Thursday 9 August 2012

bhoole sari baate aur bhoole wo purane rishte....


kabhi zindagi sang tere guzarni chahi, kabhi khushi tere sang  bantni chahi, tha kabhi saath bhale tha wo kuch pal ka, par uss kuch pal mein hi humne apne ye zindagi gujaarni chahi


aaj waqt badla, haalat badle, haalat k saath tum badle, kabhi dhheron arman dilon mein rahte the tumhare jab tum mere saath hote the, aaj badlte waqt aur halat k saath tum bhi aise badle bhoole sari baate aur bhoole wo purane rishte


chhod mujhe akela jana yu to aadat thi tumhari, par laut kar wapas aana ye adaa mujhe bahut lagti thi pyaari, tere jaane k baad laut aane ka hum to fir jane kabse intzaar karte rahe par jaise waqt badla haalat badle tum bhi aise badle, bhoole purani baatein aur wo purane rishte,



kabhi zindagi sang tere guzarni chahi, kabhi khushi tere sang  bantni chahi, tha kabhi saath bhale tha wo kuch pal ka, par uss kuch pal mein hi humne apne ye zindagi gujaarni chahi



jane q mujhse tum door hote gaye, hum to tum pe marte rahe aur tum humse roothe rahe, hui thi koi khata agr mujhse kabhi, to tumne bhi ki thi dil todne ki thi khata kahi, dete ho saza mujhe meri kisi galti par, to dekho jara khud ko, tum bhi to ho ek mulzim meri tarah yaha par,



jo de rahe ho mujhe tum askho ka tohfa, tum bhi ho hakdaar iske q ki tumne bhi har baar bewazah mera hai ye dil toda, 


na tumne samjhna chaha aur na humne samjhana chaha, sochte the hum tum samajhdar ho, tum karte jo humse pyaar beshumaar ho par jaise waqt badla haalat badle tum bhi aise badle, bhoole purani baatein aur wo purane rishte,



kabhi zindagi sang tere guzarni chahi, kabhi khushi tere sang  bantni chahi, tha kabhi saath bhale tha wo kuch pal ka, par uss kuch pal mein hi humne apne ye zindagi gujaarni chahi


--
Thanks & Regards

Archana Mishra

2 comments: