ya bura hoga, vaastav mein ye shrasti ki avasthaaye hai jaise ek vyakti ki chaar avasthaaye mukhya hai-sheshvastha, balyavastha, prodavastha, vradhhavastha, iske baad uske bhautik shareer ka ant aur aatma ek nayi kaya aur naye kaarya hetu chali jaati hai,

Usi prakar hai yug pratha Jo shrashti ki chaar avasthaye hain, Satyug hai sheshav avastha, us kaal ke log ek shishu ki bhati nihswarth aur pavitra hote the, saatvik hote the, samast buraiyo se dur unka mann ek shishu ki bhaati sachha pak aur paawan hota tha,

Fir aaya Treta yug, yaani ki yug ka balyakal, ek balak ki bhaati us samay kuch kuch swaarth to kuch kuch bholapan ek shishu ki bhaati raha, is yug mein shetaan balak ki bhaati kuch manushyo ka vyavhaar raha jise raakshhash ki Santa di gyi,

Fir aaya Dwaapar yug athwa prod yug, is yug ke maanavo ka vyavhaar prodon ke saman swarthy tha, chori, jhooth, fareb, streeyon evam bujurgon ka apman, satta aur shakti ke liye apno ka rakt bahana, is prakar ka vyavhaar us yug mein manav ka raha,

Fir aaya vartman kaliyug, ye ek vradhh yug hai, is yug mein maanav ki budhhi bradht evam bujurgo jaisi hogi, paap aur swaarth apne charam par hoga, apne bheetar sabhi yugo ka anubhav isse hoga kintu umar ke is padaaw ke kaaran sahi aur galat mein bhed na kar payega, aur is tarah nishchit samay baat mritu ko prapt hoga, jiske falswaroop samast brahmand nasht hoga, jeev nasht honge kintu is yug mein bhi satyug jaisi soch aur kaarya karne wale log hi jeevit bachenge aur shashreer ishwar ke paas jaynge aur fir se is yug pratha mein sarvprtham janm lenge"

Apka kalyaan ho









No comments:

Post a Comment