Thursday 18 February 2016

kavita-prem ka geet

kavita

"prem ka ye geet gaaya hai maine,
tujhe apna meet banaya hai maine,
bana dhadkan dilme chhipa le mujhe,
in baharon mein preet paya hai maine,

in fizaaon se tujhe churaya hai maine,
man mandir mein tujhe basaya hai Maine,
rag rag mein rahta hai tu zindagi ban kar,
apni saanso mein tujhe samaya hai maine,


jaane kitni ibadat se paaya hai tujhe maine,
laakho duaao se paaya hai tujhe maine,
dosto ki kya dushmano ki fariyad rab ne suni,
tab apne nasib se paaya hai tujhe maine,

tere liye har geet likha hai maine,
prem ka sangit sunaya hai maine,
Meri har gazal aur nazm tumhi ho  
Tujhe apna meet banaya hai maine"

Wednesday 17 February 2016

akhand vishwa ka nirman-kavita

"Aao manav dharm ka nimaan kare ham,
Mil kar akhand vishwa ki neev rakhe ham,

Na koi hindu na koi Muslim, mazhab se dur,
Aao akhand vishwa ki jyoot aaj jalaye ham

Bahut rahe khando mein, Ji liye dango mein, 
Aao milkar fir navyug ka nirman kare ham,

Shaanti aur prem ka uphaar aao baate ham,
Aao milkar akhand vishwa ka dhyaan kare ham,

Ekta aur akhandta ki ek fir misaal bane ham,
Aao milkar akhand vishwa ki neev rakhe ham"

       

us bewafa ki yaad- kavita

'Us bewafa ki yaad  bahut aati hai,
Us bewafa ki yaad bahut tadpati hai,

Kasur uska nahi mera hi to hai shayad,
Soch kar bas ye baat aankh bhigi jaati hai,

Umar bhar ka ye rishta jise kahta tha Jo,
Toote huye rishte ki peer badi satati hai,

Khushi ki ik bas chahat sang jiske ki thi,
Ussi ki bewafai bahut mujhe rulati hai,

Tod kar har rishta chala gaya dur mujhse,
Aaj akele is jivan ki tanhai khaaye jaati hai,

Behate hain ye ashq mere banke dhaar,
Rote huye is dil se bas ek aah nikal aati hai,


Us bewafa ki yaad  bahut aati hai,
Us bewafa ki yaad bahut tadpati hai,-2'

Monday 15 February 2016

prem ka sahi matlab-kahani

"Happy Valentine day kavita" ye kahte huye saarthak  ne ek bada sa gift ka dabbba aur phoolo ka badaa sa guldasta Kavita ko dete huye kaha, kavita isse dekh bahut khush hui aur boli 'thanks', par agle hi pal boli tum mummy-papa, mukesh bhaiya renu bhabhi aur divya didi ko kya gift de rahe ho aaj,
Ye sun kar Sarthak bola "dear bholi kavita aaj premiyo ka din hai pariwar ka din nahi hai Jo sabko gift deta firu aur na hi janmdin hai kisi ka, isliye aaj ka din tumhare naam aur ye gift sirf tumhare naam, i love you kavita so much",
Kuch derr sochne me baad kavita boli "hamari shaadi ko kitna mahina ho gaya hai?", saarthak "11 mahine my dear", kavita fir boli "tum kitne saal se apne mata pita bhai bahan ke saath ho?", saarthak "main janm se unke saath hoon, main 30 saal ka hoo.n aur tabhi se unke saath hoon, par tum kyon ye puchh rahi ho?",
Kavita "agar main unme se jinke saath tumne itne saal bitaaye hai  unme aur mujhe kisi ek ko chunne ko du to kise chunoge??", saarthak "ye kaisa sawal hai, main kisi ek ko nahi chun sakta", kavita"par kyon, kya tum mujhse prem nahi karte, agar karte ho to mujhe chunne mein kya dikkat hai?", saarthak" haan main tumse bahut prem karta hoon par itna hi unse bhi karta hoon, main kisi ek ko nahi chun sakta, apne pariwaar ko nahi baat sakta",
Kavita "fir Valentine day ka gift mere liye laana bekar hai, ye tumhe un sabke liye Lena chahiye jinse tum sachha pyaar karte ho, aur pyaar pure pariwaar se barabar hi kiya jaata hai, isme bhed bhaaw ki gunjaish nahi hoti, aur rahi baat patni ko khaas mehsoos karane ki to karwa chauth ka din hai, jab patni pati ke liye vrat rakh usse khaas banati hai, par aaj ka din pati patni ka nahi balki pure pariwar aur apno ko prem de unhe khaas aur mahatwapurnmahatwapurn mehsoos  karane ka din hai, jisme mata-pita bhai-bahan, pati patni, dadi Dada Nana nani sabhi shamil hote hai, aakhir pati aur patni hi pariwar nahi hote, pariwar sabhiko mila kar banta hai, aur ye din pariwar ko jod unhe khaas mehsus karane ka din hai",
Saarthak "tumne meri aankhe khol di, aage se iska main khyaal rakhuga, ab main jaata hoon thik hai, koi puchhe to kahna bazaar gaya hoon", kavita "bazar kyon jaa rahe ho?", saarthak "sabke liye uphaar lene", kavita "thaharo maine pahle hi sabke liye uphaar le liye hai, chalo mil kar dete hai aur wish sabko wish karte hai", saarthak "haan kavita iske saath sabko prem ki sahi seekh sabko dete hain"
Is tarah saarthak aur kavita ne sabko Valentine day par gift de unke chehre khila diye, saarthak ke bade bhai bhaabhi jinhone kabhi is din kisi ko koi uphaar nahi diya tha unse isse le kar sharminda huye aur bole "prem ka sahi MATLAB tumse aaj hamne jaana hai, Jo pure pariwar ko ek banaye wohi sachha prem hai, ishwar har ghar mein aisi soch wale pati patni de"

Tuesday 9 February 2016

aa paas mere- kavita

"As paas mere ye ailaan main aaj kar du,
Apni har khushi aaj main tere naam kar du,
Rahe sadaa baahon mein meri yu hi tu,
Aa paas mere ye dua rabse main aaj kar du,

Teri ik muskaan pe jaan ye nisaar main kar du,
Le apni baho mein tujhe izhaar aaj main kar du,
Muskurata rahe sadaa tu phoolo ki tarah yu hi,
Aa paas mere aisa pyaar tujhse main aaj kar du,

Apne dil ke tukde se hi dil ki baat main kah du,
Tham kar haath tumhara tujhe apna main kar du,
Judai ek pal ki sahi jaati nahi tujhse meri to aur ab,
Karib aa mere ye jaan apni main tere naam likh du"

Monday 8 February 2016

kavita-'banjar hai zindagi'

"Banjar hai zindagi bas thakna mana hai,
Kisi ko ab to yaha apna kahna mana hai,

Kaatni hai zindagi akele aur tanhai mein,
Bas kisi se ab to dil lagana mana hai,

Umago se bhari hai zindagi bahut meri,
Rango se bharna isse ab to mana hai,

Thokare lagi hame anek uth kar fir chale,
Ab un raaston par chalna fir mana hai,

Kaanto se bhari har rahe hai teri 'Meethi',
'Khushi' ke bina yaha fir aana mana hai,

Banjar hai zindagi bas thakna mana hai,
Kisi ko ab to yaha apna kahna mana hai"

kavita"Ban kar suman ghar mehkati ho tum,

"Ban kar suman ghar mehkati ho tum,
Fir wo hi gazal gugunati ho tum,

Bas apne milan ka hai ek tarana yaha,
Bana kar  geet usse  sunati ho tum,

Kaise uljha teri julfon ke saaye mein tha,
Sabhi ko ye kisse batati ho tum,

Bana hoon tera diwana meri mehbooba,
Ban kar nazm zuba pe aati ho tum,

hoon sangeet tumhara tum sargam meri,
Bas yahi nagme gaati ho tum,

Main hoon chaand chakor sirf ab tumhara,
Ban chandni ghar chamkati ho tum,

Ban kar suman ghar mehkati ho tum,
Fir wo hi gazal gugunati ho tum"