Wednesday 21 October 2015

ishwar vaani-107, sachhe guru ke lakshan

Ishwar kahte hain "priye bhakton yadhhapi aap sabhi ne prithvi lok par apni apni vichardhara ke anusaar guru banaye honge, unka maan samman mere tulya hi karte honge, unki baat brham vaakya maan unke aadesh ka palan karte hone, unki katha aur pravachan sunte honge, ye achhi baat hai, kintu aaj main tumhe batane ja raha hoon ki guru ki kaun kaun si baat hain Jo apko nahi manni chahiye aur kyon.

Aksar guru kahte sune jaate hain Maya ka tyaag karo, bahut se to kahte hain apni dhan-sampatti mujhe do, taki aashram vasiyo ka palan poshan ho sake,

Kintu bhakto aisa kadapi na kare, kaaran main batata hoon, yadi guru sachha saint hai to usse is maya aur dhan-dampatti ki kya aavshyakta, usse daan ye yadi tum doge to tum bhi paap ke bhaagi banoge aur WO bhi, kyon?? Kyonki tum ye sab de kar usse moh Maya mein uljha rahe ho jabki WO iska tyaag kar chuka hai, iske saath hi wo is daan ko sweekar karta hai to wo paap ka bhaagi hota hai, saath hi ye uske paakhand ka pramaan bhi hai, ek sachha saint tumhe maya tyagne ki baat avashya kahega kintu kisi bhi roop mei tumse bhi na lega,

Maya tyagne ka asal abhipraaye jitni tumhari saamarth hai, jitna tum apne guru ko daan dene ki ichha rakhte ho, utna daan jaruratmand insan, pashu-pakshi ki sewa aur bhalai mein lagao, aur Jo guru aashram ke vasiyo ke liye dhan mangte hain, bhoomi aadi kuch bhi mangte hai, mat do, karan aisa karne se unme aalasya, dharm ke naam par thagi, aur maya dosh lagega aur tum bhi barabar ke bhaagi hoge,

Isliye jo aashram karmi sharirik roop se swasthya hai, wo prachin bhiksha vidhi, guru shishya parampara anusaar guru dakshina mein kuch dhan arjit kar sakte hain jintu utna hi guru dakshina mein le sakte hai Jo uchit ho aur jiska moolya ameer-gareeb mein bhed na karta ho,

Aisa saadhak hi sachha guru hai, anyatha pakhandi"


Aapka kalyaan ho

Sadguru Archana Ji ki ishwar vaani






No comments:

Post a Comment