Saturday 22 June 2013

Vidhwa Vivaah- Bhaag-2 (A Reall Story)

Shaadi kar ke Deepa fir se ek baar apne nav-jeevan ki aas dil mein liye apne sasuraal chali gayi, kintu Deepa ki ye doosri shaadi (Vidhwa Vivaah) sahaz tareeke se nahi hua, na jaane kitne virodh aur kitnee yatnaao ko Deepa aur uske pareewar ne jhela tha.


 jin logon ki godd mein Deepa pali-badi wo hi log usse apne pati ko khaane wali dayan kah kar usse bulaate, usse achhooto jaisa vyavhaar karte, aisa vartaav karte uske saath jaise usne hi apne hi pati ki hatyaa ki ho, na jaane kitne prakaar ke taane uss par logon dwaara kase jaate.


Haalaki Vijay ke mata-pita Deepa ko apne saath apne ghar le jaana chaahte the kintu pati ki achaanak hui mrityu aur iss prakaar hui Vidhwa ka dard dil mein basaye wo besudh si ho gayi thi, na kisi se kuch bolti aur na kahi ghoomne jaati, yadi kahi jaati bhi to logon ke taane uske dil ko cheer kar rakh dete, ek din Vijay ke Pita aur Bhai Deepa ko lene uske maayke aaye lekin Deepa ke bhaiyon aur Pita ne usse bhejne se saaf mana kar diya, unhone kaha abhi to uss dukh se ubari nahi hai waha rahegi to aur peeda paaygi, jab tak uska gam kuch kam nahi ho jaata tab tak uski marzi ke bina hum usse sasuraal nahi bhejenge, ye sun kar Deepa ke Sasur aur Jeth ne kaha agar Deepa ko nahi bhej sakte to koi baat nahi kam se kam un swarn-aabhushano ko to wapas kar do jo vivaah ke samay humne Deepa ko diye the, aakhir ab wo unka kya karegi, kintu iske pashchaat bhi Deepa ke pita ne kaha jab tak ki  wo sambhal nahi paati hum uski marzi ke bina kuch nahi karenge aur ye gahne uske hain aur uski marzi ke bina hum kisi ko nahi de sakte.


wakt ke saath Deepa kuch sambhli to uske pita aur bhai ne uske saamne doosri shaadi ka prastaav rakha, pahle to Deepa ne mana kar diya par ghar walon ke manaane se wo maan gayi, kintu samaaj iss vivaah ke virodh mein aa gaya, poora mohalla iss shaadi ke virodh mein khada ho gaya haalaki tatkaalin sarkaar ne mahilaaon ke 'Vidhwa Vivah' ko poorn roop se manzoori de di thi kintu iske baad bhi ek badaa Hindu samudaaye iske virodh mein tha, itne mein kisi ne Vijay ke ghar walon ko soochna de di to wo log bhi aa pahuche aur bole "Deepa humare ghar ki bahu hai, aap uski shaadi nahi kara sakte, hum usse apne saath le jaaynge," kintu iss vishay par Deepa ke mata-pita ne apni beti ki marzi jaanni chaahi par Deepa chup rahi, iss chuppi ka matlab ye maana gaya ki Deepa wapas nahi jaana chaahti, kintu uske sasuraal walon ne kaha agar wo apnee beti ko nahi bhej rahe to naa bheje kintu jo swarn-aabhushan usse vivaah ke samay diye gaye the wo unhe lauta de, ye sun kar Deepa ke bhaiyon ne kaha humne bhi to vivah mein anek prakaar ke uphaar unhe avam unke jaanne walo ko diye the pahle wo unhe waapas kar de fir hum bhi kar denge, iss prakaar kayi dino ki bahas baazi ke baad Vijay ke ghar wale wapas apne ghar  laut aaye bina aabhooshan liye.


iske baad Deepa ke liye fir se var ki talaash uske ghar walon ne shuru kar di, kayi jagah uski shaadi ki baat chalaayi gayi kintu uske vidhwa hone baat sun kar har jagah se uska rishta bante bante rah jaata, idhar Deepa bhi Jhooth ke saath apnii doosri Shaadi nahi karna chaahti thi, Deepa ne kaha ki wo ussi se shaadi karegi jo usse uske vidhwa roop mein hi apnaayega,  iss tarah kayi jagah se na hone ke baad ek pareewar ki taraf se Deepa ke liye rishta aaya, ladka Doctor tha Agra mein kintu uske mata-pita avam bhai-bahan koi nai the wo anaath tha kintu theek thaak paise jarur kamata tha,  idhar rishta tay ho gaya, ladka behad saade tareeke se hone walli shaadi ke liye maan gaya aur unkee shaadi ka muhoort bhi tay ho gaya.


kintu iss shaadi ke liye ab bhi mohalle avam rishtedaaro ne virodh karna nahi chhoda, unhone isse dharm ke virudh maante huye Deepa aur uske pareewar ka  poorn bahishakaar kiya, kintu un logon ne iski parwaah nahi ki aur chup-chaap shaadi ki taiyaari mein jut gaye.


udhar Vijay ke ghar mein bhi kisi ne soochna de di ki Deepa ki Doosri shaadi hone ja rahi hai, wo log ek baar fir uske ghar aa dhamke aur iss shaadi ko rukwaane ki baat kah kar Deepa ko apne saath le jaane ke liye bolne lage aur kahne lage agar bhej nahi sakte usse to kam se kam humare gahne to wapas kar do par Deepa ke ghar walon ne fir wo hi shart unke saamne rakhi ki aap shaadi mein diye gaye uphaar aur dahejj hume lauta do to hum aapke jewraat wapas kar de kintu iske liye wo taiyaar naa huye aur unhone kaha "humare yaha vadhu ki taraf se diya gaya dahejj avam samast uphaar kisi bhi soorat mein wapas nahi kiye jaate kintu yadi vadhu apni sasuraal mein na rahna chaahti ho to usse avshya hi shaadi mein diye gaye aabhushan lautaane padte hain, aur waise bhi ek vidhwa ka in gehno par koi adhikaar nahi rah jaata, aur fir waise bhi ab to uski shaadi kahi aur aap log kar ke hi maanoge aise mein hume humare gehne to milne hi chaahiye," kintu aakhirkaar unhe ek baar fir khaalihaath lautna pada kyonki ki Deepa ke pareewar ne unki kisi bhi baat ko manne se saaf inkaar kar diya aur apne sharft pe datey rahe.


udhar Vijay ki ma ko ek raat sapne mein Vijay dikhaai diye aur unhone sapne mein apni ma se kaha "main Deepa se bahut pyaar karta hoon aur usse kisi aur ki hote nahi dekh sakta, agar Deepa ne kisi aur ka haath thaama to main usse apne saath le jaaunga, " ye baat Vijay ki ma ne kisi tarah se Deepa tak pahuchaayi par isse sirf iss shaadi ko rukwaane ka hathkanda samajh kar iss oor kisi ne dhyaan nahi diya, kintu shaadi ki theek ek raat pahle ye hi sapna Deepa ko bhi aaya kintu isse usne bhi apne dil ka vaham avam ateet ki yaad ka hi ek roop samajh kar bhula diya.


tamam kaleshon aur virodhon ke baad aakhir Deepa ki doosri shaadi ho gayi aur wo apne sasuraal chali aayi. iske baad kuch din to theek chala aur uske chaar bachhe huye do ladke aur do ladki, kintu  ek roz uske bade bete ki ek durghatna mein maut ho gayi, iske baad chhote bete aur fir dono betiyon ki aakashmik maut ho gayi,  apne bachhon ko kho chuki Deepa behad sadme mein thi ki ek roz uske pati Naveen ki bhi maut ho gayi, ek raat  sapne mein usne fir se Vijay ko dekha aur Vijay ne usse kaha "maine kaha tha na ki main tumhe kisi aur ki nahi hone de sakta, tumne meri baat nahi maani aur isliye maine tumse tumhari ek ek kar ke har khushi ko tumse chhin liya aur tumhe akela chhod diya, jo grahthi tumne kisi aur ke saath basayi wo main apne saath chaahta tha, main humare bachhe aur humara pareewar chaahta tha kintu aisa ho na sake lekin iss shareer ke chhoot jaane ke baad bhi main tumse juda na ho saka shayad isliye kyonki meri ichha adhoori jo rah gayi, apnee mohabbat ke kaaran mujhe mukti na mil saki kintu main tumhe kisi aur ki bhi hote nahi dekh saka, isliye maine ek ek kar ke un sabko tumse door kar diya jo tumhare kareeb aaye the iss shaadi ke baad kyonki tum par kewal mera hi adhikaar tha aur aaj bhi hai, aur ab tumhe aur jyada wakt akele rahne ki jarurat nahi hai yaha, ab main tumhe apne saath le jaaunga aur kabhi hum fir juda na hounge iske baad," iske baad Deepa ki bhi mahaz 30 baras ki umar mein hi maut ho gayi aur chhod gayi apne peechhe kayi sawal, ek vidhwa ka vivaah karna kya gunaah tha uska aur  kya Vijay ka dikhana aur doosri shaadi ke baad bhi uska sab kuch chhin jaana kya ittifaak tha ya wakai Vijay maut ke baad bhi har pal uske saath tha aur usse mohabbat karata tha aur ussi ne ye sab Deepa ke saath kiya tha, aap soch kar mujhe bataye..



thanks and regards

      Archu


2 comments:

  1. .आपकी कहानी मन को छू गयी आभार गरजकर ऐसे आदिल ने ,हमें गुस्सा दिखाया है . आप भी जानें संपत्ति का अधिकार -४.नारी ब्लोगर्स के लिए एक नयी शुरुआत आप भी जुड़ें WOMAN ABOUT MAN

    ReplyDelete
  2. thanks Shalini Ji........

    ReplyDelete