Tuesday 2 February 2016

ishwar vaani-118, ishwar ki prapti

Ishwar kahte hain "hey manushyo main aaj tumhe grahsth jivan netikta aur sanyaas ke vishay mein jankari deta hoon,

Gharasth jivan evam vivah samaj vishesh roop se manav samaj ko aage badane ke llye aavshyak hai, kintu anya jivo mein vivah nahi hote kintu samaj to unka bhi badta hai ye tark bahut se log dete hai aur kahte hai ki manav ke liye hi vivah bandhan kyon??

Iska uttar hai unke samaj mein roodiya aur riti riwaz nahi hote iske saath WO kisi se kisi bhiprakar se anetik sambandh nahi banate, aisa kewal manushya hi karte hai aur vyabhichaar felaate hai, isse rokne ke liye vivah naamak evam grahsthi naamak vyavstha ko laagu kiya gaya hai,

Yadhhpi samast brahmand evam praani jagat ki utpatti hetu sabhi jivo mein stree-purush milan aavshyak hai kintu maanav jaati ke liye vishesh niyam hai jinka usse palan karna chahiye,

Iske saath hi yadi koi vyakti kisi ko kudrashti se dekh le athwa vichar bhi main le aaye, ye bhi vyabhichar karne ke barabar hai, aur ek vyabhichari ko chhama kewal wohi kar Sakta hai jiske saath usne vyabhichar kiya hai,

Ab baat aati hai sanyasi ki, ek sanyasi ko jagat ki utpatti karne se koi matlab nahi kintu samaj ke kalyan hetu evam manav ko vyabhichar se door rakhne hetu avashya salagn rahta hai,


Iske saath hi kaliyug mein saadhu/saint/sanyasi ke roop mein anek aise log huye hai aur ho rahe hai Jo tumhe bargala kar, udhhar ke naam par brahmcharya ka palan karne ko kahte hai, hey manushyo main tumse kahta hoon kewal kisi ke behkaawe mein as kar na sanyaas lo aur na brahmcharya ka palan karo, Jo tumse aisa karne ko kahte hai WO kitne bade brahmchari aur sanyasi hai pahle ye pata karo, aadhunik samay mein yahi log vyabhichar fela rahe hai, khud ko saadhu/saint/sanyasi kah dhan arjit Marne mein  lage hai, isliye inse savdhan raho,

Mere bataye marg path par chalo aur apna udhhar karo, yadi tumse kahe koi grahasth jivan tyaag sanyaas le lo to sabse pahle apne kartavyo ke baare mein sochna fir mera smaran karna, main tumhe Jo aagya du uska palan karna tabhi tum mujhe pa sakoge anyatha nahi saath hi dharm ke in paakhandiyo se dur rah tamam chamak damak tyaag kewal saadgi se evam balak saman maasoom ho kar mujhe tum pa sakte ho yadhpi tum grahsth ho, saadhu/saint/sanyasi hi kyon na ho par vyabhichari na ho''





No comments:

Post a Comment