Sunday 12 August 2012

sun sun..............Kavita


sun sun haan tu bhi zara sun sun haan sun sun tu bhi isse sun sun, ye hawa,  ye  fiza kya kahti hai, phoolon se aati ye khushboo   kya kahti hai, sun sun haan tu bhi zara sun sun,


in jharno se girte pani ki awaaz tu bhi jara sun sun,haan tu  bhi isse sun sun, ye behati hawa ye feli fiza jane kya kahti hai, kuch to tumse kahti hai, sun sun jara tu bhi inke dil ki sun sun,

sun sun iss nadiya ki tu bhi jara sun sun, tu bhi inki sun sun haan sun sun, kyon ye nadiya aise kinare se takra kar laut jaati hai, kyon ye tumhe chhu kar tumse door ho jaati hai, kuch to hai iske dil mein jo wo baat tumse kehna chahti hai, sun sun tu jara sun sun,


aasman mein udne wali wo chidida , dharti pe behane wali wo nadiya , ye hawa ye fiza jane kya gun gunaati hai, sun sun tu bhi jara sun sun, haan sun sun tu bhi isse sun sun,




jo na sun saka tu mere dil ki aawaz ko,shayad ye hawa fiza tujhse wo hi kahti hai, ye ambar mein udne wali chidiya ye dharti pe behne wali ye nadiya shayad tujhse bas ye hi kahti hai, kyon na sun saka tu mere dil ki pukar, kyon na samajh saka tu mera pyaar,



jo dil mein hai baat mere par zubaan pe na aa payi hai, tere bin zindagi mein meri sirf  tanhai hai, ye hi baat ye nadiya, ye chidiya ye fiza tujhse bas kahti hai, sun sun tu jara sun sun, kya matlab hai inka tu bhi isse sun sun haan sun sun tu bhi isse sun sun,





baith akele mein dil ne koi baat mujhe samjhai hai, shayad mujhme hai koi  kami tabhi tere kareeb ho kar bhi humne tere dil mein koi jagah nhi payi hai,


waqt k saath hume ab samajh mein hai aaya, nahi hai hum shayad iss kaabil ki kar sake kisi k dil mein basera, 


kisi k kuch pal k saath ko pyar samajh baithe, kisi ki baaton par yu aitbaar hum kar baithe, duniya ki reet ko bhula kar hum to kisi ko apna bana baithe,  bhool gaye hum to ki hum to hai naadan, apni naadani mein hum unse dil lagane ki bas ye khata kar baithe, nahi hain hum unn jaise fir kyon unse pyaar karne ki bhool kar baithe,





jhil mil sitaron ki  ye dhun dheere se kuch kahti hai, jara aaj isse tu bhi sun sun, jaise toot kar bikhar jata hai ye tara waise toota hai ye dil hmra,  toote taare ki raakh ki tarah bikhar gaye hain aramaan sare fir bhi ye iss dil se nikali har ek dhun bas ye hi kahti hai kya hua jo hum na ho sake tumhare par tum umar bhar rahenge sirf hmare, na koi aa sakega iss dil mein dooja kyon iss dil ne tujhe hi hai apna mana aur tujhe hi puja, iss dil ki ye dhun jara tu bhi isse sun sun.........




apne dil se dard bhari iss dhun ko gaate huye ashkon ko chhipate huye hum chale ja rahe hain, na to kisi se koi gila aur na shikwa karte ja rahe hain, naseeb ki baate naseeb hi jaane bas ye kahte huye tumse door ja rahe hain,rahe khush sada tu ye duaa dete huye dil se tujhse bahut door ja rahe hain, iss dil se  nikali na suni jo pyaar ki awaaz tumne aaj meri dil se nikali duaa ki awaaz to sun sun haan sun sun ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,




 sun sun haan tu bhi zara sun sun haan sun sun tu bhi isse sun sun, ye hawa,  ye  fiza kya kahti hai, phoolon se aati ye khushboo   kya kahti hai, sun sun haan tu bhi zara sun sun,




1 comment: