Tuesday 18 September 2012

Antriksh (the Space) -Arcticle


Antriksh yaani ki space prarambh se maanav charcha ka vishary raha hai, kahte hai jabse maanav ki utpatti hui aur usme sochne samjhane ki shakti aayi tab se hi uske mann mein antriskh ko le kar kaafi saari baatein uthne lagi, kabhi maanav sochta tha ki agar ye vishaal aakash agar dharti par gir gaya to dharti nashat ho jaaygi, kabhi wo sochta ki iss vishaal aasman k peeche kya hai, wo sochta ki aasman mein ye taare, sooraj, chaand bina kisi sahare k kaise ruke huye hain, iss tarah k aneko sawal uske mann mein uthte,
   

samay k saath inn sawalon k atirikt ek aur sawal uske mann mein uthne lage wo ye ki dharti jaisee duniya iss vishaal antriksh mein kahi hai, jaise jaise maanav tarakki karta gaya iske saath wo apne sawalon k jawab khojne mein jut gaya, par jitna hi wo antriskh k vishya mein uske mann k sawalon k jawab dhoondta utnaa hi wo ulajhta jata, iss vishaal aasman aur anant antriksh k vishay mein maanav ne kai krantikaari khoj ki lekin fir bhi wo abhi tak unn sawalon k jawaab dhoondne mein asmarth hai jo maanav k vikaas ki avastha mein uske dil mein uthte the,

  kya Prathavi k atirikt kahi aur bhi jeevan hai, kya doosri duniya hai, kya sachmuch waha pe jeevan hai, kya sachmuch waha pe log rahte hai, kya wo prathvi vaashiyon se jyada viksit hain, unhone abhi tak dharti par aakraman kyon nahi kiya, kya wo shaantipriya hain ya unhe abhi tak prathvi k vishaya mein jaankari hai nahi hai, kya hai ye udan tastraiya, kya ye doosre grah se aaye huye praniyon k waahan hai, kya wo iske jariye hum par humesha nazar rakhte hai, aakhir kyon wo abhi tak humare saamne  nhi aaye, iss vishaal anriksh ka aadi aur ant kya hai, aakhir kaise iss samanst shristi ki utpatti huiii,   kya ek din aisa bhi aayga ki samast brahmand nasht ho jaayga aur fir se ek naye brahmand ki utpatti hogi, aise na jaane kitne sawal hai antriksh k vishay mein maanav k dil mein, wo khud ko aaj chahe jitna bhi vikshit kahe, khud ko kitna bhi gyaani kahe par usse brahmand k vishay mein uske ghyaan abhi tak naganya hai, wo jitna uske vishya mein jaanne ki cheshta karta hai aur daawa karta hai ki usne antriksh k vishya mein falaa baat jaan li hai agle hi pal usse lagta hai ki wo galat tha, iss tarah jaane kitne hi bhool bhuleya aur sawalon se bana hai ye humara antrish,

  yadi agar hume wakai mein brahmand k vishaya mein kuch jaanna hai to isse aadhunik taknikon k alawa sirf aadhyatmik gyaan k dwara hi jana ja sakta hai, sunne mein ye baat kuch atpati se lagegi aur humare jo jane maane aadarniye vegyaanik mahoday halaki isse ittifaak nahi rakhenge par yadi sachh mein hume apni aakash ganga avam apne samanst bhrahmand k vishya mein sahi jaankari haasil karni hai wo hume vegyaanik vidhiyon k atirikt aadhyatm ka sahara lena hi padega, humare dharmik granthon mein likha gaya hai ki jitna hum shrashti k vishya mein jaanne ki koshish karenge utnaa hi hum ulajthe jaaynge, ye ek pahlei ki tarah hai jisse kewal aadhyaatm k dwaara hi suljhya ja sakta hai,
 
   humare dharmik granthon mein samasht shrashti k avishkaar se le kar patan k vishya mein likha gaya hai, hum yadi apne adhoore ghyaan ka guroor chhod kar vibhinn granthon mein likhe huye vachano pe chal kar aadhunik taknik ka sahare le avam aur bhi jyada aadhunik taknik ka yadi avishkaar kare to kuch had tak hum apne saur mandal k vishaya mein sahi jaankari haasil kar sakte hain, haan kuch aalochak ye jaroor mujhse kahenge ki jab wo granth likhe gaye the tab to maanav apni shuruaati avastha mein tha, bhala unn granthon mein jo likha hai usse satya kaise maana ja sakta hai, koi saboot nahi hai jo usme likha hai wo sataya ho,wo pramanik nahi hai, aur jo pramanik nahi hai vigyaan usse sweekar nahi karta, to unn sabhi vidhwaano se mujhe sirf itnaa hi kahna hai ki jinn logon ne uss samay humare saur mandal avam samast brahmand k vishya mein jo kuch b likha avam jana hai wo aadhyaatm ki shakti se hi jana hai, iska saboot ye hai jo baat humare granthon mein maanav ki shuraati avastha mein phle hi keh di gayi thi kuch vegyaanikon ne isko apni jaanch mein sahi paya hai,

  aadhyaatm ki shakti k maadhyam se humare purwajon ne kaafi kuch humare brahmand k vishya mein jaankariyan haasil kar li thi, par usse pramanik karne k liye unke paas shayad suvidhao ki kami rahi hogi tabi wo usse pramanit nahi kar sake, kintu aaj humare paas saadhan hai, aur kaafi kuch naye saadhan juta sakne mein hum shaksham hain, yadi hum prachin aadhyaatmik ghyaan aur aadhunik taknikon ko mila kar ek baar fir se antriksh k vishya mein jaankari haasil karne ki koshish mein jut jaate hain to nishchit taur par hum kaafi saari aise baatein jaan sakte hain jinse hum aaj tak anjaan rahe  hain, antriskh ki godd mein kai aise raaz dafan hain jinki jaankari yadi hume sahi samay par mil jaaye to hum na kewal apnee jeewan shelly ko sudhaar sakte hai blki brahmand ki surakha bhi kar sakte hain,kintu aisa tabhi sambhav hai jab hum prachin gyaan aur aadhunik gyaan ko donon ko ek saath le kar chale avam donon par hi puri tarah vishwaas kare, tabhi hum apne barshon se maanav mann mein chal rahe kai sawalon k jawab haasil kar sakenge.............
Thanks And Regards
    **Archana**

12 comments:

  1. Kya baat h !

    Achhe vichar h aapke main samman karunga inka .

    ReplyDelete
  2. अच्छा लिखा आपने, लेकिन इस लेख को फिर से हिन्दी में लिख डालिये।

    ReplyDelete
  3. mujhe hindi mein likhna achha lagta hai aur apni maatra bhaasha se bahut pyaar bhi hai but HIndi Lipi mein likhna mere liye sambhav nahi hai, jab hoga tab khud likh lenge hum, dhanyawaad..........

    ReplyDelete
  4. Mere se bat karo sayad jankari mil jay.9911635472

    ReplyDelete
    Replies
    1. kyon aap kaun hai jo baat kare hm aapse???????

      Delete
  5. अच्छा लिखा आपने ।

    ReplyDelete