Thursday 29 October 2015

ishwar vaani-110, ishwar aur devta

Ishwar kahte hain ''yadhhapi mera koi roop rang aur aakar nahi hai, bhakto ki ichha anusar evam desh/kaal/paristithyo ke anurup main roop leta hoon,

Kintu main hi shrishti nirman hetu vibhinn roop mein sarvapratham utpann hua jinhe log bhinn bhinn naamo se log desh/kaal/paristithyo ke anusar jante hain,

Mere yahi roop bhi ishwar aur devta mein bhed ka pratik hai,

Main tumhe aaj fir saral shabdo mein ishwar aur devta mein bhed batlata noon,

Ishwar usse kahte hain Jo sarvashaktiman to hai kitu uska apna koi aakar nahi hai, jisko kisi ne janm nahi diya na uska ant hoga,

Devta yadhhpi usme mere saman hi shaktiya hoti hai kintu meri ichha anusaar hi uska sansar mein janm hota hai aur nishchit samay baad uske bhi bhotik swaroop ka ant,

Kintu isme do raaye nahi hai ki sabkuch meri ichha se hota hai, kahi na kahi ye sab mujhse juda hai, isliye tum chahe jis roop aur jaise bhi mujhe ya mere kisi bhi roop ko yaad Karo par karo jarur, ishwar ya devta jise pukaro par pukaro WO hi tumhara kalyan karenge, ye WO vibhinn maarg hain jin par tum chal kar mujhe prapt karte ho,

Jesus Jo mera arthaat ishwar ka putra kahlaye unki bhakti tumhe mujh tak hi pahuchati hai, iske saath hi ishwar aur devta mein Jo antar hai WO darshati hai yadhapi jesus mein mujhse kam shaktiya nahi thi kintu wo ishwar ka putra hi rah, usi tarah mere anya roop hai, tum chahe jiski aaradhna karo par mujh tak hi pauchoge, aisa nahi hai log 33 karod mere roop mante hain aur unke alag lok, priye bhakto lok to ek hi hai WO hai mera kintu jiski bhakti karte ho WO mujh tak tumhe laane ka mere dwaara hi banaya gaya marg hai"


Tumhara kalyan ho






No comments:

Post a Comment