Monday 12 October 2015

kavita..apne bahte huye ashq

"Apne bahte huye ashkon mein teri hi chhavi dikhti hai,
Har taraf har pal mujhe to sirf ik soorat teri hi dikhti hai,
Mitaana   chaha apne dil   ki deewaron se    tujhe maine,
Bas tujhe hi pukarata hai har lamha ye nadan man mera,
Kaash sun sakta tu ye pukar tadapte dil ki ye    chitkar,
Bhulana chaha tujhe apne zahan se har lamha  maine,
Ik harzaai ko hai aaj bhi chahta bhola ye mann  mera,
Apne bahte huye in ashko mein teri hi chhavi dikhti hai,

Apne bahte huye in ashko mein teri hi chhavi dikhti hai,

mere sine ki har dhadkan ko bas pyas ik teri hi rahti hai,
yad mein teri in ankhon se ansuo ki nadiya Hi bahti  hai,
Teri hi yaad mein har ghadi meri to aankhiya   roti hai,
Phir bhi saanson ko bas ik teri aas har pal hi rahti hai,
Dil ki gehraai mein moorat mujhe to teri hi dikhti  hai,
Har taraf har pal mujhe to sirf ik soorat teri   dikhti hai"

teri kami hai- do alfaaz

Sab hain saath mere bas Teri kami hai,
Sab hai paas mere bas aankho mein nami hai,

Gagan nahi naseeb mein mere to hua kya,
Kadam choomne ke liye poori ye zami hai"

ma mamta ki moorat hoti hai

''suna hai   Maine ma   mamta ki   moorat hoti hai,
Phir kyon beti ke liye    itni wo    beraham hoti hai,
Kya fark karna santan me use sikhaya bhagwan ne ,
ya apne saath huye anyaay ka badla beti se leti hai,"



"Beti ke  janm par uski ma hi pahle roti hai,
dekh apni godd mein bete ko jitna wo khush hoti hai , beti ko baaho me lekar usse jyada wo roti hai,
ye sawal hai mera har ma se kyon ye bhedbhaw apni mamta mein karti hai,
 jabki kahte hai ma to mamta ki moorat hoti haihai"

Sunday 11 October 2015

wo rishta hi kya-kavita

"WO riahta hi kya Jo ik pal mein toot jaaye,

Wo rishta hi kya Jo ik pal mein bikhar jaaye,

Wo rishta hi kya Jo ik pal mein gum ho jaaye,

Wo rishta hi kya Jo vishwas pe na tik paye,

Wo rishta hi kya Jo sharton pe nibhaye,

Wo rishta hi kya Jo har rishton se dur kar jaye"

meri shayri

"Na kuch bole WO na hamne kuch suna,
Ye to dil ka rishta hai shaayad,
Tabhi dilne kuch kaha aur dhadkano ne
Suna",

"Meri mohabbat ko na  samjhe   wo,
Sitam har pal mujhpe karte rahe wo,
Kasoor unka bhi to nahi hai shayad,
In ashko  ki bhaasha na samjhe  wo"

Saturday 10 October 2015

chhipa rakha wo raaz-kavita


"Chhipa rakha  wo raaz batau    kaise,
Apne har   zazbaat aaj jataau     kaise,
Hai mujhe ik mohabbat bas tumhi se,
Dhadkanse tumhara naam mitau kaise,

Dhyaan apna ik tumse hataau   kaise,
Dilki diwaar se tera naam mitau kaise,
Hai saagar se bhi gehri meri   aashiqi,
Ashko ki zubaan se ab batlaau  kaise,


Gam-ae-mohabbat  tujhe sunaau  kaise,
Har apne wo  zakhm tujhe dikhau kaise,
Hai mera ye dil sirf tujh par hi yuh fidaa,
Apni chahat ko fir aaj main bhulau kaise"

saawali soorat- kavita

"Saawali soorat mohani moorat chal matwali,
Thumak thumak chali aati karti hassi thitholi,

Mand mand muskaye holey se jaam jhalkati,
Bhar leti aaghosh mein apni jab nisha gehrati,

Chhan chhan har aangan mein payal khankati,
Ood saawari sitaro wali chunaiya kaise itraati,

Mere hi ghar nahi sabke dwaar wo khatkhaati,
Seene se laga sabhi ko sabki thakaan mitaati,

Jab gagan mein chidiyaa bhor sangeet sunati,
Holey se chuda ke baiya fir chupke se chali jati,

Fir milne tumse aaungi ye vaayeda kar jaati,
Dhalti sandhya wohi ood chunariya chali aati,

Na todati niyam WO puraanaa roz aa jaati,
Meethe sapno ke sang nayi duniya dikhati,

Chipte Ravi ke wo to dheere se kadam badati,
Madhos behake kadamo sang roz fir chali aati,

Saawali soorat mohani moorat chaal matwaali,
Thumak thumak chali aati karti hassi thitholi,