Tuesday 2 February 2016

ishwar vaani-119, saint, sanyasi ka dharm

Ishwar vaani-119

Ishwar kahte hain "ek saint aur sanyasi ke liye jaati/dharm/sampradaaye mahatwa nahi rakhta kyonki ye sab maanav nirmit vyavastha hai, aur ek sachha saint aur sanyaasi manav nirtmit vyvastha se dur kewal ishwar ki vyavastha ko sweekar karta hai,



Uske liye smpurn vishwa hi uska ghar hai, samast jiv jantu hi uska pariwar hai, yadi koi saint ya sanyaasi vishesh jaati ya dharm ka gungaan kare to samajh Lena WO pakhandi hai, kyonki wo manviye vyavstha par chal raha hai, aisi vyavastha Jo manav ko manav se ladwati hai, unka dohan shoshan karwati hai, ye yaad rakhna sansaar mein kewal mein hi satya hoon, isliye meri vyavsth aur mera hi naam hi satya hai, jaati/dharm/sampradaye sab desh/kaal/paristithyo ke anusar bane waha ki riti aur kuriti ke anusaar, isliye na koi dharm kam hai na jyada, sirf khud ko shresth batana murkhta hai kyonki mujhse shreshth koi nahi,


Dusri taraf jo log khud ko sanyasi kah saint kah kewal maanav ko mahatwa dete hai, athwa unkee sanstha par chalne walo ko hi hi mahatwa dete hai, WO pakhandi hai, WO manav ko aur apni in sansthao par yakin karne walon ko mahatwa dete hai kyonki wo unke pakhand ki kamayi ka shrot hotte hai,


Ek sachhe saint aur sanyasi ko isse koi matlab nahi hota unki drishti mein sab samaan hai, chahe koi unpe aastha rakhe ya na rakhe, unhe dhan aur tadak-bhadak ka lobh nahi, sadgi hi unki sarlta hi sabhi jivo par daya hi unki pehchan hai"

No comments:

Post a Comment