Monday 15 February 2016

prem ka sahi matlab-kahani

"Happy Valentine day kavita" ye kahte huye saarthak  ne ek bada sa gift ka dabbba aur phoolo ka badaa sa guldasta Kavita ko dete huye kaha, kavita isse dekh bahut khush hui aur boli 'thanks', par agle hi pal boli tum mummy-papa, mukesh bhaiya renu bhabhi aur divya didi ko kya gift de rahe ho aaj,
Ye sun kar Sarthak bola "dear bholi kavita aaj premiyo ka din hai pariwar ka din nahi hai Jo sabko gift deta firu aur na hi janmdin hai kisi ka, isliye aaj ka din tumhare naam aur ye gift sirf tumhare naam, i love you kavita so much",
Kuch derr sochne me baad kavita boli "hamari shaadi ko kitna mahina ho gaya hai?", saarthak "11 mahine my dear", kavita fir boli "tum kitne saal se apne mata pita bhai bahan ke saath ho?", saarthak "main janm se unke saath hoon, main 30 saal ka hoo.n aur tabhi se unke saath hoon, par tum kyon ye puchh rahi ho?",
Kavita "agar main unme se jinke saath tumne itne saal bitaaye hai  unme aur mujhe kisi ek ko chunne ko du to kise chunoge??", saarthak "ye kaisa sawal hai, main kisi ek ko nahi chun sakta", kavita"par kyon, kya tum mujhse prem nahi karte, agar karte ho to mujhe chunne mein kya dikkat hai?", saarthak" haan main tumse bahut prem karta hoon par itna hi unse bhi karta hoon, main kisi ek ko nahi chun sakta, apne pariwaar ko nahi baat sakta",
Kavita "fir Valentine day ka gift mere liye laana bekar hai, ye tumhe un sabke liye Lena chahiye jinse tum sachha pyaar karte ho, aur pyaar pure pariwaar se barabar hi kiya jaata hai, isme bhed bhaaw ki gunjaish nahi hoti, aur rahi baat patni ko khaas mehsoos karane ki to karwa chauth ka din hai, jab patni pati ke liye vrat rakh usse khaas banati hai, par aaj ka din pati patni ka nahi balki pure pariwar aur apno ko prem de unhe khaas aur mahatwapurnmahatwapurn mehsoos  karane ka din hai, jisme mata-pita bhai-bahan, pati patni, dadi Dada Nana nani sabhi shamil hote hai, aakhir pati aur patni hi pariwar nahi hote, pariwar sabhiko mila kar banta hai, aur ye din pariwar ko jod unhe khaas mehsus karane ka din hai",
Saarthak "tumne meri aankhe khol di, aage se iska main khyaal rakhuga, ab main jaata hoon thik hai, koi puchhe to kahna bazaar gaya hoon", kavita "bazar kyon jaa rahe ho?", saarthak "sabke liye uphaar lene", kavita "thaharo maine pahle hi sabke liye uphaar le liye hai, chalo mil kar dete hai aur wish sabko wish karte hai", saarthak "haan kavita iske saath sabko prem ki sahi seekh sabko dete hain"
Is tarah saarthak aur kavita ne sabko Valentine day par gift de unke chehre khila diye, saarthak ke bade bhai bhaabhi jinhone kabhi is din kisi ko koi uphaar nahi diya tha unse isse le kar sharminda huye aur bole "prem ka sahi MATLAB tumse aaj hamne jaana hai, Jo pure pariwar ko ek banaye wohi sachha prem hai, ishwar har ghar mein aisi soch wale pati patni de"

No comments:

Post a Comment