Saturday 10 August 2013

main khush nahi hoon

"hu tere sath har pal me, 
hu tere sath pal pal main,
lekin mai khush nahi hu,

muskurti hu mai teri har baat pe, 

chalti hu teri hi har rah pe,
 lekin mai khush nhi hu,

ashkon ko chhipa jhuthi khushi tujhe jatati hu, 

hoon kitni tanha aur khud ko akela hi paati hu,
par mai khush nhi hu,

deti nhi ilzaam apne dard-e-dil ka kisi ko, 

na hi kisi se kuch kehti hu,
lekin mai khush  nahi hu,

mile tohfe tujhse aur zamane se muje

 meri wafa ke badle bewafai ke,
 mile hai jo gam muje tujhse aur zamane se
 meri bhalai ke badle burai se, 
hoon khamosh nahi karti shikwa kisi se, 
par main khush nahi hoon,

 dekh meri jhuki hui palke samjta hoga tu
aur ye zamara sara ki khushi mein palke jhukaaye baithi hoon par main khush nahi hoon, 

tere aur zamane k diye inn zakhmo se mile ghaw ko pa kar dil pe lagi iss chot ke dekh kar samajhta hai shayad tu 
 ki bahut khush hu mai har baat ko bhula kar, 
har gam ko dil se mita kar lekin na bhool saki hoon main kuch aur na bhula sakti hoon wo tohafe gam-ae-tanhai ke, 

beeti baaton ki tees dil mein uthti hai har pal 
aur aankhon se behate askhon ki nadiya ke saath dil se bas ye hi aawaz aati hai pal pal ki 
mai khush nahi hu, 
haan main khush nahi hoon.."

3 comments:

  1. wah wah bhut sundar likha . par aaj kal log in baato ko samjte kam hai bhut kam log he samj pate hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. thanksss to all of you frdzzz, haan ji sahi kaha kam log hi samajhte hain in baaton ko aaj kal

      Delete