toote dil ki aawaz ko humne shabdo mein likh daala, bhula na sake hum unhe unki ruswaiyon k baad bhi, par apne toote huye dil k dard ko shabdon mein yu bayan kar daala, jab ho wo kabhi fursat mein to pade mere dard bhare shabdon mein bayan zazbaaton ko ye hi soch kar maine sara apna hal-e-dil hi kuch aisa yaha likh daala..
this is not only a hindi sher o shayri site, there is also u can see short stories, articals, poetry in ur own language yes off course in hindi......
Wednesday, 31 October 2012
toote dil ki aawaz ko
toote dil ki aawaz ko humne shabdo mein likh daala, bhula na sake hum unhe unki ruswaiyon k baad bhi, par apne toote huye dil k dard ko shabdon mein yu bayan kar daala, jab ho wo kabhi fursat mein to pade mere dard bhare shabdon mein bayan zazbaaton ko ye hi soch kar maine sara apna hal-e-dil hi kuch aisa yaha likh daala..
SWATANTRATA DIWAS KI HARDIK SUBHKAAMNA
HAI JO DIL AUR JAAN SE BHI PYAARA, JIS KI AAN BAAN AUR SHAAN PE VEERO NE HAI APNA RAKT BAHAYA, JIS KI RAKSHA K LIYE NA JAANE KITNE MAAONE APNE BETO KO HAI KHOYA, BAHNO KO NA MIL APYA BHAIYO KA PYAAR ka sahara, BACHCHO ko bhi NA PAYA APNE SARR PE PITA KA SAYA, USS DESH KA SWATANTRATA DIWAS DEKHO HAI AAJ FIR AAYA, jiski rakhsha k liye jane kinte veeron ne hain apna rakht bahaya.....
AAP SABKO BHARAT K SWATANTRATA DIWAS KI HARDIK SUBHKAAMNA
rab ka haath tha
tumse milna ek ittifaak tha ya tumse milwane mein uss rab ka haath tha,
socha na tha ki iss taraha se yu hme tum mil jaaoge, iss dil mein aa kar hmari saanso yu sama jaaoge,
ittifaak sahi ya rab ka haath sahi, tum hi the mere naseeb mein tabi na koi tha zindagi mein meri aur ab b koi saath nahi......
kyon mila mujhe
kyon mila mujhe dard har baar hai, kyon mila mujhe dhoka har baar hai, kyon mili judaai mujhe baar baar hai, kyon mili mujhe wafa k badle bewafai har baar hai, kya ye duniya hi nhi mere liye ya fir main hi nhi hoon iss jahan k liye, tabhi har kisi ne apna bana kar diye aansu mujhe har baar hai....

jeet lete hm b har ek zindgi ki wo jang
"jeet lete hm b har ek zindgi ki wo jang agr saath tum hote, badal lete har gam ko khushi me agr saath tum hote, har dard b hme lagta behad pyara agr sath tum hote, toote huye khwaab b hme poore lagte agr saath tum hote, har mausam lagta behad rangin hme agr saath tum hote, na karte koi shikwa kabi tumse agr paas tum hote ...."
duriyo ki parwah na karna bas muje yad rakhna
"duriyo ki parwah na karna bas muje yad
rakhna, jab chahat ho mere paas aane ki tab bas dil pe haath rakhna, na
milenge hum tumhe kahi iss duniya ki bheed mein, par jab milna chahoge
tab aankhe band kar k mujhe yaad karna, band palko mei hi tumhari hum nazar aaynge, rahe chahe jaha par jab bhi tum hume pukaroge iss roshni mein nahi band palak k andhere mein tumhe dikh aaynge.."
jo dil mein thi baato wo batana chahte the........
"jo dil me thi baat wo btana unhe chahte the,
jo the zazbaat zahan me mere wo unhe jatana chahte the, unki ek khushi k
liye apni duniya lutana chahte the, hum to unhe umar bhar apne saath
chahte the, par na pata tha hume ye ki wo ye sab kisi aur k saath chahte
the.."
Friday, 26 October 2012
Jaanwaro ka Badla (Story)
Ek baar ki baat hai, jangle mein jaanwaro ki ek sabha ektrit
hui, mudda tha insaano dwaaara jo samast jaanwaro pe atyaachar ho rahe hain
unse kaise mukti paayi jaaye, iske liye na sirf samooche jangle se balki har
gali aur nukkad k jaanwaro ne uss sabha mein hissa liya aur apnee apnee
samashyayein aur unke samadhan k bare mein vichaar bataye, kintu ek bhi vichaar
jaanwaro aur jangle k raja sher khan ko achha nahi laga, wo kuch aisa vichaar
chahte the ki insane ko akal aaye aur wo jaanwaro pe atyaachar na kare aur
duniya mein insaan aur jaanwar mil jul kar ekta k saath rahe,
Sabha mein iss
vishaya pe vichaar karte karte subah se sham aur sham se raat ho gayi par koi
upaaye na soojha, ant mein raja sher khan ne apne sabse kareebi miitra lomad singh
ko koi upaye sujhane ko kaha,
Lomad sing kaafi
suljha huaa tha, usne raja ko salah di ki sabse pahle hmare yaha se koi jaanwar
hmara doot ban kar insaano k paas ja kar uss sabse shaktishaali shakhs se
milega jiska samanst maanav kahna mante hain, hmara doot unhe humari samashya
batayega aur humare vichaar batayega, fir dekhte hain ki insaan humra kitna aur kaise saath dete hain,
Raja jo uski baat bha gayi, doot ban kar chinku kharghosh ko
insaano se vaarta karne ko bheja gaya, kaafi din beet jaane k baad bhi chinku
kharghosh ka kuch pata nhi chala to uski khoj mein beenu Bandar ko bheja gaya,
par kaafi samay ho gaya uska bhi kuch pata nhi chala ant mein raja ne apne kuch
insaano k saath galiyon mein rahne wale kutte mahashay aur billi mausi se unki
soochna dene ko kaha, to unn logon ne kaafi khoj been kar bataya ki jis
khargosh ko unhone insaano se vaarta karne bheja tha use to insaan apna bhojan
bana kar kha chuke hain aur jis Bandar ko unhone bheja tha use kisi
chhidiyaghar mein bhej diya gaya hai aur wo begunah ho bhi jail mein saja kaat
rha hai,
Ye khabar pa kar
sher khan ka khoon khaul utha, usne fir se samast jaanwaro ki ek sabha bhulai
aur kaha bas bahut ho chukka insaano ka hum pe atyaachar, hum ab aur nahi sah
sakte, hum sabi jaanwro ko apne aapsi manmutaaw mita kar dharti pe sabse
shaktishaali samajhne wale insaan naam k jaanwar pe humla kar dharti ko aur
samast jaanwar biraadari ko use mukt karana hai, iske liye hume jald se jald
maanav jaati pe humle krna hai, Raja ne sabha mein sabhi janwaro ko ye bhi bataya
ki kis tarah maanavo ne unke priya doot khargosh ko apna ahaar bana daala aur
uki khoj mein gaye Bandar maharaj ko bhi bewazah jail mein daal diya, ye sun
kar sabhi jaanwaro ka bhi khoon khaul utha, aur sabhi jaanwar maanavo pe humla
karne k liye aage badne lage,
Jangle mein rahne
wale jaanwaro ne sabse pahle jangle k kareeb maanav nagaron mein humle bol diya
iske saath hi insaano k beech rahne wale samast kutte, billi, gaaye, bhains,
bhaind , bakri ityaadi ne nagar mein utpaat machana shuru kar diya, itnaa hi
kaafi nahi tha, dharti pe chaltne wale inn jaanwaro ki harkat dekh kar paani
mein arthaat samandar mein rahne wale jeev bhi kahan rukhne wale the unhone bhi
samandar ki seema laanghna shuru kar diya aur unhone bhi maanav jaati pe humla
kar diya,
Bechaare insaan
kya kare unhe to kuch samajh hi nahi aa raha tha, wo jitna adhir jaanwaro pe
atyaachar kar unhe mar kar bhagate use jyada samkhya mein ye jaanwar unpe humla
kar dete, maanavo ki ek se ek vegyaanik taknik bhi asafal hoti dikh rahi thi,
maanav yadi khud ko bachane samandar mein panah lete to waha k jeev unhe apna
graas bana lete, dharti pe bhi jamast thalchar jaanwaron ne unhe apna ahaar
banana shuru kar diya tha, aur yadi wo aakash mein panah lete to waha chhidiya,
gidhh ityaadi waha bhi nahi rahne dete, dheere dheere dharti se insaano ka
naamo nishaan kam hone laga, aisa lagne laga ki shayad ab dharti se insaan
naamak jaanwar humesha k liye lupt ho jaayga,
Aise mein ishwar
ko maanav jaati pe raham aaya, usne samast maanavo tak apne dooton ki sahayta
se ye sandesh pahuchya ki yadi maanav jaati dharti pe apne astitva ko bachaana
chahti hai to use samast jaanwar jaati se maafi mangni hogi, iske saath unhe ye
bhi vachan dena hoga ki wo kabhi kisi bhi jaanwar ko koi bhi aage se nuksaan
nahi pahuchayenge, unhe kisi bhi bahane apne ahaar nahi banaye jaise abhi tak wok
arte aaye hain kabhi dharm k naam par kisi nirdosh janwar ki bali de di ye fir
kabhi apni jeebh k swaad k liye unhe maar kar kha gaye ya kabhi doosro mein
apni paith dikhane k liye kisi nirdosh ki jaan le kar use apna ahaar bana liya,
iske saath hi bhagwaan ne insaano se ye bhi kaha ki insaan apni bastiya waha
nahi basayga jahan pahle se hi jaanvaron ka aashiya hai, maanav kisi bhi
jaanwar pe kisi bhi tarah ka atyaachar nahi karega, parmatma ne kaha yadi tum sab maanav ye karne
ka waada yadi jaanwaro se karonge aur apne wade ko nhi todoge to dharti se
tumhara astitwa bach sakta hai anyatha main bhi kuch nahi kar sakta,
Dharti pe bache kuche jo maanav rah gaye the
unki sabha hui, aur unhone apne astitwa ki raksha aur dharti ko maanav viheen
hone se bachane hetu ishwar dwaara bataye path par chal kar samast jaanwaro se
maafi mange hetu aur iske saath hi unhe kisi bhi tarah ka koi bhi nukasaan na
pahuchane ka waada kiya, insaano ne tay kiya jaisa bhagwaan ne kaha hai hum
waisa hi karenge kabhi kisi bhi jaanwaro
ko saataynge nahi, unke jangle k paas apni bastiya nahi basaynge, jaisa bhagwan
ne kaha hai waisa hi hum karenge,
Iske baad
bhagwaane jaanwaro k paas ja kar unhe samjhya aur maanav jaati se fir se ek
baar dosti ka haath badane ko kaha, par janwar maanavon se kaafi khafa the par
bhagwan dwaara samjhane par wo maan gaye, fir unn donon ki bhait hui, iswar
dwaar samjhane par dono dharti pe ek ho kar rahne lage, aur iss prakar dharti
maanav viheen hone se bach gayi…….
Note: tab to dharti
maanav viheen hone se bach gayi kintu hum insaan isi tarah se jaanwaro pe
atyaachar karte rahenge, apne dharm aur apni jeebh k shwaad ki khatir unhe apna
ahaar banate rahenge to nishchit roop se
ye janwar insaano k atyaachar se tang kar unpe humla jaroor karenge aur tab
insaanon ko na dharti pen a aakash aura na hi samadar mein jagah milgee aur tab
bhagwaan bhi unka saath na dega, isliye abhi bhi waqt hai sudhar jao aur insaan
ho ye fir jaanwar sabhi se prem poorvak raho…….
kabi wo ajnabi lagte h
kabi wo ajnabi lagte h
to kabi dil k karib lagte h, lagta
h kabi ki wo mere kuch b nhi par
kabi wo behad aziz lagte h, jaane kya naata hai mera unse jo kabhi wo
mujhe gerr to kabhi apne lagte hain, jaane kyon wo kabhi mujhe behad
kareeb lagte hain to kabi mujhe mujhse juda se lagte hain, kabhi kabhi
jane kyon wo mujhse khafa se lagte hain par kabhi mujhpe fida se lagte
hain,kabi wo ajnabi lagte h
to kabi dil k karib lagte h
Sunday, 21 October 2012
hey ishwar..............
*****dekhu jidhar
main waha bas chehra tumhara ho, saagar ki gehrai se le kar aakash ki
uchaai tak bas ek nazara hi tumhara ho, chand ki chandni se le kar
sooraj ki dhoop tak mein ahsaas bhi bas tumhara ho, zinadgi ki daud se
le kar mazil par pahuchne tak saath sirf tumhara ho, jab chhodne lage
saans zindagi ka saath mera tab uss aakhiri pal se le kar maut ki godd
tak jaane tak mein bhi pyaar tumhara ho, na kabhi yu chhod akela kabhi tum chale
jana mere ishwar iss sansaar mein, meri zidangi k shuraat se le kar ant
tak mein bhi sirf ek vishwaas tumhara ho..******
Saturday, 20 October 2012
zindagi naam nhi khushi ka
zindagi naam nhi khushi ka, zindagi naam nahi
roshni ka, zindagi to naam hai toofano se ladte huye apne mukaam tak
jane ka, zindagi naam nhi sirf saanso k chalne ka, zindagi to naam hai
saanso k rukne k baad bhi har shakhs ki zubaan pe naam tumhara aane se
le kar aankhon k nam ho jane ka..
Thursday, 11 October 2012
apna samjha
"Jisko bhi apna mana wo hi nikla begana, jisko
bhi dil me jagah di ussi ne hme daga di, fir socha shayad begano ko
apna samjhne ki bhool hum kar baithe, iss bhool ko sudharne k liye jo
the bane rishte khoon k unhe khuda samajh k har ghadi poojne lage, par unhone bhi aakhir mere
aitbaar ki aisi saza di, kar akela duniya me muje aaj tanha bana kar muje
mere apno ne bhi mujhe zindagi bhar ashk bahane ki saugaat hai mere naam kar di"
कौन है अपना और कौन पराया
"मतलब की इस दुनिया मे कौन है अपना ये ह्म जान ना पाए, कौन है अपना और कौन पराया ये पहचान ना पाए, अपनो का मुखहोटा पहने जन्म से लेकर आज तक कितने मिले मुझे, जाने कितने रिश्तों क साथ रह कर भी आज तक ह्म उन्हे पहचान ना पाए, जो लगता है कभी बेहद अपना अगले पल हो जाता है बेगाना, यू इस तरह करीब आ कर दूर जाने की वज़ह ह्म जान नही पाए, सुना है जन्नत है यही धरती पे अपनो के प्यार मे, पर वो अपने क्या सच मे मेरे अपने है उनके व्यवहार से ह्म ये जान नही पाए, जिसका भी हाथ थाम कर चलने की कोशिश की उसी से ठोकरे मिली और वज़ह ह्म जान नही पाए, मतलब की इस दुनिया मे कौन अपना है ये ह्म जान नही पाए..
"matlab ki iss duniya me kaun h apna ye hm
jaan na paaye, kaun h apna aur kaun paraya ye pehchan na paye, apno ka
mukhota pahne janm se lekar aaj tak kitne mile mujhe, jaane kitne
rishton k saath reh kar bhi aaj tak hm unhe pehchaan na paye, jo lagta h
kabi behad apana agle pal ho jata h begana, yu iss tarah karib aa kar
dur jaane ki wazah hm jaan nhi paye, suna h jannat h yahi dharti pe apno
k pyar me, par wo apne kya sachh me mere apne h unke vyavhaar se hm ye
jaan nhi paye, jiska bhi haath thaam kar chalne ki koshish ki ussi se
thokre mili aur wazah hm jaan nhi paye, matlab ki iss duniya me kaun
apna h ye hm jaan nhi paye..
--
Thanks and Regards
*****Archu*****
Thanks and Regards
*****Archu*****
Monday, 8 October 2012
koi shakti
"koi shakti h jo muje tujse milane me lagi
rahti h, dur jau jo tujse karib laane me lagi hoti h, ruth jau tab tujse
muje manane me lagi rahti h, koi shakti h jo muje zindagi ka har lamha
sang tere guzarne ko kahti h.."
Tuesday, 2 October 2012
Kahani
meri
itnee umar to nahi ki maine duniya dekhi ho, par meri umar jitnee bhi
hai isme kaafi kuch dekha aur samjha hai, humari zindagi mein kai log
aate aur chale jaate hai, jo chale jaate hain ya to hum unhe bhool jaate
hain ye fir wo ek kahani ban kar humari yaadon ka ek hissa ban jaate
hain, aaj aisee hi ek yaad ya fir kahe kahani ya fir ek kissa mujhe aap
sabse share karne ka mann kar raha hai, mujhe nahi pata ki umar meri
kitnee rahi hogi jab wo ghatna ghati par badti hui umar k saath kaafi
kuch dekha aur fir mann mein kai sawaal uthe........
Kiran k ghar mein khushiyon ka maahol tha kyon ki unke ghar mein teen betiyon k baad ek beta jo paida hua tha, kiran unn teen bahano mein dusre no ki thi jiski umar lagbhag 5 saal ki rahi hogi, ghar mein iss tarah khushi ka maahol dekh kar usne apni maa se puchh liya ki maa aisa kya huaa hai jiski wazah se ghar mein aisa jashn ka maahol hai, uski maa ne kaha ki tu didi ban gayi hai, to uss nanhi bachhi ne kaha maa wo to main pahle se thi apni chhoti bahan Aashta ki, par uske janm par to aisa maahol nahi bana tha fir aaj aisa kya ho gaya jo har taraf khushi ka maahol hai, uski maa ne kaha wo ladki thi isliye har taraf murdai chhai hui thi, badi mannato k baad humare ghar mein beta hua hai, tu badi kismat wali hai jo tujhe bhai ka sukh mila hai, to Kiran ne kaha maa bhai k paida hone pe aisa kya ho gaya jo Aastha k paida hone par nhi hua tha, kya bahan ka saath badnaseeb walo ko aur bhai ka saath naseeb walo ko milta hai, agar aisa hai to bhai to janm se hi badnaseebi apne saath laaya hai kyon ki iskee to janm lete hi 3 bahane iske saath hai, isse jyada badnaseeb kaun hoga, ye sun kar uski maa ne usse daant kar waha se bhaga diya,
waqt beetta gaya Kiran dekhti thi ki ghar mein uske bhai ki sab achhe se khoob dekhbhaal karte the, uski har baat ghar mein maani jaati thi, jo wo kahta tha ghar mein wahi hota tha, par ghar ki ladkiyon ko bade hone k baad bhi humesha bhai se dab kar hi rahna hota tha, ghar mein khaana bhi ladkiyon ko bhai k khaane k baad hi milta tha, agar koi cheez baahar se khaane k liye aati to pahle bhai ko milti agar usse bachh jaati to hi bahano ko milti anyatha nahi milti,
jab Kiran ka bhai school jaane k laayak hua to usse shahar k ek naami school mein daakhila dilaaya gaya jabki ladkiyon ko sarkari school hi bheja jata tha ye kah kar inki padai kaun sa humare kaam aane wali hai, inhe achhe school mein bhejne ka kya faayada, ek din to ye kisi aur k ghar chali jaayngi, aur waha ja kar choolha chauka hi to sambhalna hai, achhi padai likhai kar k ye kya karengee,
apne aur apni bahano k saath ho rahe atyaachaar ko kiran dekh rhi thi aur ab uski umar bhi 10 saal ki ho chuki thi, ab wo kaafi kuch samjhne lagi thi, ek din ki baat hai uske bhai ne ghar se kuch paison ki chori ki, ghar mein khalbali mach gayi, sabse pahle ladkiyon se pucha kya tumne chori ki hai ladkiyn ne mana kar diya ki na to unhone chori ki hai aur na chor ko dekha hai, fir uske baad bhai se puchha gaya to usne bhi saaf inkaar kar diya, iske baad ghar k bachhe apne apne kamre mein chale gaye, fir achaanak kisi kaam se Kiran apne bhai k kamre mein gayi to wo waha paise gin raha tha, to usne puchha tumhare paas ye itne saare paise kahan se aaye, kya tumne chori ki, aur agar ki to jhoot kyon bola, bhai hadbada gaya, Kiran apni maa se bhai ki shikaayat karne chali gayi, to maa ne ulta usse hi daant diya, kaha wo iss ghar ka hone wala maalik hai, iss ghar ki har cheez pe uska hak hai, kya hua jo usne chori ki, tum to abhi se jugali karne lagi ho, bade ho kar to logon k gharon mein aag lagaogi, itna hi nahi usse iske liye peeta bhi, iski shikaayat usne apne pita se ki par unhone bhi maa ka hi paksh liya, badi bahan se ki to usne bhi ye hi kaha ki hum ladkiyon k naseeb mein to ye hi likha hota hai, hume to har kadam pe kewal balidaan hi karne padte hain, humara to koi astitwa hi nahi hai,
itna sunne k baad kiran se raha nahi gaya aur usne ghar chhodne ka faisla liya, ek din wo bina kisi ko kuch bataye ghar chhod kar challi gai, ghar walon ne thodi bahut koshish ki usse dhoodne ki par naakamyaab rahe, jyada wo karna bhi nahi chaahte the wo dil se bhi ye hi chaahte the ki Kiran na mile to achha kyon ek ladki ki shaadi ka kharch to bachh jaayga, aur unki uppar wale ne sun li, unhe Kiran ka koi suraag nahi mila,
udhar kiran bhatakte bhatakte bhookhi pyaasi na jaane kis shahar mein pahuch gai thi, badi badi buildings, motor gaadiya, aalishaan ghar the, aisa usne apne shahar mein nahi dekha tha, bhookh pyaas se wyaakul Kiran beech sadak par chakkar kha kar ek gaadi k aage gir padi, uss gaadi wale ne gaadi roki aur iss bachhi k ghar walon k aawaz lagai, par koi kahi se jawab nahi mila, thak haar kar wo isse apne ghar le aaya, Dr. se ilaaz k dauraan pata chala ki iss ladki ne kai dinon se kuch nhi khaya aur piya hai, ye to ek chamtakaar hai jo ye ladki abi tak zinda hai bina kuch khaaye aur piye, Dr. k ilaaz aur uss aadmi aur uski patni ki behtar dekhbhaal se Kiran jald hi theek ho gayi, fir unhone Kiran se uske ghar k bare mein puchha, ki wo kaun hai, kahan se aayi hai, uske maata pita kaun hai aur kahan rahte hain, kya karte hain, aise wo yaha kyon chali aayi, kya wo apne pareewar se pichhad gayi hai, Kiran ne unse kuch nahi chhipaaya, sab kuch sachh sachh bata diya,, wo log bade hi bhale log the, uss shahar k naami raish the, uppar wale ne unhe sab kuch diya tha par jo nahi diya tha wo tha santaan ka sukh, unhe iss bachhi ko dekh kar laga shayad uppar wale ne ye bachhi sirf humari sooni duniya ko bharne k liye di hai,
unn logon ne Kiran ko apne paas hi rakh liye aur kisi tarah Kanooni taur par bhi usse godd le kar kanoonan uske maata pita ban gaye, unhone uski apni sagi beti jaisee parwarish ki, achhi padai likhai k saath uski har ichha puri ki, padai poori hone k baad Kiran ne hi apne godd liye huye mata pita ka wyaapar sambhaala aur usse aur bhi jyada bulandiyon tak pahuchaaya,
kismat ka ferr dekhiye ek din uski Company ko Sarkaar ki taraf se bahut bada contract mila uss shahar mein Vikaas karne ka jaha Kiran ka janm hua tha aur jahan uske janm dene wale maati pita rahte the, Kiran ko barson baad waha apne kaam k silsile mein jana pada, ek din wo apne majdooron k kaam dekhne achaanak waha apne gaadi se jaise pahuchi to ek soorat usse badi jaane pahchaani c lagi, wo nazdik gayi aur dekha ek vradh aadmi aur ek vradh aurat jin se theek se khada bhi nahi hua ja raha hai wo yaha kaam kar rahe hain, usne apne Manager se puchha ki ye kaun hai, yaha inhe kisne rakha hai, inke naam aur pate batao, to usne kaha ki inhone badi mannat ki thi ki hum kaam de do, humne kai dino se kuch nahi khaya hai, humare bete aur bahu ne bhi hume ghar se nikaal diya hai, hum bekhar hai, kaam saath saath hume yaha inn tambu mein rahne ko bhi kuch din mil jaayga, manager ne kaha inki dasha ko dekh kar maine inhe kaam par rakh liya,
Kiran ko unki dasha par bahut dukh huaa, wo unke paas gayi, aur unhe aaram karne ko kaha, usne unke bete bahu aur betiyon k bare mein pucha, to unhone bataya ki kaise unke bete aur bahu ne unhe gha se nikaal diya, sab kuch unse chheen liya,
fir kiran ne unki betiyon k bare mein puchha ki unhone koi madad nahi ki, to unn logon ne kaha unse jitnaa ban sakta tha ki, fir usne unki uss beti k bare mein puchha jo barson pahle kahi chali gayi thi aur aaj tak nahi mili, wo heraan usse dekhte rah gaye, unhone puchha ki tum ye kaise jaanti ho, to kiran ne kaha main aapki wahi beti hoon jo barso pahle aapse door chali gayi thi, ye dekh kar wo achambhit rah gaye, iske baad kiran ne unhe apne saar kahani batayi aur puchha aap logon ne mujhe dhoonda kyon nahi, agar mujhe dhoond kar tab ghar le aaye hote to aaj aap log yu beghar nahi ghoom rahe hote, yu daane daane ko mohtaaz na hote, Kiran k maata pitaa ki aanhon mein sharmindi aur pachhtaawa saaf jhalk raha tha, unhone kaha hum jaante hai beti hum maafi k kaabil to nahi hai par hume ho sake to maaf kar do,
iske baad Kiran unhe waha se door apne ghar le aayi aur apne godd liye huye mata pita k saath hi apne janm dene wale mata pita ka bhi budape ka saha bani..................

ek sawal jo mere zehan mein baar baar uthta hai iss kahane k baad aur wo ye hai ki aaj k daur mein jab ladkiya ladkon k saath mil kar, kandhe se kandha mila kar baahar aur ghar donon jagah ko behatar tareeke se sambhal rahi hai to aaj bhi bete aur beti mein fark kyon, kyon betiya budaape ka sahara nhi maanti jaati, kyon unki shaadi hone pe unhe paraya kar dya jaata hai, kyon sirf unke ladki hone pe mata pita aur ye samaj unse unka hak chheen leta hai kyon ki wo ek ladki hai isliye???????
--
Thanks and Regards
*****Archana*****
ae mere maalik
ae mere maalik ek fariyad hai tujhse meri, jahan bhi dekhu main dikhe har taraf sirf soorat teri, rahe tu iss dil mein aise jaise basti hai aatma shareer mein jaise, meri zindagi hai adhuri bin tere ae mere maalik, na ho koi bhool mujhse aisi to jo ruthe mujhse kabhi, nahi darr mujhe zamane k rooth jaane ka darr to hai bas tera mujhse door hone ka, karna na kabhi mujhe khud se juda ae mere maalik, rahe zindagi jab meri tab tak rahu main tere saath sada, jis din maut ki aaghosh mein jo sone jaau aakar thaam lena mera haath chhote bachhe ki tarah, jab tak iss sansaar mein mere maalik rahu rahe tu mujhme sada jiss din chhod du jo ye duniya kho jaau mein tujhme jaise aakash se girti boond samandar mein kho jaati hai aur samandar ban jaati hai
Monday, 1 October 2012
Ishawar Vaani....*3* **maanav jivan**
"Ishwar ne hume ye maanav jivan apne pichhle
janmo ki galtiya sudharne aur Ishwar ke bataye gaye marg par chal kar
moksh prapt kar ussi Ishwar mein vileen hone hetu diya hai, jaane anjane
humse kitne paap hote hai, agr ek phool bhi yadi hum todte hain to wo
peedah uss nirdosh pedd ko hoti jiska kasur sirf ye tha ki usne ek
sundar pushp ko apni tehni par khilne diya, jaate jaate raaste yadi perr
k
niche ek nanhi c chinti bhi aa jaye jo
pidah usse hoti hai, sach to ye hai hum jane anjane kitno ko dard aur
peedah dete hain, dekhne bhale lage ki ye to sirf ek falaa jeev ki
peedah par sach to ye hai ki hum yadi kisi ek ko bhi dukh dete hai to
uss Ishwar ko peedah hoti hai, Ishwar ne hume yaha sabhi praniyo k dukh
dard dur krne hetu ye maanav jivan diya ha na ki swaarth sidhhi hetu
dusro ko kasht aur aansu dene hetu, jo maunshya dusro ko dukhi kar sirf
apni khushi k baare me sochte hain wo kabhi Ishwar ki kripa k paatra nhi
bante aur na hi moksh ko prapt hote hai, wo sadev iss sansar ki
janm-maran ki maya mei ulajh kar reh jate hai.."
Subscribe to:
Posts (Atom)