Saturday 31 October 2015

nafarat ki aag.....

"Nafarat ki aag mein aaj ye jal raha insaan hai,

Baha rakt nirdosho ka ye duniya desh mahan hai,


Jaati-dharm se naata jinka iska hi ye parinam hai,

Dwand ki is agni mein duniya bani shamshan hai,


Behte ashko ki peeda na puchhe koi ab to yaha,

Rote-bilakhte mazloomo ka hi ab to ye zahan hai,


Mar chuki insaaniyat yaha chhayi to shetaniat hai,

Hridayhin is duniya ka aaj devta hi bana shetan hai,


Kabhi zindagi bhi mahakti thi yaha gulshan mein,

Aaj dikhte nahi yaha aise kahi wo nishaan hai, 


Lut rahi khushi kahi to lut rahi yaha insaaniyat hai,

Lutera in bebasi ka wo shakhs kya yaha nadan hai,


Feli har taraf ye cheetkar behti rakt nadiyo ki dhaar,

Har taraf ashruon ka fela pada yaha ye saaman hai,


Maar kar aaj apno ko kaise fakra karta khada hai jo,

Kuchal dharaa ko perro tale muskura raha insan hai,

Nafarat ki aag..............."

No comments:

Post a Comment