Monday 18 February 2013

nikaal diya.........


jagle se to sher ne nikaal diya, gaaw se  panchon  ne nikal diya, rukh kiya shahar ka to waha se bhi shahariyon ne nikaal diya, rukh kiya pyaar ki taraf tab usne bhi apne dil hume nikaal diya, fir kadam bade dost ki oor to usne bhi apni zindagi se hume nikaal diya, jab thak har k duniya se thukra k tanha hum huye to pariwar ne haath bada kar fir ek baar hume apna liya, sau galtiyon aur hazaar kamiyon ke baad bhi aakhir pareewar ne hi hume apna liya, baithe hain tab se ghar ki chaukhat pe aur sochte h jahan duniya ne thukraya waha mujme har burai aur kamiyon ke baad bhi aakir dil aur khoon se bane inn rishton ne hi  iss tarah apnaya, hoon  khush aaj apnee hi duniya mein main, khush hoon apno ke beech aaj main, kisi aur ke saath nahi bas apnon ke paas hoon aaj main....

No comments:

Post a Comment