Friday 5 February 2016

ishwar vaani-121, ishwar ko arpan karo apna dhan

Ishwar kahte hain "hey maanavo tum mere paas aao meri aradhna karo, tum tujhe daan do yadi tum dena chahate ho, kintu mujhe tum apna arjit wo dhan do Jo tumne apne karmo se kamaya hai,

Yadhhapi ye bhautik sharir, swaasthya, ghar makan, sampatti, khet khalihan, rupaye paise tumhe lagta hai tumne kamaya hai, hey maanavo tum is kaabil bhi nahi meri ichha ke virudh vivah ke liye uchit saathi bhi pa sako, meri ichha ke virudhh janm le bhi sako evam saans bhi le sako,

Hey manushyo ye sab Maine hi tumhare issi janm evam pichhle janmo ke karm anusaar diya hai, karm anusaar hi ek baalak jhopdi mein paida hota hai to ek baalak mahal mein, karm anusaar hi jhopadi mein janm lene wala mahal mein palta hai to ek mahal ka janma jhopde mein,

Hey maanvo tumne abhi tak apna apne karmo se kya kamaya hai, Jo kamaya hai mujhe wo do, hey manushyo tumne kewal paap hi kamaya hai, tumhe bhale lagta hai ki maine kya gunah ya paap kiya, kintu jaane anjaane tum kitne hi nirdosh jivo ki hatya kar dete ho tumhe pata bhi nahi chalta, kab kisi nirdosh ka dil dukha dete ho, jaane kitne hi paap hai tum har roz karte ho,

Hey manushyo isliye tum mujhe apni burai de do badle mein main tumhe pavitrata dunga, main us peepal ke pedd ke samaan hoon jise jitni kharab vaayu jivan ghatak vaayu di jaaye kintu sada wo jivan daayak hi vaayu deta hai, isliye jitni tum mujhe apni burai doge tum paap mukt hoge"

No comments:

Post a Comment